Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

بیخود موہانی

Poems

Meter
  1. ānkhoñ par āh yās kā parda sā paṛ gayāduniyā ujaṛ ga.ī ke mirā dil ujaṛ gayā
  2. ab to hujūm-e-yās kī kuchh intihā nahīñya.anī mujhe umīd kā bhī āsrā nahīñ
  3. abhī chaman abhī gul bas yahī samāñ dekhāqafas ko bhī mirī ānkhoñ ne āshiyāñ dekhā
  4. apnā jahāñ meñ rahnā hai yādgār rahnāmushkil thā apne ghar meñ begāna vār rahnā
  5. ajal ne kar diyā ḳhāmosh to kyā hai zabāñ hūñ maiñke hastī kā fasāna hūñ adam kī dāstāñ hūñ maiñ
  6. azal kyā ibtidā husn-o-mohabbat ke tarāne kīabad kyā sirf ik badlī huī surḳhī fasāne kī
  7. imtihān-o-sabr kī had kyūñ paṛe tāḳhīr meñjo na likhvā.e koī likh de mirī taqdīr meñ
  8. ahl-e-dil ahl-e-nazar shām-o-sahar royā kiyedard ke putle the āḳhir umr bhar royā kiye
  9. pāband-e-hukm-e-girya-e-be iḳhtiyār hūñmaiñ sail-e-ābshār hūñ abr-e-bahār hūñ
  10. parvāna soz-e-sham.a se yūñ bāḳhabar na hodil se lagī na ho to zabāñ meñ asar na ho
  11. tā hashr to firāq kā ehsāñ hai aur hamkyā ba.ad-e-hashr bhī shab-e-hijrāñ hai aur ham
  12. jab nāz-e-ishq-e-husn ke qābil nahīñ rahāphir vo kuchh aur hī hai mirā dil nahīñ rahā
  13. jigar ko dekh ke zaḳhm-e-jigar ko dekhte haiñmire azīz mire chāra gar ko dekhte haiñ
  14. josh-e-vahshat meñ nazar pahuñchī na apne dil ke pāsuṭhe āḳhir tak bagūle āh is mahmil ke pās
  15. sabr va.ade pe na thā kām tamannā.ī kāhashr hai vasl kā din yā mirī rusvā.ī kā
  16. ālam ko us ne naqsh-e-kaf-e-pā banā diyāya.anī banā diyā kabhī gāhe miṭā diyā
  17. kahte haiñ terī lāsh pe āyā na jā.egātū un se ḳhāk meñ bhī milāyā na jā.egā
  18. kahe ye kaun makāñ apnā lā makāñ apnāazal ke ba.ad se miltā hai kuchh nishāñ apnā
  19. maiñ naqsh-e-mā-o-man hotā ke naqsh-e-māsivā hotājo pahle se ḳhabar hotī ke kyā hotā to kyā hotā
  20. nazīr jis kī mil sake vo apnā mājrā na thālikhā na thā paṛhā na thā sunā na thā huā na thā
  21. na bhūlegā ḳhayāl-o-rang-e-ruḳh kā nāma bar honāhadīs-e-shauq se harf-o-zabāñ kā be ḳhabar honā
  22. vahī āshiq hai qātil kā na jo shākī vahāñ hogājise dār-e-jazā samjhe haiñ dār-e-imtihāñ hogā
  23. hangāma ḳhez da.avā-e-mansūr ho gayālab ham navā-e-ḳhātir-e-maġhrūr ho gayā
  24. yūñ bhī dekhā na kabhī dard kā darmāñ honāhā.e vo nashtar-e-mizhgāñ kā rag-e-jāñ honā
  25. uf intihā-e-shauq meñ ab kyā kare koīkahte haiñ pahle apnī tamannā kare koī
  26. kyūñ ai ḳhayāl-e-yār tujhe kyā ḳhabar nahīñmaiñ kyūñ batā.ūñ dard kidhar hai kidhar nahīñ