نگاہ ناز میں حیا بھی ہے
عزیز حیدرآبادینگاہ ناز میں حیا بھی ہے
اس بناوٹ کی انتہا بھی ہے
بے سر و پا نہیں ہے یہ دنیا
ابتدا بھی ہے انتہا بھی ہے
شب فرقت میں کیا کرے کوئی
کچھ اندھیرے میں سوجھتا بھی ہے
میری اک مشت خاک کے پیچھے
باد صرصر بھی ہے صبا بھی ہے
بزم رنداں میں رند بھی ہے عزیزؔ
پارساؤں میں پارسا بھی ہے
nigah-e-naz mein haya bhi hai
is banawat ki intiha bhi hai
be sar-o-pa nahin hai ye duniya
ibtida bhi hai intiha bhi hai
shab-e-furqat mein kya kare koi
kuchh andhere mein sujhta bhi hai
meri ik musht-e-khak ke pichhe
bad-e-sarsar bhi hai saba bhi hai
bazm-e-rindan mein rind bhi hai aziz
parsaon mein parsa bhi hai