Poet
Hatim Ali Mehr
حاتم علی مہر1815–1879
Poems
- آفتاب اب نہیں نکلنے کادور آیا شراب ڈھلنے کاāftāb ab nahīñ nikalne kādūr āyā sharāb ḍhalne kā
- اس دور میں ہر اک تہ چرخ کہن لٹااوروں کا زر لٹا مرا نقد سخن لٹاis daur meñ har ik tah-e-charḳh-e-kuhan luṭāauroñ kā zar luṭā mirā naqd-e-suḳhan luṭā
- اس زلف کے سودے کا خلل جائے تو اچھااس پیچ سے دل اپنا نکل جائے تو اچھاis zulf ke saude kā ḳhalal jā.e to achchhāis pech se dil apnā nikal jā.e to achchhā
- ایذائیں اٹھائے ہوئے دکھ پاے ہوئے ہیںہم دل سے بتنگ آئے ہیں اکتائے ہوئے ہیںīzā.eñ uṭhā.e hue dukh pāe hue haiñham dil se batang ā.e haiñ uktā.e hue haiñ
- اے مہرؔ جو واں نقاب سر کاتڑکا ہو جائے گا سحر کاai mehr jo vāñ naqāb sar kātaṛkā ho jā.egā sahar kā
- بتوں کا سامنا ہے اور میں ہوںخدا کا آسرا ہے اور میں ہوںbutoñ kā sāmnā hai aur maiñ hūñḳhudā kā āsrā hai aur maiñ hūñ
- بدن یار کی بو باس اڑا لائے ہواجان آئے جو وہاں ہو کے یہاں آئے ہواbadan-e-yār kī bū bās uṛā lā.e huājān ā.e jo vahāñ ho ke yahāñ ā.e huā
- بہ خدا ہیں تری ہندو بت مے خوار آنکھیںنشہ کی ڈوری نہیں پہنے ہیں زنار آنکھیںba ḳhudā haiñ tirī hindū but-e-mai ḳhvār ānkheñnasha kī ḍorī nahīñ pahne haiñ zunnār ānkheñ
- پتلی کی عوض ہوں بت رعناۓ بنارساللہ پھر ان آنکھوں کو دکھلائے بنارسputlī kī evaz hūñ but-e-ra.anā-e-banārasallāh phir in ānkhoñ ko dikhlā.e banāras
- پوچھے گا جو وہ رشک قمر حال ہمارااے مہرؔ چمک جائے گا اقبال ہماراpūchhegā jo vo rashk-e-qamar hāl hamārāai mehr chamak jā.egā iqbāl hamārā
- جو مہندی کا بٹنا ملا کیجئے گاپسینے کو عطر حنا کیجئے گاjo mehndī kā baṭnā milā kījiye gāpasīne ko itr-e-hinā kījiye gā
- چین پہلو میں اسے صبح نہیں شام نہیںایک دم بھی دل بیمار کو آرام نہیںchain pahlū meñ use sub.h nahīñ shām nahīñek dam bhī dil-e-bīmār ko ārām nahīñ
- دریا طوفان بہہ رہا ہےآنکھوں کا عجیب ماجرا ہےdariyā tūfān bah rahā haiānkhoñ kā ajīb mājrā hai
- دل لے گئی وہ زلف رسا کام کر گئیکعبہ کو ڈھ گئی یہ بلا کام کر گئیdil le ga.ī vo zulf-e-rasā kām kar ga.īka.aba ko ḍha ga.ī ye balā kām kar ga.ī
- دوپہر رات آ چکی حیلہ بہانہ ہو چکااور مستی مل چکے گیسو میں شانہ ہو چکاdopahar rāt ā chukī hīla bahāna ho chukāaur mastī mil chuke gesū meñ shāna ho chukā
- دیدۂ جوہر سے بینا ہو گیاآئنہ محو تماشا ہو گیاdīda-e-jauhar se bīnā ho gayāā.īna mahv-e-tamāshā ho gayā
- ڈبوئے گی بتو یہ جسم دریا بار پانی میںبنے گی موج بھی میرے لیے زنار پانی میںḍuboegī buto ye jism-e-dariyā bār pānī meñbanegī mauj bhī mere liye zunnār pānī meñ
- رنگ صحبت بدلتے جاتے ہیںساتھ کے یار چلتے جاتے ہیںrang-e-sohbat badalte jāte haiñsāth ke yār chalte jāte haiñ
- زلف اندھیر کرنے والی ہےتم نے ناگن بلا کی پالی ہےzulf andher karne vālī haitum ne nāgin balā kī pālī hai
