Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Kafeel Aazar Amrohvi

b. 1940

Poems

  1. āj maiñ ne use nazdīk se jā dekhā haivo darīcha to mire qad se bahut ūnchā hai
  2. udāsī kā samundar dekh lenāmirī ānkhoñ meñ ā kar dekh lenā
  3. us kī ānkhoñ meñ utar jāne ko jī chāhtā haishām hotī hai to ghar jāne ko jī chāhtā hai
  4. tum se rāh-o-rasm baṛhā kar dīvāne kahlā.eñ kyūñjin galiyoñ meñ patthar barseñ un galiyoñ meñ jā.eñ kyūñ
  5. tanhā.ī kī galī meñ havā.oñ kā shor thāānkhoñ meñ so rahā thā andherā thakā huā
  6. jāte jāte ye nishānī de gayāvo mirī ānkhoñ meñ pānī de gayā
  7. rāt bhar chānd kī galiyoñ meñ pharātī hai mujhezindagī kitne hasīñ ḳhvāb dikhātī hai mujhe
  8. rāt ke dasht meñ phailā huā sannāṭā hūñapne sā.e se bichhaṛne kī sazā pātā hūñ
  9. sukūñ thoṛā sā pāyā dhūp ke ṭhanḍe makānoñ meñbahut jalne lagā thā jism barfīlī chaṭānoñ meñ
  10. koī manzil nahīñ miltī to ṭhahar jāte haiñashk ānkhoñ meñ musāfir kī tarah āte haiñ
  11. gumshuda tanhā.iyoñ kī rāzdāñ achchhī to homaiñ yahāñ achchhā nahīñ hūñ tum vahāñ achchhī to ho
  12. ghaṭā.oñ kī udāsī pī rahā hūñmaiñ ik gahrā samundar ban gayā hūñ
  13. mujh se ab tak ye gila hai mire ġham ḳhvāroñ kokyūñ chhuā maiñ ne tirī yād ke angāroñ ko
  14. ham ne jab koī bhī darvāza khulā pāyā haikitnī guzrī huī bātoñ kā ḳhayāl āyā hai
  15. ye hādisa bhī tire shahr meñ huā hogātamām shahr mujhe ḍhūñḍhtā phirā hogā
  16. ye hādisa to huā hī nahīñ hai tere ba.adhai pur sukūn samundar kuchh is tarah dil kā