Poet
Riyaz Khairabadi
ریاض خیرآبادی1853–1934Born in KhairabadDied in Khairabad
Syed Riyaz Ahmad, known as Riyaz Khairabadi, was a pupil of Aseer Lakhnavi and then of Ameer Minai. He started the newspaper Riyaz-ul-Akhbar in 1872 and later ran other papers from Lucknow, and worked for fifteen years in the police superintendent's office at Gorakhpur. He is known for khamriyat, verse built on wine and the tavern, though he is said never to have drunk. His divan is titled Riyaz-e-Rizwan.
Writes about
- Wine
- Tavern
- Rapture
Poems
Meter
- میں اٹھا رکھوں نہ کچھ ان کے لیےیہ حسیں مل جائیں دو دن کے لئےmaiñ uṭhā rakhūñ na kuchh un ke liyeye hasīñ mil jā.eñ do din ke liye
- میں سمجھا جب جھلکتا سامنے جام شراب آیامرا منہ چومنے شاید مرا مست شباب آیاmaiñ samjhā jab jhalaktā sāmne jām-e-sharāb āyāmirā muñh chūmne shāyad mirā mast-e-shabāb āyā
- مے رہے مینا رہے گردش میں پیمانہ رہےمیرے ساقی تو رہے آباد مے خانہ رہےmai rahe mīnā rahe gardish meñ paimāna rahemere sāqī to rahe ābād mai ḳhāna rahe
- نظر آتی ہے دور کی صورتآنکھ میں ہے حضور کی صورتnazar ātī hai dūr kī sūratānkh meñ hai huzūr kī sūrat
- نہ آیا ہمیں عشق کرنا نہ آیامرے عمر بھر اور مرنا نہ آیاna āyā hameñ ishq karnā na āyāmire umr bhar aur marnā na āyā
- نہ تارے افشاں نہ کہکشاں ہے نمونہ ہنستی ہوئی جبیں کاکھلا ہے پرچم گڑا ہے جھنڈا فلک پر اس آہ آتشیں کاna tāre afshāñ na kahkashāñ hai namūna hañstī huī jabīñ kākhulā hai parcham giṛā hai jhanḍā falak par is āh ātishīñ kā
- نہ راس آئی ہم کو جوانی ہماریکٹے کیا برس زندگانی ہماریna rās ā.ī ham ko javānī hamārīkaṭe kyā baras zindagānī hamārī
- نہ شبستاں ہے نہ اب شمع شبستاں کوئیگھر کا یہ حال ہے جیسے ہو بیاباں کوئیna shabistāñ hai na ab sham-e-shabistāñ koīghar kā ye hāl hai jaise ho bayābāñ koī
- نہیں چھپتا ترے عتاب کا رنگکہ بدلنے لگا نقاب کا رنگnahīñ chhuptā tire itāb kā rangke badalne lagā naqāb kā rang
- نیا کھلا ہے شگوفہ کوئی بہار میں کیاگندھا ہوا ہے مرا دل کسی کے ہار میں کیاnayā khulā hai shagūfa koī bahār meñ kyāgindhā huā hai mirā dil kisī ke hār meñ kyā
- وعدہ تھا جس کا حشر میں وہ بات بھی تو ہویہ سن کے کس ادا سے کہا رات بھی تو ہوva.ada thā jis kā hashr meñ vo bāt bhī to hoye sun ke kis adā se kahā rāt bhī to ho
- وعدہ کبھی سچا کوئی کرتا ہی نہیں ہےاندیشۂ فردا تو گزرتا ہی نہیں ہےva.ada kabhī sachchā koī kartā hī nahīñ haiandesha-e-fardā to guzartā hī nahīñ hai
- وہ کون لوگ ہیں جو مے ادھار لیتے ہیںیہ مے فروش تو ٹوپی اتار لیتے ہیںvo kaun log haiñ jo mai udhār lete haiñye mai farosh to ṭopī utār lete haiñ
- وہ کون ہے دنیا میں جسے غم نہیں ہوتاکس گھر میں خوشی ہوتی ہے ماتم نہیں ہوتاvo kaun hai duniyā meñ jise ġham nahīñ hotākis ghar meñ ḳhushī hotī hai mātam nahīñ hotā
- وہ گل ہیں نہ ان کی وہ ہنسی ہےدیکھو جدھر اس سی پڑی ہےvo gul haiñ na un kī vo hañsī haidekho jidhar is sī paṛī hai
- وہ ہوں مٹھی میں ان کی دل ہو ہم ہوںیوں ہی پردہ سا کچھ حائل ہو ہم ہوںvo hūñ muṭṭhī meñ un kī dil ho ham hūñyūñ hī parda sā kuchh hā.il ho ham hūñ