- ساتھ میں اغیار کے میں بھی صف مقتل میں ہوںصورت ترکیب موزوں مصرع مہمل میں ہوںsāth meñ aġhyār ke maiñ bhī saf-e-maqtal meñ hūñsūrat-e-tarkīb-e-mauzūñ misra-e-mohmal meñ hūñ
- ساقی ہے نہ مے ہے نہ دف وچنگ ہے ہولیکیا حال ہے امسال یہ کیا رنگ ہے ہولیsāqī hai na mai hai na daf vachnag hai holīkyā hāl hai imsāl ye kyā rang hai holī
- سر جھکاتا نہیں کبھی شیشہہم سے کرتا ہے سرکشی شیشہsar jhukātā nahīñ kabhī shīshaham se kartā hai sarkashī shīsha
- عالم حیرت کا دیکھو یہ تماشا ایک اوریار نے آئینے میں اپنا سا دیکھا ایک اورālam-e-hairat kā dekho ye tamāshā ek auryār ne ā.īne meñ apnā sā dekhā ek aur
- عجب ہے مہرؔ سے اس شوخ کی وصال کا وقتوہ دوپہر کہ جو مخصوص ہے زوال کا وقتajab hai mehr se us shoḳh kī visāl kā vaqtvo dopahar ke jo maḳhsūs hai zavāl kā vaqt
- عشق جان جہاں نصیب ہوااک زمانہ مرا رقیب ہواishq jān-e-jahāñ nasīb huāik zamāna mirā raqīb huā
- غیر ہنستے ہیں فقط اس لئے ٹل جاتا ہوںمیں بیابانوں میں رونے کو نکل جاتا ہوںġhair hañste haiñ faqat is liye ṭal jātā hūñmaiñ bayābānoñ meñ rone ko nikal jātā hūñ
- قطع ہو کر کاکل شب گیر آدھی رہ گئیاب تو اے سودائیو زنجیر آدھی رہ گئیqat.a ho kar kākul-e-shab gīr ādhī rah ga.īab to ai saudā.iyo zanjīr ādhī rah ga.ī
- کرتے ہیں شوق دید میں باتیں ہوا سے ہمجاتے ہیں کوئے یار میں پہلے صبا سے ہمkarte haiñ shauq-e-dīd meñ bāteñ havā se hamjāte haiñ kū-e-yār meñ pahle sabā se ham
- کوئی لے کر خبر نہیں آتاجو گیا نامہ بر نہیں آتاkoī le kar ḳhabar nahīñ ātājo gayā nāma bar nahīñ ātā
- کھل گیا ان کی مسیحائی کا عالم شب وصلمیرا دم بند ہے دیتے ہیں مجھے دم شب وصلkhul gayā un kī masīhā.ī kā ālam shab-e-vaslmerā dam band hai dete haiñ mujhe dam shab-e-vasl
- گریباں ہاتھ میں ہے پاؤں میں صحرا کا داماں ہےبس اب پاؤں ہیں اپنے اور سر خار مغیلاں ہےgarebāñ hāth meñ hai pā.oñ meñ sahrā kā dāmāñ haibas ab pā.oñ haiñ apne aur sar ḳhār-e-muġhīlāñ hai
- گزرا اپنا پس مردن ہی سہیکوچۂ یار میں مدفن ہی سہیguzrā apnā pas murdan hī sahīkūcha-e-yār meñ madfan hī sahī
- میرے ہی دل کے ستانے کو غم آیا سیدھاراستہ دیکھ لیا ہے مرے گھر کا سیدھاmere hī dil ke satāne ko ġham āyā sīdhārāsta dekh liyā hai mire ghar kā sīdhā
- نالۂ گرم کے اور دم سرد بھرے کیا جئیں ہم تو مرےہم صفیران چمن را کہ رساند خبرے از من نوحہ گرےnāla-e-garm ke aur dam-e-sard bhare kyā jiyeñ ham to mireham safīrān chaman rā ke rasānad ḳhabare az man nauha gire
- نہ دیا بوسۂ لب کھا کے قسم بھول گئےدے کے ایسی مجھے اعجاز کا دم بھول گئےna diyā bosa-e-lab khā ke qasam bhūl ga.ede ke aisī mujhe ejāz kā dam bhūl ga.e
- ہم سے کنارہ کیوں ہے ترے مبتلا ہیں ہماے بحر حسن آ ادھر آ آشنا ہیں ہمham se kināra kyūñ hai tire mubtalā haiñ hamai bahr-e-husn ā idhar ā āshnā haiñ ham