Poet
Jan Nisar Akhtar
جاں نثار اختر1914–1976
Poems
- آج مدت میں وہ یاد آئے ہیںدر و دیوار پہ کچھ سائے ہیںāj muddat meñ vo yād ā.e haiñdar-o-dīvār pe kuchh sā.e haiñ
- آنکھیں چرا کے ہم سے بہار آئے یہ نہیںحصے میں اپنے صرف غبار آئے یہ نہیںānkheñ churā ke ham se bahār ā.e ye nahīñhisse maiñ apne sirf-e-ġhubār ā.e ye nahīñ
- آہٹ سی کوئی آئے تو لگتا ہے کہ تم ہوسایہ کوئی لہرائے تو لگتا ہے کہ تم ہوāhaṭ sī koī ā.e to lagtā hai ke tum hosāya koī lahrā.e to lagtā hai ke tum ho
- آئے کیا کیا یاد نظر جب پڑتی ان دالانوں پراس کا کاغذ چپکا دینا گھر کے روشن دانوں پرā.e kyā kyā yād nazar jab paṛtī in dālānoñ parus kā kāġhaz chipkā denā ghar ke raushan dānoñ par
- اچھا ہے ان سے کوئی تقاضا کیا نہ جائےاپنی نظر میں آپ کو رسوا کیا نہ جائےachchhā hai un se koī taqāzā kiyā na jā.eapnī nazar meñ āp ko rusvā kiyā na jā.e
- اشعار مرے یوں تو زمانے کے لیے ہیںکچھ شعر فقط ان کو سنانے کے لیے ہیںash.ār mire yūñ to zamāne ke liye haiñkuchh sher faqat un ko sunāne ke liye haiñ
- افق اگرچہ پگھلتا دکھائی پڑتا ہےمجھے تو دور سویرا دکھائی پڑتا ہےufuq agarche pighaltā dikhā.ī paṛtā haimujhe to dūr saverā dikhā.ī paṛtā hai
- اے درد عشق تجھ سے مکرنے لگا ہوں میںمجھ کو سنبھال حد سے گزرنے لگا ہوں میںai dard-e-ishq tujh se mukarne lagā hūñ maiñmujh ko sambhāl had se guzarne lagā hūñ maiñ
- بہت دل کر کے ہونٹوں کی شگفتہ تازگی دی ہےچمن مانگا تھا پر اس نے بمشکل اک کلی دی ہےbahut dil kar ke honṭoñ kī shagufta tāzgī dī haichaman māñgā thā par us ne bamushkil ik kalī dī hai
- تمام عمر عذابوں کا سلسلہ تو رہایہ کم نہیں ہمیں جینے کا حوصلہ تو رہاtamām umr azāboñ kā silsila to rahāye kam nahīñ hameñ jīne kā hausla to rahā
- تم پہ کیا بیت گئی کچھ تو بتاؤ یارومیں کوئی غیر نہیں ہوں کہ چھپاؤ یاروtum pe kyā bīt ga.ī kuchh to batā.o yāromaiñ koī ġhair nahīñ hūñ ke chhupā.o yāro
- تمہارے جشن کو جشن فروزاں ہم نہیں کہتےلہو کی گرم بوندوں کو چراغاں ہم نہیں کہتےtumhāre jashn ko jashn-e-farozāñ ham nahīñ kahtelahū kī garm būndoñ ko charāġhāñ ham nahīñ kahte
- تو اس قدر مجھے اپنے قریب لگتا ہےتجھے الگ سے جو سوچوں عجیب لگتا ہےto is qadar mujhe apne qarīb lagtā haitujhe alag se jo sochūñ ajīb lagtā hai
- جب لگیں زخم تو قاتل کو دعا دی جائےہے یہی رسم تو یہ رسم اٹھا دی جائےjab lageñ zaḳhm to qātil ko duā dī jā.ehai yahī rasm to ye rasm uṭhā dī jā.e
