Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Yasmin Husaini Zaidi Nikhat

Poems

Meter
  1. ānkhoñ ānkhoñ meñ bāt hone lagīḳhālī nīndoñ se rāt hone lagī
  2. apnī hastī meñ simaṭṭī jā rahī hūñsārī duniyā se maiñ kaṭṭī jā rahī hūñ
  3. be hāl dil kā hāl karūñ to ġhazal kahūñjīne kā phir malāl karūñ to ġhazal kahūñ
  4. ḳhvāb palkoñ pe mirī ā ke machal jāte haiñyā kabhī ban ke guhar ānkh se ḍhal jāte haiñ
  5. rāt ānkhoñ meñ ḳhvāb ā.e themuskurāte janāb ā.e the
  6. zindagī meñ zabt paidā kar diyāus ke ġham ne dekhiye kyā kar diyā
  7. kisī sānche meñ ḍhal nahīñ pātīzindagī kyūñ sambhal nahīñ pātī
  8. koī to bāt hogī tumhārī nigāh meñdil jo na rah sakā thā hamārī panāh meñ
  9. kaise har dard ko sīne meñ chhupā.e rakheñaur honṭoñ pe tabassum ko sajā.e rakheñ
  10. mujh pe to gire ḳhanjar tum lahū lahū kyūñ hozaḳhmī mere bāl-o-par tum lahū lahū kyūñ ho
  11. mohabbateñ to mileñ go vafā milī na milīsafar hasīn thā manzil kā kyā milī na milī
  12. merī āvāz ko na qaid karoazm-e-parvāz ko na qaid karo
  13. na kī jafā.oñ meñ us ne koī kasar phir bhīlage hue the ummīdoñ ko merī par phir bhī
  14. vo hue aise mehrbāñ mujh parbār hone lagā jahāñ mujh par