- ہمارے دل میں کوئی آرزو نہیں باقیہمارے پھول میں اب رنگ و بو نہیں باقیhamāre dil meñ koī ārzū nahīñ bāqīhamāre phūl meñ ab rang-o-bū nahīñ bāqī
- ہم بھی پئیں تمہیں بھی پلائیں تمام راتجاگیں تمام رات جگائیں تمام راتham bhī piyeñ tumheñ bhī pilā.eñ tamām rātjāgeñ tamām rāt jagā.eñ tamām rāt
- ہم سے وفا کریں کہ وہ ہم پر جفا کریںپائیں خدا سے ہم جو بتوں سے دغا کریںham se vafā kareñ ke vo ham par jafā kareñpā.eñ ḳhudā se ham jo butoñ se daġhā kareñ
- ہم غریبوں پر جفا اچھی نہیںبیکسوں کی بد دعا اچھی نہیںham ġharīboñ par jafā achchhī nahīñbekasoñ kī bad duā achchhī nahīñ
- ہمیں پینے پلانے کا مزا اب تک نہیں آیاکہ بزم مے میں کوئی پارسا اب تک نہیں آیاhameñ pīne pilāne kā mazā ab tak nahīñ āyāke bazm-e-mai meñ koī pārsā ab tak nahīñ āyā
- ہنس کے پیمانہ دیا ظالم نے ترسانے کے بعدآج نازک سے لب ساقی ہیں پیمانے کے بعدhañs ke paimāna diyā zālim ne tarasane ke ba.adāj nāzuk se lab-e-sāqī haiñ paimāne ke ba.ad
- ہنگام نزع گریہ یہاں بے کسی کا تھاتم ہنس پڑے یہ کون سا موقع ہنسی کا تھاhangām-e-naza.a girya yahāñ be kisī kā thātum hañs paṛe ye kaun sā mauqa.a hañsī kā thā
- ہو کے بیتاب بدل لیتے تھے اکثر کروٹاب یہ ہے ضعف کہ قابو سے ہے باہر کروٹho ke betāb badal lete the aksar karvaṭab ye hai zof ke qābū se hai bāhar karvaṭ
- ہوگی وہ دل میں جو ٹھانی جائے گیکیا ہماری بات مانی جائے گیhogī vo dil meñ jo ṭhānī jā.egīkyā hamārī bāt mānī jā.egī
- یہ بلا میرے سر چڑھی ہی نہیںمیں نے کچے گھڑے کی پی ہی نہیںye balā mere sar chaṛhī hī nahīñmaiñ ne kachche ghaṛe kī pī hī nahīñ
- یہ جتنی دیر ہوئی شیخ کو وضو کرتےہم اتنی دیر میں خالی خم و سبو کرتےye jitnī der huī shaiḳh ko vuzū karteham itnī der meñ ḳhālī ḳham-o-subū karte
- یہ سر بہ مہر بوتلیں ہیں جو شراب کیراتیں ہیں ان میں بند ہماری شباب کیye sar ba mehr botaleñ haiñ jo sharāb kīrāteñ haiñ un meñ band hamārī shabāb kī
- یہ سیدھے جو اب زلفوں والے ہوئے ہیںہمارے ہی سب بل نکالے ہوئے ہیںye sīdhe jo ab zulfoñ vāle hue haiñhamāre hī sab bal nikāle hue haiñ
- یہ کافر بت جنہیں دعویٰ ہے دنیا میں خدائی کاملیں محشر میں مجھ عاصی کو صدقہ کبریائی کاye kāfir but jinheñ da.avā hai duniyā meñ ḳhudā.ī kāmileñ mahshar meñ mujh āsī ko sadqa kibriyā.ī kā
- یہ کوئی بات ہے سنتا نہ باغباں میریکہاں اثر میں وہ ڈوبی ہوئی فغاں میریye koī bāt hai suntā na bāġhbāñ merīkahāñ asar meñ vo ḍūbī huī fuġhāñ merī
- یہ کہاں سے ہم گئے ہیں کہاں کہیں کیا تری تگ و تاز میںکہ یہ آسمان و زمیں جہاں نہ نشیب میں نہ فراز میںye kahāñ se ham ga.e haiñ kahāñ kaheñ kyā tirī tag-o-tāz meñke ye āsmān-o-zamīñ jahāñ na nasheb meñ na farāz meñ
- یہ کہاں لگی یہ کہاں لگی جو قفس سے شور فغاں اٹھاجلے آشیانے کچھ اس طرح کہ ہر ایک دل سے دھواں اٹھاye kahāñ lagī ye kahāñ lagī jo qafas se shor-e-fuġhāñ uṭhājale āshiyāne kuchh is tarah ke har ek dil se dhuāñ uṭhā
- یہ گوارا کہ مرا دست تمنا باندھےاپنی محرم کو نہ کس کر کوئی اتنا باندھےye gavārā ke mirā dast-e-tamannā bāñdheapnī mahram ko na kis kar koī itnā bāñdhe
- یہی ہے ان کی نزاکت تو حال کیا ہوگامجھے یہ ڈر ہے کہ وقت وصال کیا ہوگاyahī hai un kī nazākat to hāl kyā hogāmujhe ye ḍar hai ke vaqt-e-visāl kyā hogā