Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Bakhtiyar Ziya

1922–1984

Poems

Meter
  1. āj phir dasht koī ābla pā māñge haiḳhār bhī tāzgī-e-rang-e-hinā māñge hai
  2. āj mā.il ba karam ik but-e-ra.anā.ī haisārī duniyā mire dāman meñ simaṭ ā.ī hai
  3. ā.o taqdīr ko tadbīr banā kar dekheñin andheroñ ko ujāloñ se milā kar dekheñ
  4. itnā hai zindagī kā ta.alluq ḳhushī ke sāthek ajnabī ho jaise kisī ajnabī ke sāth
  5. ik umr guzārī hai tab rāz ye samjhā haijo kuchh hai mohabbat hai duniyā hai ye uqbā hai
  6. bikhere zulf-e-ruḳh par kaun ye bālā-e-bām āyāḳhayāloñ kī fazā mahkī bahāroñ kā payām āyā
  7. jo samajhnā chāhiye thā vo kahāñ samjhā thā maiñis jahān-e-rang-o-bū ko ḳhākdāñ samjhā thā maiñ
  8. harf-e-ma.anī se judā ho jaisezindagī koī sazā ho jaise
  9. dard samjhe na koī dard kā darmāñ samjhelog vahshat ko ilāj-e-ġham-e-daurāñ samjhe
  10. dilbar kahā rafīq kahā chāra gar kahājo kuchh bhī tum ko ham ne kahā soch kar kahā
  11. dil kā sukūn ānkh kā tārā kise kaheñye sochnā paṛā hai ke apnā kise kaheñ
  12. ranj nā āsūdgī karb-e-hunar dekhegā kaunnaqsh fariyādī hai kis kā dīda var dekhegā kaun
  13. rūdād-e-shauq ye hai mirī muḳhtasar tamāmra.anā.iyoñ meñ kho gayā zauq-e-nazar tamām
  14. karb meñ pyār ke naġhmāt sunā.eñ kaiseġham haqīqat se haqīqat ko chhupā.eñ kaise
  15. koī ḳhadsha hai na tūfān-e-balā kuchh bhī nahīñab na ġhamza hai na andāz-o-adā kuchh bhī nahīñ
  16. nik.hat-o-rang na mausam kī havā ṭhahrī haigul kī qismat meñ ba har hāl-e-fanā ṭhahrī hai
  17. na pūchho vaj.h merī chashm-e-tar kīmiyāñ phir gir ga.ī dīvār ghar kī
  18. hujūm-e-yās meñ jīnā bhī ik azāb huāyahī huā ke mohabbat meñ dil ḳharāb huā