Poet
Qalandar Bakhsh Jurat
شیخ قلندر بخش جرات1748–1810
Poems
- اب خاک تو کیا ہے دل کو جلا جلا کرکرتے ہو اتنی باتیں کیوں تم بنا بنا کرab ḳhāk to kyā hai dil ko jalā jalā karkarte ho itnī bāteñ kyūñ tum banā banā kar
- اب عشق تماشا مجھے دکھلائے ہے کچھ اورکہتا ہوں کچھ اور منہ سے نکل جائے ہے کچھ اورab ishq tamāshā mujhe dikhlā.e hai kuchh aurkahtā hūñ kuchh aur muñh se nikal jā.e hai kuchh aur
- اب گزارا نہیں اس شوخ کے در پر اپناجس کے گھر کو یہ سمجھتے تھے کہ ہے گھر اپناab guzārā nahīñ us shoḳh ke dar par apnājis ke ghar ko ye samajhte the ke hai ghar apnā
- اتنا بتلا مجھے ہرجائی ہوں میں یار کہ تومیں ہر اک شخص سے رکھتا ہوں سروکار کہ توitnā batlā mujhe harjā.ī hūñ maiñ yār ke tūmaiñ har ik shaḳhs se rakhtā hūñ sarokār ke tū
- اے دلا ہم ہوئے پابند غم یار کہ تواب اذیت میں بھلا ہم ہیں گرفتار کہ توai dilā ham hue pāband-e-ġham-e-yār ke tūab aziyyat meñ bhalā ham haiñ giraftār ke tū
- برہم کبھی قاصد سے وہ محبوب نہ ہوتاگر نام ہمارا سر مکتوب نہ ہوتاbar.ham kabhī qāsid se vo mahbūb na hotāgar nām hamārā sar maktūb na hotā
- بغیر اس کے یہ حیراں ہیں بغل دیکھ اپنی خالی ہمکہ کروٹ لے نہیں سکتے ہیں جوں تصویر قالی ہمbaġhair us ke ye hairāñ haiñ baġhal dekh apnī ḳhālī hamke karvaṭ le nahīñ sakte haiñ jūñ tasvīr-e-qālī ham
- بلبل سنے نہ کیونکہ قفس میں چمن کی باتآوارۂ وطن کو لگے خوش وطن کی باتbulbul sune na kyūñke qafas meñ chaman kī bātāvāra-e-vatan ko lage ḳhush vatan kī bāt
- بن ترے کیا کہیں کیا روگ ہمیں یار لگاڈر لگے نام لیے جس کا وہ آزار لگاbin tire kyā kaheñ kyā rog hameñ yār lagāḍar lage nām liye jis kā vo āzār lagā
- بن دیکھے اس کے جاوے رنج و عذاب کیوں کروہ خواب میں تو آوے پر آوے خواب کیوں کرbin dekhe us ke jāve ranj-o-azāb kyūñ karvo ḳhvāb meñ to āve par āve ḳhvāb kyūñ kar
- بہ چمن اب وہ کیا چاہے ہے مے نوش گزارجلد اے پیک صبا گل کے یہ کر گوش گزارba chaman ab vo kyā chāhe hai mai nosh guzārjald ai pīk-e-sabā gul ke ye kar gosh guzār
- بہ صد آرزو جو وہ آیا تو یہ حجاب عشق سے حال تھاکہ ہزاروں دل میں تھیں حسرتیں اور اٹھانا آنکھ محال تھاba sad ārzū jo vo āyā to ye hijāb-e-ishq se hāl thāke hazāroñ dil meñ thīñ hasrateñ aur uṭhānā ānkh muhāl thā
- بیٹھے تو پاس ہیں پر آنکھ اٹھا سکتے نہیںجی لگا ہے پہ ابھی ہاتھ لگا سکتے نہیںbaiṭhe to pās haiñ par ānkh uṭhā sakte nahīñjī lagā hai pe abhī hāth lagā sakte nahīñ
- پروا نہیں اس کو اور موئے ہمکیوں ایسے پہ مبتلا ہوئے ہمparvā nahīñ us ko aur mau.e hamkyūñ aise pe mubtalā hue ham
- تصور باندھتے ہیں اس کا جب وحشت کے مارے ہمتو پھر کرتے ہیں آپ ہی آپ کیا کیا کچھ اشارے ہمtasavvur bāñdhte haiñ us kā jab vahshat ke māre hamto phir karte haiñ āp hī āp kyā kyā kuchh ishāre ham
- تن میں دم روک میں بہ دیر رکھاآؤ جی کس نے تم کو گھیر رکھاtan meñ dam rok meñ ba der rakhāā.o jī kis ne tum ko gher rakhā
