Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

عزیز حیدرآبادی

Poems

Meter
  1. uṭhā.eñ hijr kī shab dil ne āfateñ kyā kiyāummīd-e-vasl meñ jheleñ musībateñ kyā kiyā
  2. un kī ṭhokar meñ sharārat hogīfitne uṭheñge qayāmat hogī
  3. baṛh ga.īñ gustāḳhiyāñ merī sazā ke sāth sāthpyār ātā hai tirī jaur-o-jafā ke sāth sāth
  4. jafā dekhnī thī sitam dekhnā thānasīboñ meñ ranj-o-alam dekhnā thā
  5. dard jātā nazar nahīñ ātāhāl achchhā nazar nahīñ ātā
  6. zindagī nām hai mohabbat kāmarg anjām hai mohabbat kā
  7. shoḳhī uf re tirī nazar kīye phāns banī mire jigar kī
  8. shoḳhī se kashmakash nahīñ achchhī hijāb kīkhul jā.egī girah tire band-e-naqāb kī
  9. zālim tire va.adoñ ne dīvāna banā rakhāsham-e-ruḳh anvar kā parvāna banā rakhā
  10. koī rusvā koī saudā.ī haiik jahāñ āp kā shaidā.ī hai
  11. kyūñ ḳhafā ho kyūñ idhar āte nahīñdekhtā hūñ tum nazar āte nahīñ
  12. nāznīnān jahāñ shobada gar pake haiñdekhne ko to ye bhūle haiñ magar pake haiñ
  13. nāle dam lete nahīñ yārab fuġhāñ ruktī nahīñgo qafas meñ band hūñ lekin zabāñ ruktī nahīñ
  14. na.ara-e-takbīr bhī zāhid nisār-e-naġhma haikis qadar allāh akbar etibār-e-naġhma hai
  15. nigāh-e-nāz meñ hayā bhī haiis banāvaṭ kī intihā bhī hai
  16. vahshat-e-dil kā ajab rang nazar ātā haiarsa-e-hashr mujhe tang nazar ātā hai
  17. mohabbat kā mujhe da.avā hī kyā haichalo jāne bhī do jhagṛā hī kyā hai
  18. na badalnā thā na badlā dil-e-shaidā apnārang har vaqt badaltī rahī duniyā apnā