قفس کی تیلیوں سے لے کے شاخ آشیاں تک ہے
Bedam Warsi (1876–1936)قفس کی تیلیوں سے لے کے شاخ آشیاں تک ہے
مری دنیا یہاں سے ہے مری دنیا وہاں تک ہے
زمیں سے آسماں تک آسماں سے لا مکاں تک ہے
خدا جانے ہمارے عشق کی دنیا کہاں تک ہے
خدا جانے کہاں سے جلوۂ جاناں کہاں تک ہے
وہیں تک دیکھ سکتا ہے نظر جس کی جہاں تک ہے
کوئی مر کر تو دیکھے امتحاں گاہ محبت میں
کہ زیر خنجر قاتل حیات جاوداں تک ہے
نیاز و ناز کی روداد حسن و عشق کا قصہ
یہ جو کچھ بھی ہے سب ان کی ہماری داستاں تک ہے
قفس میں بھی وہی خواب پریشاں دیکھتا ہوں میں
کہ جیسے بجلیوں کی رو فلک سے آشیاں تک ہے
خیال یار نے تو آتے ہی گم کر دیا مجھ کو
یہی ہے ابتدا تو انتہا اس کی کہاں تک ہے
جوانی اور پھر ان کی جوانی اے معاذ اللہ
مرا دل کیا تہ و بالا نظام دو جہاں تک ہے
ہم اتنا بھی نہ سمجھے عقل کھوئی دل گنوا بیٹھے
کہ حسن و عشق کی دنیا کہاں سے ہے کہاں تک ہے
وہ سر اور غیر کے در پر جھکے توبہ معاذ اللہ
کہ جس سر کی رسائی تیرے سنگ آستاں تک ہے
یہ کس کی لاش بے گور و کفن پامال ہوتی ہے
زمیں جنبش میں ہے برہم نظام آسماں تک ہے
جدھر دیکھو ادھر بکھرے ہیں تنکے آشیانے کے
مری بربادیوں کا سلسلہ یارب کہاں تک ہے
نہ میری سخت جانی پھر نہ ان کی تیغ کا دم خم
میں اس کے امتحاں تک ہوں وہ میرے امتحاں تک ہے
زمیں سے آسماں تک ایک سناٹے کا عالم ہے
نہیں معلوم میرے دل کی ویرانی کہاں تک ہے
ستم گر تجھ سے امید کرم ہوگی جنہیں ہوگی
ہمیں تو دیکھنا یہ تھا کہ تو ظالم کہاں تک ہے
نہیں اہل زمیں پر منحصر ماتم شہیدوں کا
قبائے نیلگوں پہنے فضائے آسماں تک ہے
سنا ہے صوفیوں سے ہم نے اکثر خانقاہوں میں
کہ یہ رنگیں بیانی بیدمؔ رنگیں بیاں تک ہے
qafas ki teliyon se le ke shakh-e-ashiyan tak hai
miri duniya yahan se hai miri duniya wahan tak hai
zamin se asman tak asman se la makan tak hai
khuda jane hamare ishq ki duniya kahan tak hai
khuda jane kahan se jalwa-e-janan kahan tak hai
wahin tak dekh sakta hai nazar jis ki jahan tak hai
koi mar kar to dekhe imtihan gah-e-mohabbat mein
ke zer-e-khanjar-e-qatil hayat-e-jawedan tak hai
niyaz-o-naz ki rudad husn-o-ishq ka qissa
ye jo kuchh bhi hai sab un ki hamari dastan tak hai
qafas mein bhi wahi khwab-e-pareshan dekhta hun main
ke jaise bijliyon ki ro falak se ashiyan tak hai
khayal-e-yar ne to ate hi gum kar diya mujh ko
yahi hai ibtida to intiha us ki kahan tak hai
jawani aur phir un ki jawani ai maaz allah
mira dil kya tah-o-bala nizam-e-do jahan tak hai
ham itna bhi na samjhe aql khoi dil ganwa baithe
ke husn-o-ishq ki duniya kahan se hai kahan tak hai
wo sar aur ghair ke dar par jhuke tauba maaz allah
ke jis sar ki rasai tere sang-e-astan tak hai
ye kis ki lash-e-be gor-o-kafan pamal hoti hai
zamin jumbish mein hai barham nizam-e-asman tak hai
jidhar dekho idhar bikhre hain tinke ashiyane ke
miri barbadiyon ka silsila yarab kahan tak hai
na meri sakht jani phir na un ki tegh ka dam kham
main us ke imtihan tak hun wo mere imtihan tak hai
zamin se asman tak ek sannate ka alam hai
nahin maalum mere dil ki wirani kahan tak hai
sitam gar tujh se ummid-e-karam hogi jinhen hogi
hamen to dekhna ye tha ke tu zalim kahan tak hai
nahin ahl-e-zamin par munhasir matam shahidon ka
qaba-e-nilgun pahne faza-e-asman tak hai
suna hai sufiyon se ham ne aksar khanqahon mein
ke ye rangin bayani bedam rangin bayan tak hai