Poet
Bedam Warsi
بیدم وارثی1876–1936
Poems
- اپنی ہستی کا اگر حسن نمایاں ہو جائےآدمی کثرت انوار سے حیراں ہو جائےapnī hastī kā agar husn numāyāñ ho jā.eādmī kasrat-e-anvār se hairāñ ho jā.e
- اپنے دیدار کی حسرت میں تو مجھ کو سراپا دل کر دےہر قطرۂ دل کو قیس بنا ہر ذرے کو محمل کر دےapne dīdār kī hasrat meñ to mujh ko sarāpā dil kar dehar qatra-e-dil ko qais banā har zarre ko mahmil kar de
- اگر کعبہ کا رخ بھی جانب مے خانہ ہو جائےتو پھر سجدہ مری ہر لغزش مستانہ ہو جائےagar ka.aba kā ruḳh bhī jānib-e-mai ḳhāna ho jā.eto phir sajda mirī har laġhzish-e-mastāna ho jā.e
- اللہ رے فیض ایک جہاں مستفید ہےہر مست میرے پیر مغاں کا مرید ہےallāh re faiz ek jahāñ mustafīd haihar mast mere pīr-e-muġhāñ kā murīd hai
- بتائے دیتی ہے بے پوچھے راز سب دل کےنگاہ شوق کسی کی نگاہ سے مل کےbatā.e detī hai be pūchhe rāz sab dil kenigāh-e-shauq kisī kī nigāh se mil ke
- بت بھی اس میں رہتے تھے دل یار کا بھی کاشانہ تھاایک طرف کعبے کے جلوے ایک طرف بت خانہ تھاbut bhī is meñ rahte the dil yār kā bhī kāshāna thāek taraf ka.abe ke jalve ek taraf but ḳhāna thā
- برہمن مجھ کو بنانا نہ مسلماں کرنامیرے ساقی مجھے مست مے عرفاں کرناbarahman mujh ko banānā na musalmāñ karnāmere sāqī mujhe mast-e-mai irfāñ karnā
- پاس ادب مجھے انہیں شرم و حیا نہ ہونظارہ گاہ میں اثر ماسوا نہ ہوpās-e-adab mujhe unheñ sharm-o-hayā na honazzāra gāh meñ asar-e-māsivā na ho
- پردے اٹھے ہوئے بھی ہیں ان کی ادھر نظر بھی ہےبڑھ کے مقدر آزما سر بھی ہے سنگ در بھی ہےparde uṭhe hue bhī haiñ un kī idhar nazar bhī haibaṛh ke muqaddar āzmā sar bhī hai sang-e-dar bhī hai
- تم خفا ہو تو اچھا خفا ہواے بتو کیا کسی کے خدا ہوtum ḳhafā ho to achchhā ḳhafā hoai buto kyā kisī ke ḳhudā ho
- تیری الفت شعبدہ پرواز ہےآرزو گر ہے تمنا ساز ہےterī ulfat shobada parvāz haiārzū gar hai tamannā sāz hai
- جستجو کرتے ہی کرتے کھو گیاان کو جب پایا تو خود گم ہو گیاjustujū karte hī karte kho gayāun ko jab pāyā to ḳhud gum ho gayā
- چھڑا پہلے پہل جب ساز ہستیتو ہر پردے نے دی آواز ہستیchhuṛā pahle pahal jab sāz-e-hastīto har parde ne dī āvāz-e-hastī
- داروئے درد نہاں راحت جانی صنماعیسیٰٔ مردہ دلاں یوسف ثانی صنما
- دل لیا جان لی نہیں جاتیآپ کی دل لگی نہیں جاتیdil liyā jān lī nahīñ jātīāp kī dil lagī nahīñ jātī
- سہارا موجوں کا لے لے کے بڑھ رہا ہوں میںسفینہ جس کا ہے طوفاں وہ ناخدا ہوں میںsahārā maujoñ kā le le ke baṛh rahā hūñ maiñsafīna jis kā hai tūfāñ vo nāḳhudā hūñ maiñ
- سینہ میں دل ہے دل میں داغ داغ میں سوز و ساز عشقپردہ بہ پردہ ہے نہاں پردہ نشیں کا راز عشقsīna meñ dil hai dil meñ dāġh dāġh meñ soz-o-sāz-e-ishqparda ba parda hai nihāñ parda nashīñ kā rāz-e-ishq
