میکشی اب مری عادت کے سوا کچھ بھی نہیں
Jan Nisar Akhtar (1914–1976)میکشی اب مری عادت کے سوا کچھ بھی نہیں
یہ بھی اک تلخ حقیقت کے سوا کچھ بھی نہیں
فتنۂ عقل کے جویا مری دنیا سے گزر
میری دنیا میں محبت کے سوا کچھ بھی نہیں
دل میں وہ شورش جذبات کہاں تیرے بغیر
ایک خاموش قیامت کے سوا کچھ بھی نہیں
مجھ کو خود اپنی جوانی کی قسم ہے کہ یہ عشق
اک جوانی کی شرارت کے سوا کچھ بھی نہیں
maikashi ab miri adat ke siwa kuchh bhi nahin
ye bhi ik talkh haqiqat ke siwa kuchh bhi nahin
fitna-e-aql ke joya miri duniya se guzar
meri duniya mein mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin
dil mein wo shorish-e-jazbat kahan tere baghair
ek khamosh qayamat ke siwa kuchh bhi nahin
mujh ko khud apni jawani ki qasam hai ke ye ishq
ik jawani ki shararat ke siwa kuchh bhi nahin