Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Naeem Saba

Poems

  1. ā.īna ik ḳhayāl kā hūñ shīsha gar nahīñmaiñ vo makāñ hūñ jis kā koī bām-o-dar nahīñ
  2. ab mere liye ānkh terī nam hai mujhe kyāab tark-e-marāsim kā tujhe ġham hai mujhe kyā
  3. hijāb husn meñ yā husn-e-be hijāb meñ haiye raushnī kā safar aks-e-māhtāb meñ hai
  4. raḳht-e-safar kā maiñ ne irāda nahīñ kiyāraushan charāġh-e-manzil-e-jāda nahīñ kiyā
  5. firāq-e-yār meñ aisī bhī ek shab ā.īcharāġh jal gayā ānkhoñ meñ nīnd jab ā.ī
  6. kabhī masjid kabhī mandir se uṭhāik savālī thā tire dar se uṭhā
  7. kaf-e-ġhubār meñ malbūs merā paikar thāye sāneha to azal se mirā muqaddar thā
  8. gila hai apne muqaddar kī be hissī se hameñaur is se baṛh ke shikāyat hai zindagī se hameñ
  9. mire qarīb vo āyā thā rūbarū na huānazar milā ke bhī mā.il ba guftugū na huā
  10. nishāt-e-mai hai ke jām-e-sharāb hai kyā haivo ḳhvāb-e-husn hai yā husn ḳhvāb hai kyā hai
  11. vo dil kashī jo tire husn aur jamāl meñ haiusī kā aks farozāñ mire ḳhayāl meñ hai
  12. hazār ġham hūñ to phir intiḳhāb kaise karūñdarīda dil ko maiñ nazr-e-azāb kaise karūñ
  13. havā kī zad pe diye ko sambhāl rakhā haifasīl-e-shab pe ujālā bahāl rakhā hai
  14. ye tere hijr kā mausam sarāb jaisā haihar ek lamha musalsal azāb jaisā hai