- شادی و الم سب سے حاصل ہے سبکدوشیسو ہوش مرے صدقے تجھ پر مری بے ہوشیshādī-o-alam sab se hāsil hai subukdoshīso hosh mire sadqe tujh par mirī be hoshī
- طور والے تری تنویر لیے بیٹھے ہیںہم تجھی کو بت بے پیر لیے بیٹھے ہیںtūr vāle tirī tanvīr liye baiṭhe haiñham tujhī ko but-e-be pīr liye baiṭhe haiñ
- غمزہ پیکان ہوا جاتا ہےدل کا ارمان ہوا جاتا ہےġhamza paikān huā jātā haidil kā armān huā jātā hai
- قصر جاناں تک رسائی ہو کسی تدبیر سےطائر جاں کے لیے پر مانگ لوں میں تیر سےqasr-e-jānāñ tak rasā.ī ho kisī tadbīr setā.ir-e-jāñ ke liye par māñg lūñ maiñ tīr se
- قفس کی تیلیوں سے لے کے شاخ آشیاں تک ہےمری دنیا یہاں سے ہے مری دنیا وہاں تک ہےqafas kī teliyoñ se le ke shāḳh-e-āshiyāñ tak haimirī duniyā yahāñ se hai mirī duniyā vahāñ tak hai
- کاش مری جبین شوق سجدوں سے سرفراز ہویار کی خاک آستاں تاج سر نیاز ہوkāsh mirī jabīn-e-shauq sajdoñ se sarfarāz hoyār kī ḳhāk āstāñ tāj-e-sar-e-niyāz ho
- کبھی یہاں لیے ہوئے کبھی وہاں لیے ہوئےپھری ہے جستجو تری کہاں کہاں لیے ہوئےkabhī yahāñ liye hue kabhī vahāñ liye huephirī hai justujū tirī kahāñ kahāñ liye hue
- کعبے کا شوق ہے نہ صنم خانہ چاہئےجانانہ چاہئے در جانانہ چاہئےka.abe kā shauq hai na sanam ḳhāna chāhiyejānāna chāhiye dar-e-jānāna chāhiye
- کون سا گھر ہے کہ اے جاں نہیں کاشانہ ترا اور جلوہ خانہ ترامیکدہ تیرا ہے کعبہ ترا بت خانہ ترا سب ہے جانانہ تراkaun sā ghar hai ke ai jāñ nahīñ kāshāna tirā aur jalva ḳhāna tirāmaikada terā hai ka.aba tirā but ḳhāna tirā sab hai jānāna tirā
- کھینچی ہے تصور میں تصویر ہم آغوشیاب ہوش نہ آنے دے مجھ کو مری بے ہوشیkhīñchī hai tasavvur meñ tasvīr ham āġhoshīab hosh na āne de mujh ko mirī be hoshī
- کیا گلہ اس کا جو میرا دل گیامل گئے تم مجھ کو سب کچھ مل گیاkyā gila us kā jo merā dil gayāmil ga.e tum mujh ko sab kuchh mil gayā
- گل کا کیا جو چاک گریباں بہار نےدست جنوں لگے مرے کپڑے اتارنےgul kā kiyā jo chāk-e-garebāñ bahār nedast-e-junūñ lage mire kapṛe utārne
- مبارک ساقیٔ ستاں مبارکفروغ مجلس رنداں مبارکmubārak sāqī-e-sitāñ mubārakfaroġh-e-majlis-e-rindāñ mubārak
- مجھ سے چھپ کر مرے ارمانوں کو برباد نہ کرداد خواہی کے لیے آیا ہوں بیداد نہ کرmujh se chhup kar mire armānoñ ko barbād na kardād ḳhvāhī ke liye āyā hūñ bedād na kar
- مجھے جلووں کی اس کے تمیز ہو کیا میرے ہوش و حواس بچا ہی نہیںہے یہ بے خبری کہ خبر ہی نہیں وہ نقاب اٹھا کہ اٹھا ہی نہیںmujhe jalvoñ kī us ke tamīz ho kyā mere hosh-o-havās bachā hī nahīñhai ye be ḳhabarī ke ḳhabar hī nahīñ vo naqāb uṭhā ke uṭhā hī nahīñ
