Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Umair Ali Anjum

b. 1987

Poems

Meter
  1. apnī bastī meñ andherā nahīñ hone deñgejaisā tum chāhoge vaisā nahīñ hone deñge
  2. tire hijr ne jo sitam kyā koī dekhtāmirī vahshateñ mirā ratjagā koī dekhtā
  3. tū mire sāmne hañstā bhī hai rotā bhī haikyā tire dil meñ koī mere alāva bhī hai
  4. chhoṭī sī bāt par tirā lahja badal gayātū dekhte hī dekhte kaisā badal gayā
  5. roz kaṭṭe haiñ yahāñ hāth kamāne vālejīne dete nahīñ muflis ko zamāne vāle
  6. sun rahā hūñ qurbatoñ meñ fāsla hone ko haiis qadar to ho gayā ab aur kiyā hone ko hai
  7. gardish-e-vaqt kā manzar nahīñ dekhā jātāyār ke hāth meñ ḳhanjar nahīñ dekhā jātā
  8. mirī hayāt ko yūñ pā.imāl us ne kiyāke merā dard se rishta bahāl us ne kiyā
  9. mire ham suḳhan mire ham navā tirī ḳhair hotū visāl rut meñ judā huā tirī ḳhair ho
  10. mere hī ānsūoñ ke shikasta bahā.o parmujh ko biṭhā gayā koī kāġhaz kī nā.o par
  11. ham ne yūñ ḳhud se tirā zikr kiyā shām ke ba.adjaise gulshan meñ chale sard huā shām ke bād
  12. yahāñ to paun sadī se yahī kahānī haiusūl mar ga.e tāqat kī hukmarānī hai