Poetry
Muzari' Musamman Akhrab Makfuf Mahzuf
مضارع مثمن اخرب مکفوف محذوف- اس کا خرام دیکھ کے جایا نہ جائے گااے کبک پھر بحال بھی آیا نہ جائے گاus kā ḳhirām dekh ke jāyā na jā.egāai kabk phir bahāl bhī āyā na jā.egāMir Taqi Mir (1723–1810)
- اس کا خیال چشم سے شب خواب لے گیاقسمے کہ عشق جی سے مرے تاب لے گیاus kā ḳhayāl-e-chashm se shab ḳhvāb le gayāqismai ke ishq jī se mire tāb le gayāMir Taqi Mir (1723–1810)
- اندوہ سے ہوئی نہ رہائی تمام شبمجھ دل زدہ کو نیند نہ آئی تمام شبandoh se huī na rihā.ī tamām shabmujh dil zada ko nīnd na ā.ī tamām shabMir Taqi Mir (1723–1810)
- اے ابر تر تو اور کسی سمت کو برساس ملک میں ہماری ہے یہ چشم تر ہی بسai abr-e-tar to aur kisī samt ko barasis mulk meñ hamārī hai ye chashm-e-tar hī basMir Taqi Mir (1723–1810)
- برقع اٹھا تھا رخ سے مرے بد گمان کادیکھا تو اور رنگ ہے سارے جہان کاburqa.a uṭhā thā ruḳh se mire bad gumān kādekhā to aur rang hai sāre jahān kāMir Taqi Mir (1723–1810)
- پل میں جہاں کو دیکھتے میرے ڈبو چکااک وقت میں یہ دیدہ بھی طوفان رو چکاpal meñ jahāñ ko dekhte mere ḍubo chukāik vaqt meñ ye dīda bhī tūfān ro chukāMir Taqi Mir (1723–1810)
- تھا مستعار حسن سے اس کے جو نور تھاخورشید میں بھی اس ہی کا ذرہ ظہور تھاthā musta.ār husn se us ke jo nūr thāḳhurshīd meñ bhī is hī kā zarra zuhūr thāMir Taqi Mir (1723–1810)
- تیغ ستم سے اس کی مرا سر جدا ہواشکر خدا کہ حق محبت ادا ہواteġh-e-sitam se us kī mirā sar judā huāshukr-e-ḳhudā ke haq mohabbat adā huāMir Taqi Mir (1723–1810)
- جز جرم عشق کوئی بھی ثابت کیا گناہناحق ہماری جان لی اچھے ہو واہ واہjuz jurm-e-ishq koī bhī sābit kiyā gunāhnāhaq hamārī jān lī achchhe ho vāh vāhMir Taqi Mir (1723–1810)
- جن جن کو تھا یہ عشق کا آزار مر گئےاکثر ہمارے ساتھ کے بیمار مر گئےjin jin ko thā ye ishq kā āzār mar ga.eaksar hamāre sāth ke bīmār mar ga.eMir Taqi Mir (1723–1810)
- جھمکے دکھا کے طور کو جن نے جلا دیاآئی قیامت ان نے جو پردہ اٹھا دیاjhamke dikhā ke tūr ko jin ne jalā diyāā.ī qayāmat un ne jo parda uṭhā diyāMir Taqi Mir (1723–1810)
- خاطر کرے ہے جمع وہ ہر بار ایک طرحکرتا ہے چرخ مجھ سے نئے یار ایک طرحḳhātir kare hai jam.a vo har bār ek tarahkartā hai charḳh mujh se na.e yār ek tarahMir Taqi Mir (1723–1810)
- خط لکھ کے کوئی سادہ نہ اس کو ملول ہوہم تو ہوں بد گمان جو قاصد رسول ہوḳhat likh ke koī sāda na us ko malūl hoham to hūñ bad gumān jo qāsid rasūl hoMir Taqi Mir (1723–1810)
- خوبی کا اس کی بسکہ طلب گار ہو گیاگل باغ میں گلے کا مرے ہار ہو گیاḳhūbī kā us kī baske talab gār ho gayāgul bāġh meñ gale kā mire hār ho gayāMir Taqi Mir (1723–1810)
- دل عشق کا ہمیشہ حریف نبرد تھااب جس جگہ کہ داغ ہے یاں آگے درد تھاdil ishq kā hamesha harīf-e-nabard thāab jis jagah ke dāġh hai yāñ āge dard thāMir Taqi Mir (1723–1810)
