Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Zafar Sahbai

b. 1946

Poems

Meter
  1. amīr-e-shahr is ik bāt se ḳhafā hai bahutke shahr bhar meñ sag dard chīḳhtā hai bahut
  2. ai ham safar ye rāh burī kā gumān chhoṛkis ne kahā hai tujh se qadam ke nishān chhoṛ
  3. badan par sabz mausam chhā rahe haiñmagar armān sab murjhā rahe haiñ
  4. be hissī par hissiyyit kī dāstāñ likh dījiyedhūp se ab barf par āb-e-ravāñ likh dījiye
  5. jab adhūre chānd kī parchhā.īñ pānī par paṛīraushnī ik nāmukammal sī kahānī par paṛī
  6. dhundlāhaṭoñ meñ gum the jo manzar chamak ga.emerī nazar se kitne hī parde sarak ga.e
  7. rakhā hai bazm meñ us ne charāġh kar ke mujheabhī to sunnā hai afsāne rāt bhar ke mujhe
  8. sabza se sab dasht bhare haiñ tāl bhare haiñ pānī semere andar ḳhālī pan hai kis kī be īmānī se
  9. shab ke ġham din ke azāboñ se alag rakhtā hūñsārī ta.abīroñ ko ḳhvāboñ se alag rakhtā hūñ
  10. aks zaḳhmoñ kā jabīñ par nahīñ āne detāmaiñ ḳharāsh apne yaqīñ par nahīñ āne detā
  11. kabhī kabhī koī chehra ye kām kartā haimire badan meñ lahū tez gām kartā hai
  12. gul haiñ to āp apnī hī ḳhushbū meñ sochiyejo kuchh bhī sochnā hai vo urdū meñ sochiye
  13. maiñ tumheñ phūl kahūñ tum mujhe ḳhushbū denāmere bāzū meñ zarā pyār se bāzū denā
  14. har ik rishta kahānī ho chalā haihamārā ḳhūn pānī ho chalā hai
  15. hare pato sunahrī dhūp kī qurbat meñ ḳhush rahnāmagar mumkin nahīñ hai ek sī hālat meñ ḳhush rahnā
  16. ye kyā tahrīr pāgal likh rahā haihar ik pyāse ko bādal likh rahā hai