Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Zafar Iqbal

ظفر اقبال

Born in Bahawalnagar, 1932

Zafar Iqbal's poetry is mainly ghazal, written in a diction that departs from the traditional idiom of the form. Educated in Okara and Lahore, he practised law in Okara and then Lahore until 2003 and wrote newspaper columns for more than thirty-five years. His first collection was Aab-e-Rawan; others include Gulaftab and Ratb-o-Yabis. He received the Pride of Performance in 1999 and the Hilal-i-Imtiaz in 2014.

Writes about

  • Love
  • Breaking convention
  • Poetic experiment

Poems

  1. na us ko bhūl pā.e haiñ na ham ne yād rakhā haidil-e-barbād ko is tarah se ābād rakhā hai
  2. na koī bāt kahnī hai na koī kām karnā haiaur is ke ba.ad kāfī der tak ārām karnā hai
  3. na koī zaḳhm lagā hai na koī dāġh paṛā haiye ghar bahār kī rātoñ meñ be charāġh paṛā hai
  4. na gumāñ rahne diyā hai na yaqīñ rahne diyārāsta koī khulā ham ne nahīñ rahne diyā
  5. na ghāṭ hai koī apnā na ghar hamārā huāqayām ab ke sar rahguzar hamārā huā
  6. nahīñ ke tere ishāre nahīñ samajhtā hūñsamajh to letā hūñ sāre nahīñ samajhtā hūñ
  7. nahīñ ke dil meñ hamesha ḳhushī bahut ā.īkabhī taraste rahe aur kabhī bahut ā.ī
  8. vo ek tarah se iqrār karne āyā thājo itnī dūr se inkār karne āyā thā
  9. vahī mire ḳhas-o-ḳhāshāk se nikaltā haijo rang sā tirī poshāk se nikaltā hai
  10. vīrāñ thī rāt chānd kā patthar siyāh thāyā parda-e-nigāh sarāsar siyāh thā
  11. hazār bandish auqāt se nikaltā haiye din nahīñ jo mirī rāt se nikaltā hai
  12. hamāre sar se vo tūfāñ kahīñ guzar ga.e haiñchaṛhe hue the jo dariyā sabhī utar ga.e haiñ
  13. ham ne āvāz na dī barg-o-navā hote hueaur milne na ga.e us kā patā hote hue
  14. hameñ bhī matlab-o-ma.anī kī justujū hai bahutharīf-e-harf magar ab ke do ba do hai bahut
  15. havā badal ga.ī us be vafā ke hone sevagarna ḳhalq to ḳhush thī ḳhudā ke hone se
  16. havā-e-vādī-e-dushvār se nahīñ ruktāmusāfir ab tire inkār se nahīñ ruktā
  17. hai aur bāt bahut merī bāt se āgezamīn-e-zarra hai is kā.ināt se āge
  18. hai koī iḳhtiyār duniyā parna hameñ etibār duniyā par
  19. yaqīñ kī ḳhāk uṛāte gumāñ banāte haiñmagar ye turfa imārat kahāñ banāte haiñ
  20. yakso bhī lag rahā hūñ bikharne ke bāvajūdpūrī tarah mirā nahīñ marne ke bāvajūd
  21. yūñ bhī nahīñ ke shām-o-sahar intizār thākahte nahīñ the muñh se magar intizār thā
  22. yūñ bhī hotā hai ke yak dam koī achchhā lag jā.ebāt kuchh bhī na ho aur dil meñ tamāshā lag jā.e
  23. yūñ to kis chīz kī kamī haihar shai lekin bikhar ga.ī hai
  24. yūñ to hai zer-e-nazar har mājrā dekhā huāphir nahīñ dekhā hai vo rang huā dekhā huā
  25. yahāñ sab se alag sab se judā honā thā mujh komagar kyā ho gayā hūñ aur kiyā honā thā mujh ko
  26. yahāñ kisī ko bhī kuchh hasb-e-ārzū na milākisī ko ham na mile aur ham ko to na milā
  27. ye bāt alag hai mirā qātil bhī vahī thāis shahr meñ ta.arīf ke qābil bhī vahī thā
  28. ye bhī mumkin hai ke ānkheñ hūñ tamāshā hī na horās āne lage ham ko to ye duniyā hī na ho
  29. ye zamīn āsmān kā mumkinnahīñ sāre jahān kā mumkin
  30. ye nahīñ kahtā ke dobāra vahī āvāz dekoī āsānī to paidā kar koī āvāz de
  31. ab ke is bazm meñ kuchh apnā pata bhī denāpā.oñ par pā.oñ jo rakhnā to dabā bhī denā
  32. phir pichhle pahar ā.īna-e-ashk meñ zafarlarzāñ rahī vo sāñvlī sūrat saver tak
  33. phir jā rukegī bujhte ḳharāboñ ke des meñsūnī sulagtī sochtī sunsān sī saṛak
  34. tujh ko merī na mujhe terī ḳhabar jā.egīe.id ab ke bhī dabe pā.oñ guzar jā.egī
  35. rāste haiñ khule hue sārephir bhī ye zindagī rukī huī hai
  36. ruḳh pher kar jo abr shabāna meñ chhup gayājī meñ phirā karegī isī chānd kī chamak
  37. safar pīchhe kī jānib hai qadam āge hai merāmaiñ būṛhā hotā jātā hūñ javāñ hone kī ḳhātir
  38. shab bhar ravāñ rahī gul mahtāb kī mahakpau phūṭṭe hī ḳhushk huā chashma-e-falak
  39. ghar nayā bartan na.e kapṛe na.eun purāne kāġhazoñ kā kyā kareñ
  40. mauj havā se kāñp gayā rūh kā charāġhsail sadā meñ ḍūb ga.ī yād kī dhanak
  41. maiñ bikhar jā.ūñgā zanjīr kī kaṛiyoñ kī tarahaur rah jā.egī is dasht meñ jhankār mirī
  42. vo bahut chālāk hai lekin agar himmat kareñpahlā pahlā jhūṭ hai us ko yaqīñ ā jā.egā
  43. vo chehra hāth meñ le kar kitāb kī sūrathar ek lafz har ik naqsh kī adā dekhūñ
  44. yūñ mohabbat se na de merī mohabbat kā javābye sazā saḳht hai thoṛī sī ri.āyat kar de