Poet
Aal-e-Raza Raza
1896–1978
Poems
- آج یوں دل نے ان کا نام لیاجیسے گرتے ہوئے کو تھام لیاāj yūñ dil ne un kā nām liyājaise girte hue ko thām liyā
- اب ہم کو کسی سے کوئی شکوہ نہ رہے گاجب تم نہ رہے کوئی ہمارا نہ رہے گاab ham ko kisī se koī shikva na rahegājab tum na rahe koī hamārā na rahegā
- اک چاہ کی نگاہ کا افسانہ بن گیاوہ انگلیاں اٹھیں کہ میں دیوانہ بن گیاik chāh kī nigāh kā afsāna ban gayāvo ungliyāñ uṭheñ ke maiñ dīvāna ban gayā
- بقدر شوق جو اب ان کا آسرا نہ رہاجئے تو جاتے ہیں جینے کا حوصلہ نہ رہاbaqadr-e-shauq jo ab un kā āsrā na rahājiye to jāte haiñ jīne kā hausla na rahā
- پہونچی نہ دل کی بات حدود پیام تکباقی ہیں ان پہ کتنے جواب سلام تکpahūnchī na dil kī bāt hudūd-e-payām takbāqī haiñ un pe kitne javāb-e-salām tak
- تری سوکھے ہوئے ہونٹوں پہ آ جانے سے کیا ہوگابہت ترسے ہیں ساقی ایک پیمانے سے کیا ہوگاtirī sūkhe hue honṭoñ pe ā jāne se kyā hogābahut tarse haiñ sāqī ek paimāne se kyā hogā
- تم کو تو کبھی دل سے بلانا نہیں آتاہم آ کے جو بیٹھے ہیں تو جانا نہیں آتاtum ko to kabhī dil se bulānā nahīñ ātāham ā ke jo baiṭhe haiñ to jānā nahīñ ātā
- جنوں بگڑی ہوئی حالات کے بننے کا گماں کب تکگریباں جا چکا کب کا رہیں گی دھجیاں کب تکjunūñ bigṛī huī hālāt ke banne kā gumāñ kab takgarebāñ jā chukā kab kā raheñgī dhajjiyāñ kab tak
- جو خود نہ اپنے ارادے سے بد گماں ہوتاقدم اٹھاتے ہی منزل پہ کارواں ہوتاjo ḳhud na apne irāde se bad gumāñ hotāqadam uṭhāte hī manzil pe kārvāñ hotā
- حسن کی فطرت میں دل آزاریاںاس پہ ظالم نت نئی تیاریاںhusn kī fitrat meñ dil āzāriyāñus pe zālim nit na.ī tayyāriyāñ
- دن ہے بھاری غم فرقت کے گرفتاروں پررات کٹتی ہے دہکتے ہوئے انگاروں پرdin hai bhārī ġham-e-furqat ke giraftāroñ parrāt kaṭṭī hai dahakte hue angāroñ par
- سوچ کیا اس کا ملا کیا اور کیا مطلوب تھاخواب ہی ٹھہرا تو جتنی دیر دیکھا خوب تھاsoch kyā us kā milā kyā aur kiyā matlūb thāḳhvāb hī ṭhahrā to jitnī der dekhā ḳhūb thā
- قریب کچھ نہ ملا دور سے دھواں دیکھاقفس سے چھوٹ کے کیا خوب آشیاں دیکھاqarīb kuchh na milā dūr se dhuāñ dekhāqafas se chhūṭ ke kyā ḳhūb āshiyāñ dekhā
- قسمت میں خوشی جتنی تھی ہوئی اور غم بھی ہے جتنا ہونا ہےگھر پھونک تماشا دیکھ چکے اب جنگل جنگل رونا ہےqismat meñ ḳhushī jitnī thī huī aur ġham bhī hai jitnā honā haighar phūñk tamāshā dekh chuke ab jangal jangal ronā hai
- کب پھول کھلیں شغل چھڑے جامہ دری کاسوئے تھے سر شام کھلی پچھلے پہر آنکھkab phūl khuleñ shaġhl chhiṛe jāma darī kāsoe the sar-e-shām khulī pichhle pahar ānkh
- مایوس خود بہ خود دل امیدوار ہےاس گل میں بو خزاں کی ہے رنگ بہار ہےmāyūs ḳhud ba ḳhud dil-e-umīdvār haius gul meñ bū ḳhizāñ kī hai rang-e-bahār hai
- نہ رکھا کہیں کا نہ اپنا بنایاوہ کیا چاہتے ہیں سمجھ میں نہ آیاna rakhā kahīñ kā na apnā banāyāvo kyā chāhte haiñ samajh meñ na āyā
- وقار ضبط یہی دل کو دل بنا کے رہاجہاں سے درد اٹھا تھا وہیں سما کے رہاvaqār-e-zabt yahī dil ko dil banā ke rahājahāñ se dard uṭhā thā vahīñ samā ke rahā
- ہمیں نے ان کی طرف سے منا لیا دل کووہ کرتے عذر تو یہ اور بھی گراں ہوتاhameñ ne un kī taraf se manā liyā dil kovo karte uzr to ye aur bhī girāñ hotā
- ہے مذاق زندہ دلی یہی اسی مصلحت نے مزا دیانہ جدا ہو دل سے کسک کبھی وہ مزاج درد بنا دیاhai mazāq-e-zinda dilī yahī isī maslahat ne mazā diyāna judā ho dil se kasak kabhī vo mizāj-e-dard banā diyā
- یہی اچھا ہے جو اس طرح مٹائے کوئیآپ بھی پھر مجھے ڈھونڈے تو نہ پائے کوئیyahī achchhā hai jo is tarah miṭā.e koīāp bhī phir mujhe ḍhūñḍe to na pā.e koī