Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

سراج الدین ظفر

Poems

Meter
  1. uṭho zamāne ke āshob kā izāla kareñbanām-e-gul badanāñ ruḳh sū-e-pyāla kareñ
  2. azal se justujū kī sargirānī le ke āyā hūñtalāsh-e-husn hai sham-e-javānī le ke āyā hūñ
  3. islāh ahl-e-hosh kā yārā nahīñ hameñis qaum par ḳhudā ne utārā nahīñ hameñ
  4. aur khul jā ke ma.ārif kī guzar gāhoñ meñpech ai zulf-e-siyah fām abhī bāqī haiñ
  5. ai ahl-e-nazar soz hameñ sāz hameñ haiñālam meñ pas-e-parda-e-parvāz hameñ haiñ
  6. baġhair sāġhar-o-yār-e-javāñ nahīñ guzrehamārī umr ke din rā.īgāñ nahīñ guzre
  7. phirtī hai justujū meñ nasīm-e-vatan kahāñab maiñ ḳhizāñ rasīda kahāñ aur chaman kahāñ
  8. dar-e-mai ḳhāna se dīvār-e-chaman tak pahuñcheham ġhazāloñ ke ta.āqub meñ ḳhutan tak pahuñche
  9. din ko bahr-o-bar kā sīna chīr kar rakh dījiyerāt ko phir pā.e gul raviyāñ pe sar rakh dījiye
  10. rahīn-e-bīm-e-hastī hai dil-e-dīvāna barsoñ sehavā kī zad meñ hai apnā charāġh-e-ḳhāna barsoñ se
  11. sāġhar uṭhā ke zohd ko rad ham ne kar diyāphir zindagī ke jazr ko mad ham ne kar diyā
  12. sab māsivā-e-ishq fareb-e-sarāb haimaiñ bhī hūñ ḳhvāb merī javānī bhī ḳhvāb hai
  13. shāyad ruḳh-e-hayāt se sarke naqāb aurbhar do mire subū meñ sharāb-e-gulāb aur
  14. shauq rātoñ ko hai darpa.e ke tapāñ ho jā.ūñraqs-e-vahshat meñ uṭhūñ aur dhuāñ ho jā.ūñ
  15. ishq ko kā.ināt kā maqsad-o-mudda.ā samajhphir tirā zarf hai use dard samajh davā samajh
  16. ishq meñ kyā hāthoñ se kisī ke dāman hastī chhūṭ gayāsham.a koī ḳhāmosh huī yā koī sitārā ṭūṭ gayā
  17. koī ranj hai na shikāyateñ mujhe apne hosh parīda seye vo sham.a thī jo bhaṛak uṭhī mirī āh-e-nīm kashīda se
  18. lā.ī nahīñ payām koī zulf-e-yār semujh ko shikāyateñ haiñ nasīm-e-bahār se
  19. mausam-e-gul tire inām abhī bāqī haiñshahr meñ aur gul andām abhī bāqī haiñ
  20. maiñ ne kahā ke tajziya-e-jism-o-jāñ karous ne kahā ye bāt supurd-e-butāñ karo
  21. ham āhūin shab kā bharam kholte rahemīzān-e-dilbarī pe unheñ tolte rahe
  22. ham dil zohra vashāñ meñ ḳhāliq-e-andesha haiñgo ḳharābātī sahī jibrīl ke ham pesha haiñ
  23. yā rab sarāb-e-ahl-e-havas se najāt demujh ko sharāb de unheñ āb-e-hayāt de