Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Aal-e-Raza Raza

1896–1978

Poems

Meter
  1. āj yūñ dil ne un kā nām liyājaise girte hue ko thām liyā
  2. ab ham ko kisī se koī shikva na rahegājab tum na rahe koī hamārā na rahegā
  3. ik chāh kī nigāh kā afsāna ban gayāvo ungliyāñ uṭheñ ke maiñ dīvāna ban gayā
  4. baqadr-e-shauq jo ab un kā āsrā na rahājiye to jāte haiñ jīne kā hausla na rahā
  5. pahūnchī na dil kī bāt hudūd-e-payām takbāqī haiñ un pe kitne javāb-e-salām tak
  6. tirī sūkhe hue honṭoñ pe ā jāne se kyā hogābahut tarse haiñ sāqī ek paimāne se kyā hogā
  7. tum ko to kabhī dil se bulānā nahīñ ātāham ā ke jo baiṭhe haiñ to jānā nahīñ ātā
  8. junūñ bigṛī huī hālāt ke banne kā gumāñ kab takgarebāñ jā chukā kab kā raheñgī dhajjiyāñ kab tak
  9. jo ḳhud na apne irāde se bad gumāñ hotāqadam uṭhāte hī manzil pe kārvāñ hotā
  10. husn kī fitrat meñ dil āzāriyāñus pe zālim nit na.ī tayyāriyāñ
  11. din hai bhārī ġham-e-furqat ke giraftāroñ parrāt kaṭṭī hai dahakte hue angāroñ par
  12. soch kyā us kā milā kyā aur kiyā matlūb thāḳhvāb hī ṭhahrā to jitnī der dekhā ḳhūb thā
  13. qarīb kuchh na milā dūr se dhuāñ dekhāqafas se chhūṭ ke kyā ḳhūb āshiyāñ dekhā
  14. qismat meñ ḳhushī jitnī thī huī aur ġham bhī hai jitnā honā haighar phūñk tamāshā dekh chuke ab jangal jangal ronā hai
  15. kab phūl khuleñ shaġhl chhiṛe jāma darī kāsoe the sar-e-shām khulī pichhle pahar ānkh
  16. māyūs ḳhud ba ḳhud dil-e-umīdvār haius gul meñ bū ḳhizāñ kī hai rang-e-bahār hai
  17. na rakhā kahīñ kā na apnā banāyāvo kyā chāhte haiñ samajh meñ na āyā
  18. vaqār-e-zabt yahī dil ko dil banā ke rahājahāñ se dard uṭhā thā vahīñ samā ke rahā
  19. hameñ ne un kī taraf se manā liyā dil kovo karte uzr to ye aur bhī girāñ hotā
  20. hai mazāq-e-zinda dilī yahī isī maslahat ne mazā diyāna judā ho dil se kasak kabhī vo mizāj-e-dard banā diyā
  21. yahī achchhā hai jo is tarah miṭā.e koīāp bhī phir mujhe ḍhūñḍe to na pā.e koī
  22. un ke sitam bhī kah nahīñ sakte kisī se hamghuṭ ghuṭ ke mar rahe haiñ ajab be basī se ham
  23. tum razā ban ke musalmān jo kāfir hī rahetum se behtar hai vo kāfir jo musalmāñ na huā
  24. jo chāhte ho so kahte ho chup rahne kī lazzat kyā jānoye rāz-e-mohabbat hai pyāre tum rāz-e-mohabbat kyā jāno