شام کو اس نے میری خاطر سجنا چھوڑ دیا
Yashab Tamanna (b. 1957)شام کو اس نے میری خاطر سجنا چھوڑ دیا
میں نے بھی دفتر سے جلدی آنا چھوڑ دیا
کب تک اس کے ہجر میں آنکھیں روتیں آخر کو
دریا نے بھی اپنے رخ پر بہنا چھوڑ دیا
پہلے پہلے ہم نے کہنا سننا چھوڑا تھا
ہوتے ہوتے ہم نے باتیں کرنا چھوڑ دیا
اس نے خواب میں آنے کی امید بندھائی ہے
ہجر کی شب کو میں نے تارے گننا چھوڑ دیا
جب سے اپنے دل کے اس نے زخم دکھائے ہیں
میں نے بھی مونس سے باتیں کرنا چھوڑ دیا
sham ko us ne meri khatir sajna chhor diya
main ne bhi daftar se jaldi ana chhor diya
kab tak us ke hijr mein ankhen rotin akhir ko
dariya ne bhi apne rukh par bahna chhor diya
pahle pahle ham ne kahna sunna chhora tha
hote hote ham ne baten karna chhor diya
us ne khwab mein ane ki ummid bandhai hai
hijr ki shab ko main ne tare ginna chhor diya
jab se apne dil ke us ne zakhm dikhae hain
main ne bhi munis se baten karna chhor diya