- تیغ بران نکالو صاحبدل کے ارمان نکالو صاحبteġh barān nikālo sāhabdil ke armān nikālo sāhab
- جذبۂ عشق عجب سیر دکھاتا ہے ہمیںاپنی جانب کوئی کھینچے لیے جاتا ہے ہمیںjazba-e-ishq ajab sair dikhātā hai hameñapnī jānib koī khīñche liye jātā hai hameñ
- جس کے طالب ہیں وہ مطلوب کہیں بیٹھ رہامنتظر ہم کو بٹھا خوب کہیں بیٹھ رہاjis ke tālib haiñ vo matlūb kahīñ baiṭh rahāmuntazir ham ko biṭhā ḳhūb kahīñ baiṭh rahā
- جگر خوں ہو کے باہر دیدۂ گریان آوے گایہی رونا رہا تو آج کل طوفان آوے گاjigar ḳhūñ ho ke bāhar dīda-e-girīin āvegāyahī ronā rahā to āj kal tūfān āvegā
- جو راہ ملاقات تھی سو جان گئے ہماے خضر تصور ترے قربان گئے ہمjo rāh mulāqāt thī sau jān ga.e hamai ḳhizr tasavvur tire qurbān ga.e ham
- جوش گریہ یہ دم رخصت یار آئے نظرابر جوشاں کا بندھا جیسے کہ تار آئے نظرjosh-e-girya ye dam-e-ruḳhsat-e-yār ā.e nazarabr-e-joshāñ kā bandhā jaise ke tār ā.e nazar
- جہاں کچھ درد کا مذکور ہوگاہمارا شعر بھی مشہور ہوگاjahāñ kuchh dard kā mazkūr hogāhamārā sher bhī mashhūr hogā
- چھیڑنے ہم کو یار آج آیابارے کچھ چہل پر مزاج آیاchheṛne ham ko yār āj āyābāre kuchh chahal par mizāj āyā
- حسن اے جان نہیں رہنے کاپھر یہ احسان نہیں رہنے کاhusn ai jān nahīñ rahne kāphir ye ehsān nahīñ rahne kā
- دام میں ہم کو لاتے ہو تم دل اٹکا ہے اور کہیںشعر پڑھانے ہم سے اور مضمون گٹھا ہے اور کہیںdām meñ ham ko lāte ho tum dil aṭkā hai aur kahīñsher paṛhāne ham se aur mazmūn gaṭṭhā hai aur kahīñ
- درپئے عمر رفتہ ہوں یا ربہر دم از خود گزشتہ ہوں یا ربdarpa.e umr-e-rafta hūñ yā rabhar dam az ḳhud guzishta hūñ yā rab
- در تک اب چھوڑ دیا گھر سے نکل کر آنایا وہ راتوں کو سدا بھیس بدل کر آناdar tak ab chhoṛ diyā ghar se nikal kar ānāyā vo rātoñ ko sadā bhes badal kar ānā
- درد اپنا میں اسی طور جتا رہتا ہوںحسب حال اس کو کئی شعر سنا رہتا ہوںdard apnā meñ isī taur jatā rahtā hūñhasb-e-hāl us ko ka.ī sher sunā rahtā hūñ
- دل کو اے عشق سوئے زلف سیہ فام نہ بھیجرہزنوں میں تو مسافر کو سر شام نہ بھیجdil ko ai ishq sū-e-zulf-e-siyah fām na bhejrahzanoñ meñ to musāfir ko sar-e-shām na bhej
- دود آتش کی طرح یاں سے نہ ٹل جاؤں گاشمع ساں محفل جاناں ہی میں جل جاؤں گاdūd ātish kī tarah yāñ se na ṭal jā.ūñgāsham.a sāñ mahfil jānāñ hī meñ jal jā.ūñgā
- دیکھیو اس کی ذرا آنکھ دکھانے کا مزاچتونوں میں ہے بھرا سارے زمانے کا مزاdekhiyo us kī zarā ānkh dikhāne kā mazāchitvanoñ meñ hai bharā sāre zamāne kā mazā
- رات جب تک مرے پہلو میں وہ دل دار نہ تھادل کو مجھ سے مجھے کچھ دل سے سروکار نہ تھاrāt jab tak mire pahlū meñ vo dil dār na thādil ko mujh se mujhe kuchh dil se sarokār na thā
- رات کیا کیا مجھے ملال نہ تھاخواب کا تو کہیں خیال نہ تھاrāt kyā kyā mujhe malāl na thāḳhvāb kā to kahīñ ḳhayāl na thā