- دل کی طرف کچھ آہ سے دل کا لگاؤ ہےٹک آپ بھی تو آئیے یاں زور باؤ ہےdil kī taraf kuchh āh se dil kā lagā.o haiṭuk āp bhī to ā.iye yāñ zor bā.o haiMir Taqi Mir (1723–1810)
- دو دن سے کچھ بنی تھی سو پھر شب بگڑ گئیصحبت ہماری یار سے بے ڈھب بگڑ گئیdo din se kuchh banī thī so phir shab bigaṛ ga.īsohbat hamārī yār se be ḍhab bigaṛ ga.īMir Taqi Mir (1723–1810)
- رفتار و طور و طرز و روش کا یہ ڈھب ہے کیاپہلے سلوک ایسے ہی تیرے تھے اب ہے کیاraftār-o-tūr-o-tarz-o-ravish kā ye ḍhab hai kyāpahle sulūk aise hī tere the ab hai kyāMir Taqi Mir (1723–1810)
- رہتا ہے ہڈیوں سے مری جو ہما لگاکچھ درد عاشقی کا اسے بھی مزہ لگاrahtā hai haḍḍiyoñ se mirī jo humā lagākuchh dard āshiqī kā use bhī maza lagāMir Taqi Mir (1723–1810)
- سمجھے تھے میرؔ ہم کہ یہ ناسور کم ہواپھر ان دنوں میں دیدۂ خوں بار نم ہواsamjhe the mīr ham ke ye nāsūr kam huāphir in dinoñ meñ dīda-e-ḳhūñ bār nam huāMir Taqi Mir (1723–1810)
- شب درد و غم سے عرصہ مرے جی پہ تنگ تھاآیا شب فراق تھی یا روز جنگ تھاshab dard-o-ġham se arsa mire jī pe tang thāāyā shab-e-firāq thī yā roz-e-jang thāMir Taqi Mir (1723–1810)
- شب شمع پر پتنگ کے آنے کو عشق ہےاس دل جلے کے تاب کے لانے کو عشق ہےshab sham.a par patang ke āne ko ishq haiis dil jale ke tāb ke lāne ko ishq haiMir Taqi Mir (1723–1810)
- غم اس کو ساری رات سنایا تو کیا ہوایا روز اٹھ کے سر کو پھرایا تو کیا ہواġham us ko sārī rāt sunāyā to kyā huāyā roz uṭh ke sar ko pharāyā to kyā huāMir Taqi Mir (1723–1810)
- غمزے نے اس کے چوری میں دل کی ہنر کیااس خانماں خراب نے آنکھوں میں گھر کیاġhamze ne us ke chorī meñ dil kī hunar kiyāis ḳhānumāñ ḳharāb ne ānkhoñ meñ ghar kiyāMir Taqi Mir (1723–1810)
- قابو خزاں سے ضعف کا گلشن میں بن گیادوش ہوا پہ رنگ گل و یاسمن گیاqābū ḳhizāñ se zof kā gulshan meñ ban gayādosh huā pe rang-e-gul-o-yāsaman gayāMir Taqi Mir (1723–1810)
- کس شام سے اٹھا تھا مرے دل میں درد ساسو ہو چلا ہوں پیشتر از صبح سرد ساkis shām se uṭhā thā mire dil meñ dard sāso ho chalā hūñ peshtar az sub.h sard sāMir Taqi Mir (1723–1810)
- کل بارے ہم سے اس سے ملاقات ہو گئیدو دو بچن کے ہونے میں اک بات ہو گئیkal bāre ham se us se mulāqāt ho ga.īdo do bachan ke hone meñ ik bāt ho ga.īMir Taqi Mir (1723–1810)
- کھوویں ہیں نیند میری مصیبت بیانیاںتم بھی تو ایک رات سنو یہ کہانیاںkhoveñ haiñ nīnd merī musībat bayāniyāñtum bhī to ek rāt suno ye kahāniyāñMir Taqi Mir (1723–1810)
- کیا بلبل اسیر ہے بے بال و پر کہ ہمگل کب رکھے ہے ٹکڑے جگر اس قدر کہ ہمkyā bulbul-e-asīr hai be bāl-o-par ke hamgul kab rakhe hai ṭukṛe jigar is qadar ke hamMir Taqi Mir (1723–1810)
- کیسا چمن اسیری میں کس کو ادھر خیالپرواز خواب ہو گئی ہے بال و پر خیالkaisā chaman asīrī meñ kis ko idhar ḳhayālparvāz ḳhvāb ho ga.ī hai bāl-o-par ḳhayālMir Taqi Mir (1723–1810)
- گر کچھ ہو درد آئینہ یوں چرخ زشت میںان صورتوں کو صرف کرے خاک و خشت میںgar kuchh ho dard ā.īna yūñ charḳh zisht meñin sūratoñ ko sirf kare ḳhāk-o-ḳhisht meñMir Taqi Mir (1723–1810)