- جسم کی ہر بات ہے آوارگی یہ مت کہوہم بھی کر سکتے ہیں ایسی شاعری یہ مت کہوjism kī har bāt hai āvārgī ye mat kahoham bhī kar sakte haiñ aisī shāyarī ye mat kaho
- چونک چونک اٹھتی ہے محلوں کی فضا رات گئےکون دیتا ہے یہ گلیوں میں صدا رات گئےchauñk chauñk uṭhtī hai mahloñ kī fazā rāt ga.ekaun detā hai ye galiyoñ meñ sadā rāt ga.e
- حوصلہ کھو نہ دیا تیری نہیں سے ہم نےکتنی شکنوں کو چنا تیری جبیں سے ہم نےhausla kho na diyā terī nahīñ se ham nekitnī shiknoñ ko chunā terī jabīñ se ham ne
- خود بہ خود مے ہے کہ شیشے میں بھری آوے ہےکس بلا کی تمہیں جادو نظری آوے ہےḳhud ba ḳhud mai hai ke shīshe meñ bharī āve haikis balā kī tumheñ jādū nazarī āve hai
- دل کو ہر لمحہ بچاتے رہے جذبات سے ہماتنے مجبور رہے ہیں کبھی حالات سے ہمdil ko har lamha bachāte rahe jazbāt se hamitne majbūr rahe haiñ kabhī hālāt se ham
- دیدہ و دل میں کوئی حسن بکھرتا ہی رہالاکھ پردوں میں چھپا کوئی سنورتا ہی رہاdīda-o-dil meñ koī husn bikhartā hī rahālākh pardoñ meñ chhupā koī sañvartā hī rahā
- ذرا سی بات پہ ہر رسم توڑ آیا تھادل تباہ نے بھی کیا مزاج پایا تھاzarā sī bāt pe har rasm-e-toṛ āyā thādil-e-tabāh ne bhī kyā mizāj pāyā thā
- رنج و غم مانگے ہے اندوہ و بلا مانگے ہےدل وہ مجرم ہے کہ خود اپنی سزا مانگے ہےranj-o-ġham māñge hai andoh-o-balā māñge haidil vo mujrim hai ke ḳhud apnī sazā māñge hai
- زلفیں سینہ ناف کمرایک ندی میں کتنے بھنورzulfeñ sīna nāf kamarek nadī meñ kitne bhanvar
- زمیں ہوگی کسی قاتل کا داماں ہم نہ کہتے تھےاکارت جائے گا خون شہیداں ہم نہ کہتے تھےzamīñ hogī kisī qātil kā dāmāñ ham na kahte theakārat jā.egā ḳhūn-e-shahīdāñ ham na kahte the
- زندگی تجھ کو بھلایا ہے بہت دن ہم نےوقت خوابوں میں گنوایا ہے بہت دن ہم نےzindagī tujh ko bhulāyā hai bahut din ham nevaqt ḳhvāboñ meñ gañvāyā hai bahut din ham ne
- زندگی یہ تو نہیں تجھ کو سنوارا ہی نہ ہوکچھ نہ کچھ ہم نے ترا قرض اتارا ہی نہ ہوzindagī ye to nahīñ tujh ko sañvārā hī na hokuchh na kuchh ham ne tirā qarz utārā hī na ho
- سو چاند بھی چمکیں گے تو کیا بات بنے گیتم آئے تو اس رات کی اوقات بنے گیso chānd bhī chamkeñge to kyā bāt banegītum ā.e to is rāt kī auqāt banegī
- صبح کے درد کو راتوں کی جلن کو بھولیںکس کے گھر جائیں کہ اس وعدہ شکن کو بھولیںsub.h ke dard ko rātoñ kī jalan ko bhūleñkis ke ghar jā.eñ ke is va.ada shikan ko bhūleñ
