روتا ہوا وہ بام مجھے یاد ہے ابھی
Yashab Tamanna (b. 1957)روتا ہوا وہ بام مجھے یاد ہے ابھی
دل میں بکھرتی شام مجھے یاد ہے ابھی
پھر کیسے ہو گیا ہے وہی شخص اتنا خاص
سمجھے تھے جس کو عام مجھے یاد ہے ابھی
ہم اور ساتھ ساتھ کبھی اس طرح ملیں
جیسے خیال خام مجھے یاد ہے ابھی
وہ گفتگو نگاہوں نگاہوں میں یاد ہے
سرگوشی میں سلام مجھے یاد ہے ابھی
کیسے سنبھل سنبھل کے بڑا دیکھ بھال کر
ہم تم تھے ہم کلام مجھے یاد ہے ابھی
کیا دن تھے خواہشوں کی بڑی ریل پیل تھی
جذبوں کا ازدحام مجھے یاد ہے ابھی
پوچھا کہ میرے دل میں اقامت ہے کب تلک
اس نے کہا مدام مجھے یاد ہے ابھی
پوچھا کہ زندگی میں مرا ہم سفر ہے کون
میں نے کہا غلام مجھے یاد ہے ابھی
اب تک وہ ذائقہ بھی مجھے یاد ہے یشبؔ
ہم نے پیا تھا جام مجھے یاد ہے ابھی
rota hua wo bam mujhe yad hai abhi
dil mein bikharti sham mujhe yad hai abhi
phir kaise ho gaya hai wahi shakhs itna khas
samjhe the jis ko am mujhe yad hai abhi
ham aur sath sath kabhi is tarah milen
jaise khayal-e-kham mujhe yad hai abhi
wo guftugu nigahon nigahon mein yad hai
sargoshi mein salam mujhe yad hai abhi
kaise sambhal sambhal ke bara dekh bhal kar
ham tum the ham kalam mujhe yad hai abhi
kya din the khwahishon ki bari rel pil thi
jazbon ka izdiham mujhe yad hai abhi
puchha ke mere dil mein iqamat hai kab talak
us ne kaha mudam mujhe yad hai abhi
puchha ke zindagi mein mira ham safar hai kaun
main ne kaha ghulam mujhe yad hai abhi
ab tak wo zaiqa bhi mujhe yad hai yashb
ham ne piya tha jam mujhe yad hai abhi