Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Riyaz Khairabadi

ریاض خیرآبادی

1853–1934Born in KhairabadDied in Khairabad

Syed Riyaz Ahmad, known as Riyaz Khairabadi, was a pupil of Aseer Lakhnavi and then of Ameer Minai. He started the newspaper Riyaz-ul-Akhbar in 1872 and later ran other papers from Lucknow, and worked for fifteen years in the police superintendent's office at Gorakhpur. He is known for khamriyat, verse built on wine and the tavern, though he is said never to have drunk. His divan is titled Riyaz-e-Rizwan.

Writes about

  • Wine
  • Tavern
  • Rapture

Poems

Meter
  1. maiñ uṭhā rakhūñ na kuchh un ke liyeye hasīñ mil jā.eñ do din ke liye
  2. maiñ samjhā jab jhalaktā sāmne jām-e-sharāb āyāmirā muñh chūmne shāyad mirā mast-e-shabāb āyā
  3. mai rahe mīnā rahe gardish meñ paimāna rahemere sāqī to rahe ābād mai ḳhāna rahe
  4. nazar ātī hai dūr kī sūratānkh meñ hai huzūr kī sūrat
  5. na āyā hameñ ishq karnā na āyāmire umr bhar aur marnā na āyā
  6. na tāre afshāñ na kahkashāñ hai namūna hañstī huī jabīñ kākhulā hai parcham giṛā hai jhanḍā falak par is āh ātishīñ kā
  7. na rās ā.ī ham ko javānī hamārīkaṭe kyā baras zindagānī hamārī
  8. na shabistāñ hai na ab sham-e-shabistāñ koīghar kā ye hāl hai jaise ho bayābāñ koī
  9. nahīñ chhuptā tire itāb kā rangke badalne lagā naqāb kā rang
  10. nayā khulā hai shagūfa koī bahār meñ kyāgindhā huā hai mirā dil kisī ke hār meñ kyā
  11. va.ada thā jis kā hashr meñ vo bāt bhī to hoye sun ke kis adā se kahā rāt bhī to ho
  12. va.ada kabhī sachchā koī kartā hī nahīñ haiandesha-e-fardā to guzartā hī nahīñ hai
  13. vo kaun log haiñ jo mai udhār lete haiñye mai farosh to ṭopī utār lete haiñ
  14. vo kaun hai duniyā meñ jise ġham nahīñ hotākis ghar meñ ḳhushī hotī hai mātam nahīñ hotā
  15. vo gul haiñ na un kī vo hañsī haidekho jidhar is sī paṛī hai
  16. vo hūñ muṭṭhī meñ un kī dil ho ham hūñyūñ hī parda sā kuchh hā.il ho ham hūñ
  17. hamāre dil meñ koī ārzū nahīñ bāqīhamāre phūl meñ ab rang-o-bū nahīñ bāqī
  18. ham bhī piyeñ tumheñ bhī pilā.eñ tamām rātjāgeñ tamām rāt jagā.eñ tamām rāt
  19. ham se vafā kareñ ke vo ham par jafā kareñpā.eñ ḳhudā se ham jo butoñ se daġhā kareñ
  20. ham ġharīboñ par jafā achchhī nahīñbekasoñ kī bad duā achchhī nahīñ
  21. hameñ pīne pilāne kā mazā ab tak nahīñ āyāke bazm-e-mai meñ koī pārsā ab tak nahīñ āyā
  22. hañs ke paimāna diyā zālim ne tarasane ke ba.adāj nāzuk se lab-e-sāqī haiñ paimāne ke ba.ad
  23. hangām-e-naza.a girya yahāñ be kisī kā thātum hañs paṛe ye kaun sā mauqa.a hañsī kā thā
  24. ho ke betāb badal lete the aksar karvaṭab ye hai zof ke qābū se hai bāhar karvaṭ
  25. hogī vo dil meñ jo ṭhānī jā.egīkyā hamārī bāt mānī jā.egī
  26. ye balā mere sar chaṛhī hī nahīñmaiñ ne kachche ghaṛe kī pī hī nahīñ
  27. ye jitnī der huī shaiḳh ko vuzū karteham itnī der meñ ḳhālī ḳham-o-subū karte
  28. ye sar ba mehr botaleñ haiñ jo sharāb kīrāteñ haiñ un meñ band hamārī shabāb kī
  29. ye sīdhe jo ab zulfoñ vāle hue haiñhamāre hī sab bal nikāle hue haiñ
  30. ye kāfir but jinheñ da.avā hai duniyā meñ ḳhudā.ī kāmileñ mahshar meñ mujh āsī ko sadqa kibriyā.ī kā
  31. ye koī bāt hai suntā na bāġhbāñ merīkahāñ asar meñ vo ḍūbī huī fuġhāñ merī
  32. ye kahāñ se ham ga.e haiñ kahāñ kaheñ kyā tirī tag-o-tāz meñke ye āsmān-o-zamīñ jahāñ na nasheb meñ na farāz meñ
  33. ye kahāñ lagī ye kahāñ lagī jo qafas se shor-e-fuġhāñ uṭhājale āshiyāne kuchh is tarah ke har ek dil se dhuāñ uṭhā
  34. ye gavārā ke mirā dast-e-tamannā bāñdheapnī mahram ko na kis kar koī itnā bāñdhe
  35. yahī hai un kī nazākat to hāl kyā hogāmujhe ye ḍar hai ke vaqt-e-visāl kyā hogā