- طلوع صبح ہے نظریں اٹھا کے دیکھ ذراشکست ظلمت شب مسکرا کے دیکھ ذراtulū-e-sub.h hai nazreñ uṭhā ke dekh zarāshikast-e-zulmat-e-shab muskurā ke dekh zarā
- لاکھ آوارہ سہی شہروں کے فٹ پاتھوں پہ ہملاش یہ کس کی لیے پھرتے ہیں ان ہاتھوں پہ ہمlākh āvāra sahī shahroñ ke fiṭ pāthoñ pe hamlāsh ye kis kī liye phirte haiñ in hāthoñ pe ham
- لوگ کہتے ہیں کہ تو اب بھی خفا ہے مجھ سےتیری آنکھوں نے تو کچھ اور کہا ہے مجھ سےlog kahte haiñ ke tū ab bhī ḳhafā hai mujh seterī ānkhoñ ne to kuchh aur kahā hai mujh se
- مانا کہ رنگ رنگ ترا پیرہن بھی ہےپر اس میں کچھ کرشمہ عکس بدن بھی ہےmānā ke rang rang tirā pairahan bhī haipar is meñ kuchh karishma aks badan bhī hai
- مجھے معلوم ہے میں ساری دنیا کی امانت ہوںمگر وہ لمحہ جب میں صرف اپنا ہو سا جاتا ہوںmujhe ma.alūm hai maiñ sārī duniyā kī amānat hūñmagar vo lamha jab maiñ sirf apnā ho sā jātā hūñ
- مدت ہوئی اس جان حیا نے ہم سے یہ اقرار کیاجتنے بھی بد نام ہوئے ہم اتنا اس نے پیار کیاmuddat huī us jān-e-hayā ne ham se ye iqrār kyājitne bhī bad nām hue ham itnā us ne pyār kiyā
- موج گل موج صبا موج سحر لگتی ہےسر سے پا تک وہ سماں ہے کہ نظر لگتی ہےmauj-e-gul mauj-e-sabā mauj-e-sahar lagtī haisar se pā tak vo samāñ hai ke nazar lagtī hai
- میکشی اب مری عادت کے سوا کچھ بھی نہیںیہ بھی اک تلخ حقیقت کے سوا کچھ بھی نہیںmaikashī ab mirī ādat ke sivā kuchh bhī nahīñye bhī ik talḳh haqīqat ke sivā kuchh bhī nahīñ
- وہ لوگ ہی ہر دور میں محبوب رہے ہیںجو عشق میں طالب نہیں مطلوب رہے ہیںvo log hī har daur meñ mahbūb rahe haiñjo ishq meñ tālib nahīñ matlūb rahe haiñ
- وہ ہم سے آج بھی دامن کشاں چلے ہے میاںکسی پہ زور ہمارا کہاں چلے ہے میاںvo ham se āj bhī dāman kashāñ chale hai miyāñkisī pe zor hamārā kahāñ chale hai miyāñ
- ہر ایک روح میں اک غم چھپا لگے ہے مجھےیہ زندگی تو کوئی بد دعا لگے ہے مجھےhar ek rūh meñ ik ġham chhupā lage hai mujheye zindagī to koī bad duā lage hai mujhe
- ہر ایک شخص پریشان و در بدر سا لگےیہ شہر مجھ کو تو یارو کوئی بھنور سا لگےhar ek shaḳhs pareshān-o-dar badar sā lageye shahr mujh ko to yāro koī bhanvar sā lage
- ہم سے بھاگا نہ کرو دور غزالوں کی طرحہم نے چاہا ہے تمہیں چاہنے والوں کی طرحham se bhāgā na karo dūr ġhazāloñ kī tarahham ne chāhā hai tumheñ chāhne vāloñ kī tarah
- ہم نے کاٹی ہیں تری یاد میں راتیں اکثردل سے گزری ہیں ستاروں کی براتیں اکثرham ne kāṭī haiñ tirī yād meñ rāteñ aksardil se guzrī haiñ sitāroñ kī barāteñ aksar