Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Ismail Meeruthi

اسماعیل میرٹھی

1844–1917Born in MeerutDied in Meerut

Muhammad Ismail, known as Ismail Merathi, was a schoolteacher and educationist who taught Persian in Saharanpur and Agra before retiring in 1899. Influenced by Sir Syed Ahmad Khan's reform movement, he wrote simple poems for children about nature, animals and good conduct, and compiled Urdu and Persian school readers. His books include Reza-e-Jawahar and Kulliyat-e-Ismail. He founded a girls' school in his home town in 1909.

Writes about

  • Children's verse
  • Nature
  • Animals
  • Moral lessons

Poems

  1. āḳhir ye husn chhup na sakegā naqāb meñsharmā.oge tumheñ na karo zid hijāb meñ
  2. āġhāz-e-ishq umr kā anjām ho gayānākāmiyoñ ke ġham meñ mirā kām ho gayā
  3. itnā to jānte haiñ ke bande ḳhudā ke haiñāge havās gum ḳhirad nārasā ke haiñ
  4. ulṭī har ek rasm-e-jahān-e-shuūr haisīdhī sī ik ġhazal mujhe likhnī zarūr hai
  5. bazm-e-ījād meñ be parda koī sāz nahīñhai ye terī hī sadā ġhair kī āvāz nahīñ
  6. pā.e ġhair aur merā sar dekhoṭūṭ jā.e na sang-e-dar dekho
  7. tablīġh payām ho ga.ī haihujjat bhī tamām ho ga.ī hai
  8. jo bhale bure kī aṭkal na mirā shi.ār hotāna jazā-e-ḳhair pātā na gunāh gār hotā
  9. jahāñ teġh-e-himmat alam dekhte haiñmahālāt kā sar qalam dekhte haiñ
  10. hāmid kahāñ ke dauṛ ke jā.ūñ ḳhabar ko maiñkis ārzū pe qat.a karūñ is safar ko maiñ
  11. zarā ġham zadoñ ke bhī ġham ḳhvār rahnākareñ nāz to nāz bardār rahnā
  12. rāh-o-rasm-e-ḳhat kitābat hī sahīgul nahīñ to gul kī nik.hat hī sahī
  13. rusvā hue baġhair na nāz-e-butāñ uṭhājab ho ga.e subuk to ye bār-e-girāñ uṭhā
  14. ravish-e-sāda bayānī merīhai ye teġh suffaanī merī
  15. sāqī ḳham ḳhāna thā jo sub.h-o-shāmroz-e-ādīna thā masjid meñ imām
  16. salāmat hai sar to sir.hāne bahut haiñmujhe dil lagī ke ṭhikāne bahut haiñ
  17. sunoge mujh se merā mājrā kyākahā karte haiñ afsānoñ meñ kyā kyā
  18. shab-e-zindagānī sahar ho ga.ībahar kaif achchhī basar ho ga.ī
  19. zāhir to hai to maiñ nihāñ hūñbātin to hai to maiñ ayāñ hūñ
  20. āriz-e-raushan pe jab zulfeñ pareshāñ ho ga.īñkufr kī gumrāhiyāñ ham rang īmāñ ho ga.īñ
  21. aish ke jalse hujūm-e-ālām keshobade haiñ gardish-e-ayyām ke
  22. ġhair tavakkul nahīñ chārā mujheapne hī dam kā hai sahārā mujhe
  23. kām agar hasb-e-mudda.ā na huāterā chāhā huā burā na huā
  24. kabhī taqsīr jis ne kī hī nahīñham se pūchho to ādmī hī nahīñ
  25. kujā hastī batā de to kahāñ haijise kahte haiñ bismil nīm jāñ hai
  26. koī din kā āb-o-dāna aur haiphir chaman aur āshiyāna aur hai
  27. kyā kyā ajal ne jān churā.ī tamām shabkoī bhī ārzū na bar ā.ī tamām shab
  28. gar nashe meñ koī be fikr-o-taammul bāñdhechashm-e-mai gūñ ko tirī jām par az mil bāñdhe
  29. manzil darāz-o-dūr hai aur ham meñ dam nahīñhūñ rel par savār to dām-o-diram nahīñ
  30. mehrbānī bhī hai itāb bhī haikuchh tasallī kuchh iztirāb bhī hai
  31. maiñ agar vo hūñ jo honā chāhiyemaiñ hī meñ hūñ phir mujhe kyā chāhiye
  32. natīja kyūñ kar achchhā ho na ho jab tak amal achchhānahīñ boyā hai tuḳhm achchhā to kab pā.oge phal achchhā
  33. nikle chale āte haiñ tah-e-ḳhāk se khāneye ḳhvān-e-karam kis ne bichhāyā hai ḳhudā ne
  34. nik.hat-e-turra-e-mushkīñ jo sabā lā.ī haikoī āvāra huā hai koī saudā.ī hai
  35. nahīñ ma.alūm kyā vājib hai kyā farzmare maz.hab meñ hai terī razā farz
  36. vāñ zīrakī pasand na idrāk chāhiyeijz-o-niyāz-e-dīda-e-namnāk chāhiye
  37. vo pairahan-e-jān meñ jāñ hajla-e-tan meñhūñ vahm judā.ī se ajab ranj-o-mehan meñ
  38. vahīñ se jab ke ishāra ho ḳhud numā.ī kāajab ke banda na da.avā kare ḳhudā.ī kā
  39. hai be lab-o-zabāñ bhī ġhul tere nām kāmahram nahīñ hai gosh magar is payām kā
  40. hai jān-e-hazīñ ek lab-e-rūh fazā doai kāsh ke us ek kī ho jā.eñ davā do
  41. yād terī yād hai nām-e-ḳhudāvarna ham kyā aur hamārī yād kyā