Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Danish Aligarhi

b. 1931

Poems

Meter
  1. ab nahīñ koī mire dil ko dikhāne vālāyād ātā hai bahut rūṭh ke jāne vālā
  2. ik sitāroñ bharā āsmāñ ho ga.eab ḳhudā kī qasam tum javāñ ho ga.e
  3. tum ne jab zulf-e-pareshāñ ko sañvārā hogāsadqa-e-husn ghaṭā.oñ ne utārā hogā
  4. jaise is bastī se nārāz ḳhudā lagtā haiapnā hī gā.oñ mujhe āj burā lagtā hai
  5. ḳhushk ānkhoñ meñ bahut haiñ abhī ānsū bāqīphūl sūkhe haiñ magar un meñ hai ḳhushbū bāqī
  6. ḳhushī kā nām sunā hai magar ḳhushī kyā haitire baġhair jo guzre vo zindagī kyā hai
  7. zarre zarre meñ mahak pyār kī ḍālī jā.ebū ta.assub kī har ik dil se nikālī jā.e
  8. zindagī kar ga.ī tūfāñ ke havāle mujh koai ajal kashmakash-e-ġham se chhuṛā le mujh ko
  9. sharm se us ne nigāhoñ ko milāne na diyāzabt ne hāl-e-dil-e-zār sunāne na diyā
  10. zālim se mohabbat kā sila māñg rahe haiñnādān haiñ patthar se vafā māñg rahe haiñ
  11. ajīb qaid lagā.ī hai tum ne pyār ke sāthḳhizāñ nasīb rahūñ rah ke maiñ bahār ke sāth
  12. qarīb tum ho to har ik se dostī sī lagejo tum ho dūr to zāt apnī ajnabī sī lage
  13. kyā ḳhabar thī munharif ahl-e-jahāñ ho jā.eñgehote hote mehrbāñ nā mehrbāñ ho jā.eñge
  14. vā.iz to agar un ke kūche se guzar jā.efirdaus kā manzar bhī nazroñ se utar jā.e
  15. hangāma kis liye hai bapā tere shahr meñkyā phir koī ġharīb luṭā tere shahr meñ
  16. ye kaise kah dūñ ke kuchh tum se vāsta hī nahīñbichhaṛ ke tum se kahīñ aur dil lagā hī nahīñ
  17. tere firāq ne kī zindagī atā mujh koterā visāl jo miltā to mar gayā hotā