Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Jaun Elia

جون ایلیا

1931–2002Born in AmrohaDied in Karachi

Syed Hussain Sibt-e-Asghar Naqvi, known as Jaun Elia, was the younger brother of the poet Rais Amrohvi. He migrated to Pakistan in the mid-1950s and settled in Karachi. He edited the magazine Insha and translated Arabic and Persian treatises. His first collection, Shayad, appeared when he was about sixty; Yaani, Guman, Lekin and Goya were published after his death.

Writes about

  • Love
  • Philosophy
  • Class consciousness
  • Rebellion

Poems

  1. har dhaṛkan haijānī thī har ḳhāmoshī tūfānī thīphir bhī mohabbat sirf-e-musalsal milne kī āsānī thī
  2. ham āndhiyoñ ke ban meñ kisī kārvāñ ke thejāne kahāñ se ā.e haiñ jāne kahāñ ke the
  3. hamāre zaḳhm-e-tamannā purāne ho ga.e haiñke us galī meñ ga.e ab zamāne ho ga.e haiñ
  4. ham to jaise vahāñ ke the hī nahīñbe amāñ the amāñ ke the hī nahīñ
  5. ham jī rahe haiñ koī bahāna kiye baġhairus ke baġhair us kī tamannā kiye baġhair
  6. ham rahe par nahīñ rahe ābādyād ke ghar nahīñ rahe ābād
  7. ham kahāñ aur tum kahāñ jānāñhaiñ ka.ī hijr darmiyāñ jānāñ
  8. ho kā ālam hai yahāñ nāla garoñ ke hoteshahr-e-ḳhāmosh hai shorīda saroñ ke hote
  9. hai bikharne ko ye mahfil rang-o-bū tum kahāñ jā.oge ham kahāñ jā.eñgehar taraf ho rahī hai yahī guftugū tum kahāñ jā.oge ham kahāñ jā.eñge
  10. hai ajab hāl ye zamāne kāyād bhī tūr hai bhulāne kā
  11. hai fasīleñ uṭhā rahā mujh meñjāne ye kaun ā rahā mujh meñ
  12. yād use intihā.ī karte haiñso ham us kī burā.ī karte haiñ
  13. yādoñ kā hisāb rakh rahā hūñsīne meñ azāb rakh rahā hūñ
  14. ye aksar talḳh kāmī sī rahī kyāmohabbat zak uṭhā kar ā.ī thī kyā
  15. ye paiham talḳh kāmī sī rahī kyāmohabbat zahr khā ke ā.ī thī kyā
  16. ye jo sunā ik din vo havelī yaksar be āsār girīham jab bhī sā.e meñ baiṭhe dil par ik dīvār girī
  17. tum jab ā.ogī to khoyā huā pā.ogī mujhemerī tanhā.ī meñ ḳhvāboñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
  18. tumhārī yād mire dil kā dāġh hai lekinsafar ke vaqt to be tarah yād ātī ho
  19. tumhāre nām tumhāre nishāñ se be sarokārtumhārī yād ke mausam guzarte jāte haiñ
  20. chāhtā hūñ ke bhūl jā.ūñ tumheñaur ye sab darīcha hā-e-ḳhayāl
  21. dhund chhā.ī huī hai jhīloñ paruṛ rahe haiñ parind ṭīloñ par
  22. mujh se pahle ke dinab bahut yād āne lage haiñ tumheñ
  23. mujhe tum apnī bānhoñ meñ jakaṛ lo aur maiñ tum kokisī bhī dil kushā jazbe se yaksar nā shanāsāna
  24. nahīñ ma.alūm zarīvan ab tumhārī umr kyā hogīvo kin ḳhvāboñ se jāne āshnā nā āshnā hogī
  25. vo kitāb-e-husn vo ilm-o-adab kī tālibavo mohazzab vo muaddib vo muqaddas rāhiba
  26. har bār mere sāmne ātī rahī ho tumhar bār tum se mil ke bichhaṛtā rahā hūñ maiñ
  27. ye kitāboñ kī saf ba saf jaldeñkāġhazoñ kā fuzūl istemāl
  28. baras guzre tumheñ soe hueuṭh jā.o suntī ho ab uṭh jā.o
  29. bisāt-e-zindagī to har ghaṛī bichhtī hai uṭhtī haiyahāñ par jitne ḳhāne jitne ghar haiñ
  30. chāhe tum merī bīnā.ī khurach ḍālo phir bhī apne ḳhvāb nahīñ chhoṛūñgāun kī lazzat aur aziyyat se maiñ apnā koī ahd nahīñ toṛūñgā
  31. sunā hai tum ne apne āḳhirī lamhoñ meñ samjhā thāke tum merī hifāzat meñ ho mere bāzūoñ meñ ho
  32. kaun āyā haikoī nahīñ āyā hai pāgal
  33. maiñ shāyad tum ko yaksar bhūlne vālā hūñshāyad jān-e-jāñ shāyad
  34. ek hī to havas rahī hai hameñapnī hālat tabāh kī jā.e
  35. sārī duniyā ke ġham hamāre haiñaur sitam ye ke ham tumhāre haiñ
  36. mustaqil boltā hī rahtā hūñkitnā ḳhāmosh hūñ maiñ andar se
  37. maiñ bhī bahut ajīb hūñ itnā ajīb hūñ ke basḳhud ko tabāh kar liyā aur malāl bhī nahīñ
  38. maiñ jo hūñ jon eliyā hūñ janābus kā be had lihāz kījiye gā