- گرمی سے میں تو آتش غم کی پگھل گیاراتوں کو روتے روتے ہی جوں شمع گل گیاgarmī se maiñ to ātish-e-ġham kī pighal gayārātoñ ko rote rote hī jūñ sham-e-gul gayāMir Taqi Mir (1723–1810)
- گزرا بنائے چرخ سے نالہ پگاہ کاخانہ خراب ہو جیو اس دل کی چاہ کاguzrā banā.e charḳh se nāla pagāh kāḳhāna ḳharāb ho jiyo is dil kī chāh kāMir Taqi Mir (1723–1810)
- مجھ سوز بعد مرگ سے آگاہ کون ہےشمع مزار میر بجز آہ کون ہےmujh soz-e-ba.ad-e-marg se āgāh kaun haisham-e-mazār mīr bajuz āh kaun haiMir Taqi Mir (1723–1810)
- مشہور ہیں دنوں کی مرے بے قراریاںجاتی ہیں لا مکاں کو دل شب کی زاریاںmashhūr haiñ dinoñ kī mire be qarāriyāñjātī haiñ lā makāñ ko dil-e-shab kī zāriyāñMir Taqi Mir (1723–1810)
- مکہ گیا مدینہ گیا کربلا گیاجیسا گیا تھا ویسا ہی چل پھر کے آ گیاmakka gayā madīna gayā karbalā gayājaisā gayā thā vaisā hī chal phir ke ā gayāMir Taqi Mir (1723–1810)
- نکلے ہے جنس حسن کسی کارواں میںیہ وہ نہیں متاع کہ ہو ہر دکان میںnikle hai jins-e-husn kisī kārvāñ meñye vo nahīñ matā ke ho har dukān meñMir Taqi Mir (1723–1810)
- ہر جزر و مد سے دست و بغل اٹھتے ہیں خروشکس کا ہے راز بحر میں یا رب کہ یہ ہیں جوشhar jazr-o-mad se dast-o-baġhal uṭhte haiñ ḳharoshkis kā hai rāz-e-bahr meñ yā rab ke ye haiñ joshMir Taqi Mir (1723–1810)
- ہر ذی حیات کا ہے سبب جو حیات کانکلے ہے جی ہی اس کے لیے کائنات کاhar zī hayāt kā hai sabab jo hayāt kānikle hai jī hī us ke liye kā.ināt kāMir Taqi Mir (1723–1810)
- ہوتی ہے گرچہ کہنے سے یارو پرائی باتپر ہم سے تو تھنبے نہ کبھو منہ پر آئی باتhotī hai garche kahne se yāro parā.ī bātpar ham se to thanbe na kabhū muñh par ā.ī bātMir Taqi Mir (1723–1810)
- یارو مجھے معاف رکھو میں نشے میں ہوںاب دو تو جام خالی ہی دو میں نشے میں ہوںyāro mujhe muāf rakho meñ nashe meñ hūñab do to jām ḳhālī hī do meñ nashe meñ hūñMir Taqi Mir (1723–1810)
- تسکین دل کے واسطے ہر کم بغل کے پاسانصاف کریے کب تئیں مخلص حقیر ہوtaskīn-e-dil ke vāste har kam baġhal ke pāsinsāf kariye kab ta.īñ muḳhlis haqīr hoMir Taqi Mir (1723–1810)
- در ہجو شخصے ہیچمداں کہ دعواے ہمہ دانی داشتMir Taqi Mir (1723–1810)
- در ہجو عاقل نام، ناکسے کہ بہ سگاں انسے تمام داشتMir Taqi Mir (1723–1810)
- بطرز منقبت حضرت امام حسینؓMir Taqi Mir (1723–1810)
- در بیان کذبMir Taqi Mir (1723–1810)
- مخمس در مدح حضرت علیؓ (V)Mir Taqi Mir (1723–1810)
- چاروں طرف ہے شور و فغاں وامصیبتاماتم کدہ ہوا ہے جہاں وامصیبتاchāroñ taraf hai shor-o-fuġhāñ vāmsebtāmātam kada huā hai jahāñ vāmsebtāMir Taqi Mir (1723–1810)
- دل تنگ ہو مدینے سے جب اٹھ چلا حسینناموس اپنے ساتھ لیے سب اٹھا حسینdil tang ho madīne se jab uṭh chalā hasīnnāmūs apne sāth liye sab uṭhā hasīnMir Taqi Mir (1723–1810)
- در مدح حضرت علی مرتضےٰ ؓ (II)Mir Taqi Mir (1723–1810)