Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Yashab Tamanna

b. 1957

Poems

  1. asrār kaise khol dūñ is āb-o-gul ke maiñmahkā huā hūñ rāt kī rānī se mil ke maiñ
  2. aisā bhī nahīñ dard ne vahshat nahīñ kī haiis ġham kī kabhī ham ne ishā.at nahīñ kī hai
  3. be mehr ta.alluq thā judā honā thā ik dinjo kuchh bhī mire sāth huā honā thā ik din
  4. paṛh chuke haiñ nisāb-e-tanhā.īab likheñge kitāb-e-tanhā.ī
  5. tark-e-ulfat meñ bhī us ne ye rivāyat rakhīroz milne kī purānī vahī ādat rakhī
  6. ta.alluq us se agarche mirā ḳharāb rahāqasam safar kī vahī ek ham rikāb rahā
  7. chāh thī mehr thī mohabbat thīus kī har bāt hī qayāmat thī
  8. ḳhvāb ta.abīr meñ badaltā haiis meñ lekin zamāna lagtā hai
  9. dard kī lahr thī guzar bhī ga.īus ke ham rāh chashm-e-tar bhī ga.ī
  10. rotā huā vo bām mujhe yād hai abhīdil meñ bikhartī shām mujhe yād hai abhī
  11. shām ko us ne merī ḳhātir sajnā chhoṛ diyāmaiñ ne bhī daftar se jaldī ānā chhoṛ diyā
  12. kuchh bhī nahīñ hai pās mire ab sivā.e yādshola sā jal rahā hai dar-e-dil matā-e-yād
  13. kamāl-e-shauq safar bhī idhar hī jātā haikisī safar kā musāfir ho ghar hī jātā hai
  14. koī achchhī ḳhabar ātī nahīñ haishab-e-ġham kī sahar ātī nahīñ hai
  15. laboñ se āshnā.ī de rahā haivo lazzat intihā.ī de rahā hai
  16. maujūd the vo mere hī andar khule huemujh par duā ke ba.ad khule dar khule hue
  17. maiñ pahle dil ke liye hausla banātā hūñphir is ke ba.ad koī āsrā banātā hūñ
  18. vasl bhī hijr thā visāl na thāmil rahe the magar ḳhayāl na thā
  19. vo jo ek chehra damak rahā hai jamāl seuse mil rahī hai ḳhushī kisī ke ḳhayāl se