- سب چلے تیرے آستاں کو چھوڑبد زباں اب تو اس زباں کو چھوڑsab chale tere āstāñ ko chhoṛbad zabāñ ab to is zabāñ ko chhoṛ
- سب کہتے ہیں دیکھ اس کو سر راہ زمیں پرکس راہ سے آیا یہ اتر ماہ زمیں پرsab kahte haiñ dekh us ko sar-e-rāh zamīñ parkis rāh se āyā ye utar māh zamīñ par
- سچ تو یہ ہے بے جگہ ربط ان دنوں پیدا کیاسوچ ہے ہر دم یہی ہم کو کہ ہم نے کیا کیاsach to ye hai be jagah rabt in dinoñ paidā kiyāsoch hai har dam yahī ham ko ke ham ne kyā kiyā
- شب ہجراں میں مت پوچھو کہ کن باتوں میں رہتا ہوںتصور باندھ اس کا صبح تک کچھ کچھ میں کہتا ہوںshab-e-hijrāñ meñ mat pūchho ke kin bātoñ meñ rahtā hūñtasavvur bāñdh us kā sub.h tak kuchh kuchh maiñ kahtā hūñ
- صوت بلبل دل نالاں نے سنائی مج کوسیر گل دیدۂ گریاں نے دکھائی مج کوsaut-e-bulbul dil-e-nālāñ ne sunā.ī maj kosair-e-gul dīda-e-giryāñ ne dikhā.ī maj ko
- عمل کچھ ایسا کیا عدو نے کہ عشق باہم لگا چھڑایاالٰہی چھٹ جائیں اس کی نبضیں ملاپ جس نے مرا چھڑایاamal kuchh aisā kiyā adū ne ke ishq bāham lagā chhuṛāyāilāhī chhuṭ jā.eñ us kī nabzeñ milāp jis ne mirā chhuṛāyā
- غم رو رو کے کہتا ہوں کچھ اس سے اگر اپناتو ہنس کے وہ بولے ہے میاں فکر کر اپناġham ro ro ke kahtā hūñ kuchh us se agar apnātū hañs ke vo bole hai miyāñ fikr kar apnā
- کب کوئی تجھ سا آئینہ رو یاں ہے دوسراہے تو ترا ہی عکس نمایاں ہے دوسراkab koī tujh sā ā.īna rū yāñ hai dūsrāhai to tirā hī aks numāyāñ hai dūsrā
- کچھ منہ سے دینے کہہ وہ بہانے سے اٹھ گیاحرف سخاوت آہ زمانے سے اٹھ گیاkuchh muñh se dene kah vo bahāne se uṭh gayāharf-e-saḳhāvat āh zamāne se uṭh gayā
- کس جا نہ بے قراری سے میں خستہ تن گیاپر دیکھنے کا اس کے کہیں ڈھب نہ بن گیاkis jā na be qarārī se maiñ ḳhasta tan gayāpar dekhne kā us ke kahīñ ḍhab na ban gayā
- کل جو رونے پر مرے ٹک دھیان اس کا پڑ گیاہنس کے یوں کہنے لگا کچھ آنکھ میں کیا پڑ گیا؟kal jo rone par mire ṭuk dhyān us kā paṛ gayāhañs ke yūñ kahne lagā kuchh ānkh meñ kyā paṛ gayā?
- کون دیکھے گا بھلا اس میں ہے رسوائی کیاخواب میں آنے کی بھی تم نے قسم کھائی کیاkaun dekhegā bhalā is meñ hai rusvā.ī kiyāḳhvāb meñ āne kī bhī tum ne qasam khā.ī kiyā
- کیوں کر گلی میں اس کی میں اے ہم رہاں رہوںاس آرزوئے دل پہ ہے واں تو نہ ہاں نہ ہوںkyūñ kar galī meñ us kī maiñ ai ham rahāñ rahūñis ārzū-e-dil pe hai vāñ to na hāñ na hūñ
- کیوں نہ ہوں حیراں تری ہر بات کاحسن مرقع ہے طلسمات کاkyūñ na hūñ hairāñ tirī har bāt kāhusn muraqqa.a hai tilismāt kā
- گر کہوں غیر سے پھر ربط ہوا تجھ کو کیاکیا برا مان کے کہتا ہے بھلا تجھ کو کیاgar kahūñ ġhair se phir rabt huā tujh ko kiyākyā burā mān ke kahtā hai bhalā tujh ko kiyā
- گرمی مرے کیوں نہ ہو سخن میںاک آگ سی پھنک رہی ہے تن میںgarmī mire kyūñ na ho suḳhan meñik āg sī phink rahī hai tan meñ