ایسا بھی نہیں درد نے وحشت نہیں کی ہے
Yashab Tamanna (b. 1957)ایسا بھی نہیں درد نے وحشت نہیں کی ہے
اس غم کی کبھی ہم نے اشاعت نہیں کی ہے
جب وصل ہوا اس سے تو سرشار ہوئے ہیں
اور ہجر کے موسم نے رعایت نہیں کی ہے
جو تو نے دیا اس میں اضافہ ہی ہوا ہے
اس درد کی دولت میں خیانت نہیں کی ہے
ہم نے بھی ابھی کھول کے رکھا نہیں دل کو
تو نے بھی کبھی کھل کے وضاحت نہیں کی ہے
اس شہر بدن کے بھی عجب ہوتے ہیں منظر
لگتا ہے ابھی تم نے سیاحت نہیں کی ہے
اس عرض تمنا میں کسے چین ملا ہے
دل نے مگر اس خوف سے ہجرت نہیں کی ہے
یہ دل کے اجڑنے کی علامت نہ ہو کوئی
ملنے پہ گھڑی بھر کو بھی حیرت نہیں کی ہے
aisa bhi nahin dard ne wahshat nahin ki hai
is gham ki kabhi ham ne ishaat nahin ki hai
jab wasl hua us se to sarshar hue hain
aur hijr ke mausam ne riayat nahin ki hai
jo tu ne diya is mein izafa hi hua hai
is dard ki daulat mein khayanat nahin ki hai
ham ne bhi abhi khol ke rakha nahin dil ko
tu ne bhi kabhi khul ke wazahat nahin ki hai
is shahr badan ke bhi ajab hote hain manzar
lagta hai abhi tum ne siyahat nahin ki hai
is arz-e-tamanna mein kise chain mila hai
dil ne magar is khauf se hijrat nahin ki hai
ye dil ke ujarne ki alamat na ho koi
milne pe ghari bhar ko bhi hairat nahin ki hai