- مجھے شکوہ نہیں برباد رکھ برباد رہنے دےمگر اللہ میرے دل میں اپنی یاد رہنے دےmujhe shikva nahīñ barbād rakh barbād rahne demagar allāh mere dil maiñ apnī yād rahne de
- میں غش میں ہوں مجھے اتنا نہیں ہوشتصور ہے ترا یا تو ہم آغوشmaiñ ġhash meñ hūñ mujhe itnā nahīñ hoshtasavvur hai tirā yā to ham āġhosh
- نہ تو اپنے گھر میں قرار ہے نہ تری گلی میں قیام ہےتری زلف و رخ کا فریفتہ کہیں صبح ہے کہیں شام ہےna to apne ghar meñ qarār hai na tirī galī meñ qayām haitirī zulf-o-ruḳh kā farefta kahīñ sub.h hai kahīñ shām hai
- نہ سنو میرے نالے ہیں درد بھرے دار و اثرے آہ سحرےتمہیں کیا جو کوئی مرتا ہے مرے اے دشمن جاں بیداد گرےna suno mere nāle haiñ dard bhare dār-o-asre āh sahretumheñ kyā jo koī martā hai mire ai dushman jāñ bedād gire
- نہ کنشت و کلیسا سے کام ہمیں در دیر نہ بیت حرم سے غرضکہ ازل سے ہمارے سجدوں کو رہی تیرے ہی نقش قدم سے غرضna kinshat-o-kalīsā se kām hameñ dar der na bīt haram se ġharazke azal se hamāre sajdoñ ko rahī tere hī naqsh-e-qadam se ġharaz
- نہ محراب حرم سمجھے نہ جانے طاق بت خانہجہاں دیکھی تجلی ہو گیا قربان پروانہna mehrāb-e-haram samjhe na jāne tāq-e-but ḳhānajahāñ dekhī tajallī ho gayā qurbān-e-parvāna
- ہلاک تیغ جفا یا شہید ناز کرےترا کرم ہے جسے جیسے سرفراز کرےhalāk-e-teġh-e-jafā yā shahīd-e-nāz karetirā karam hai jise jaise sarfarāz kare
- ہم میکدے سے مر کے بھی باہر نہ جائیں گےمیکش ہماری خاک کے ساغر بنائیں گےham maikade se mar ke bhī bāhar na jā.eñgemaikash hamārī ḳhāk ke sāġhar banā.eñge
- یوں گلشن ہستی کی مالی نے بنا ڈالیپھولوں سے جدا کلیاں کلیوں سے جدا ڈالیyūñ gulshan hastī kī mālī ne banā ḍālīphūloñ se judā kaliyāñ kaliyoñ se judā ḍālī
- یہ خسروی و شوکت شاہانہ مبارکیہ قصر یہ خدام یہ کاشانہ مبارکye ḳhusravī-o-shaukat-e-shāhāna mubārakye qasr ye ḳhuddām ye kāshāna mubārak
- یہ ساقی کی کرامت ہے کہ فیض مے پرستی ہےگھٹا کے بھیس میں مے خانے پر رحمت برستی ہےye sāqī kī karāmat hai ke faiz-e-mai parastī haighaṭā ke bhes meñ mai ḳhāne par rahmat barastī hai
- اس کو دنیا اور نہ عقبیٰ چاہئےقیس لیلیٰ کا ہے لیلیٰ چاہئےus ko duniyā aur na uqbā chāhiyeqais lailā kā hai lailā chāhiye
- پہلے شرما کے مار ڈالاپھر سامنے آ کے مار ڈالاpahle sharmā ke mār ḍālāphir sāmne ā ke mār ḍālā
- عشق کے آثار ہیں پھر غش مجھے آیا دیکھوپھر کوئی روزن دیوار سے جھانکا دیکھوishq ke āsār haiñ phir ġhash mujhe āyā dekhophir koī rauzan-e-dīvār se jhāñkā dekho
- کچھ لگی دل کی بجھا لوں تو چلے جائیے گاخیر سینے سے لگا لوں تو چلے جائیے گاkuchh lagī dil kī bujhā lūñ to chale jā.iyegāḳhair sīne se lagā lūñ to chale jā.iyegā
- میں یار کا جلوا ہوںیا دیدۂ موسیٰ ہوںmaiñ yār kā jalvā hūñyā dīda-e-mūsā hūñ