Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

بھارتیندو ہریش چندر

Poems

  1. ā ga.ī sar par qazā lo sārā sāmāñ rah gayāai falak kyā kyā hamāre dil meñ armāñ rah gayā
  2. uṭhā ke nāz se dāman bhalā kidhar ko chaleidhar to dekhiye bahr-e-ḳhudā kidhar ko chale
  3. asīrān-e-qafas sehn-e-chaman ko yād karte haiñbhalā bulbul pe yūñ bhī zulm ai sayyād karte haiñ
  4. bāl bikhere āj parī turbat par mere ā.egīmaut bhī merī ek tamāsha ālam ko dikhlā.egī
  5. baiṭhe jo shām se tire dar pe sahar huīafsos ai qamar ke na mutlaq ḳhabar huī
  6. phir ā.ī fasl-e-gul phir zaḳhm-e-dil rah rah ke pakte haiñmagar dāġh-e-jigar par sūrat-e-lāla lahakte haiñ
  7. jahāñ dekho vahāñ maujūd merā krishn pyārā haiusī kā sab hai jalvā jo jahāñ meñ āshkārā hai
  8. ḳhayāl nāvak-e-mizhgāñ meñ bas ham sar paṭakte haiñhamāre dil meñ muddat se ye ḳhār-e-ġham khaṭakte haiñ
  9. dasht paimā.ī kā gar qasd-e-mukarrar hogāhar sar-e-ḳhār piye ābla nashtar hogā
  10. dil ātish-e-hijrāñ se jalānā nahīñ achchhāai shola raḳhv āg lagānā nahīñ achchhā
  11. rahe na ek bhī bedād gar sitam bāqīruke na hāth abhī tak hai dam meñ dam bāqī
  12. ajab joban hai gul par āmad-e-fasl-e-bahārī haishitāb ā sāqiyā gul rū ke terī yādgārī hai
  13. ġhazab hai surma de kar āj vo bāhar nikalte haiñabhī se kuchh dil-e-muztar par apne tīr chalte haiñ
  14. gale mujh ko lagā lo ai mire dil dār holī meñbujhe dil kī lagī bhī to ai mere yār holī meñ
  15. nīnd ātī hī nahīñ dhaṛke kī bas āvāz setang āyā hūñ maiñ is pursoz dil ke sāz se