رکھا ہے بزم میں اس نے چراغ کر کے مجھے
Zafar Sahbai (b. 1946)رکھا ہے بزم میں اس نے چراغ کر کے مجھے
ابھی تو سننا ہے افسانے رات بھر کے مجھے
یہ بات تو مرے خواب و خیال میں بھی نہ تھی
ستائیں گے در و دیوار میرے گھر کے مجھے
میں چاہتا تھا کسی پیڑ کا گھنا سایہ
دعائیں دھوپ نے بھیجی ہیں صحن بھر کے مجھے
وہ میرا ہاتھ تو چھوڑیں کہ میں قدم موڑوں
بلا رہے ہیں نئے راستے سفر کے مجھے
چراغ روئے ہے جگ مگ کیا تھا جن کا نصیب
وہ لوگ بھول گئے طاقچے میں دھر کے مجھے
میں اپنے آپ میں وحشت کا اک تماشا تھا
ہوائیں پھول بناتی رہیں کتر کے مجھے
تمام عظمتیں مشکوک ہو گئیں جیسے
وہ اتھلا پن ملا گہرائی میں اتر کے مجھے
دلوں کے بیچ نہ دیوار ہے نہ سرحد ہے
دکھائی دیتے ہیں سب فاصلے نظر کے مجھے
rakha hai bazm mein us ne charagh kar ke mujhe
abhi to sunna hai afsane rat bhar ke mujhe
ye bat to mire khwab-o-khayal mein bhi na thi
sataenge dar-o-diwar mere ghar ke mujhe
main chahta tha kisi per ka ghana saya
duaen dhup ne bheji hain sehn bhar ke mujhe
wo mera hath to chhoren ke main qadam morun
bala rahe hain nae raste safar ke mujhe
charagh roe hai jag mag kya tha jin ka nasib
wo log bhul gae taqche mein dhar ke mujhe
main apne ap mein wahshat ka ik tamasha tha
hawaen phul banati rahen katar ke mujhe
tamam azmaten mashkuk ho gain jaise
wo athla pan mila gahrai mein utar ke mujhe
dilon ke bich na diwar hai na sarhad hai
dikhai dete hain sab fasle nazar ke mujhe