Poet
Qalandar Bakhsh Jurat
شیخ قلندر بخش جرات1748–1810
Poems
- گزر اس حجرۂ گردوں سے ہو کیدھر اپناقید خانہ ہے عجب گنبد بے در اپناguzar is hujra-e-gardūñ se ho kīdhar apnāqaid ḳhāna hai ajab gumbad-e-be dar apnā
- گو ہوں وحشی پہ ترے در سے نہ ٹل جاؤں گاہاں مگر دشت عدم ہی کو نکل جاؤں گاgo hūñ vahshī pe tire dar se na ṭal jā.ūñgāhāñ magar dasht-e-adam hī ko nikal jā.ūñgā
- لب و دنداں کا تمہارے جو ہے دھیاں آٹھ پہرنہیں لگتی مری تالو سے زباں آٹھ پہرlab-o-dandāñ kā tumhāre jo hai dhiyāñ āṭh paharnahīñ lagtī mirī tālū se zabāñ āṭh pahar
- مثل آئینہ با صفا ہیں ہمدیکھنے ہی کے آشنا ہیں ہمmisl-e-ā.īna bā safā haiñ hamdekhne hī ke āshnā haiñ ham
- مطلب کی کہہ سناؤں کسی بات میں لگارہتا ہوں روز و شب میں اسی گھات میں لگاmatlab kī kah sunā.ūñ kisī bāt meñ lagārahtā hūñ roz-o-shab meñ isī ghāt meñ lagā
- میں کہا ایک ادا کر تو لگا کہنے اوں ہوںدیکھ ٹک آنکھ چرا کر تو لگا کہنے اوں ہوںmaiñ kahā ek adā kar to lagā kahne ūñ hūñdekh ṭuk ānkh churā kar to lagā kahne ūñ hūñ
- نالۂ موزوں سے مصرع آہ کا چسپاں ہوازور یہ پر درد اپنا مطلع دیواں ہواnāla-e-mauzūñ se misra āh kā chaspāñ huāzor ye pur dard apnā matla-e-dīvāñ huā
- نہ گرمی رکھے کوئی اس سے خدایاشرارت سے جی جس نے میرا جلایاna garmī rakhe koī us se ḳhudāyāsharārat se jī jis ne merā jalāyā
- واں سے گھر آ کے کہاں سونا تھاصبح تک یاد تھی اور رونا تھاvāñ se ghar ā ke kahāñ sonā thāsub.h tak yād thī aur ronā thā
- واں ہے یہ بد گمانی جاوے حجاب کیوں کردو دن کے واسطے ہو کوئی خراب کیوں کرvāñ hai ye bad gumānī jāve hijāb kyūñ kardo din ke vāste ho koī ḳharāb kyūñ kar
- وصل بننے کا کچھ بناؤ نہیںواں لگا دل جہاں لگاؤ نہیںvasl banne kā kuchh banā.o nahīñvāñ lagā dil jahāñ lagā.o nahīñ
- ہر چند بھرے دل میں ہیں لاکھوں ہی گلے پرکیا کہئے کہ کھلتا نہیں منہ وقت ملے پرhar chand bhare dil meñ haiñ lākhoñ hī gale parkyā kahiye ke khultā nahīñ muñh vaqt mile par
- ہم کب از خود ترے گھر یار چلے آتے ہیںرہ نہیں سکتے تو ناچار چلے آتے ہیںham kab az ḳhud tire ghar yār chale āte haiñrah nahīñ sakte to nāchār chale āte haiñ
- ہمیں دیکھے سے وہ جیتا ہے اور ہم اس پہ مرتے تھےیہی راتیں تھیں اور باتیں تھیں وہ دن کیا گزرتے تھےhameñ dekhe se vo jītā hai aur ham us pe marte theyahī rāteñ thīñ aur bāteñ thīñ vo din kyā guzarte the
- ہے تیری ہی کائنات جی میںجی تجھ سے ہے تیری ذات جی میںhai terī hī kā.ināt jī meñjī tujh se hai terī zāt jī meñ
- ہے یہ گل کی اور اس کی آب میں فرقجیسے پانی میں اور گلاب میں فرقhai ye gul kī aur us kī āb meñ farqjaise pānī meñ aur gulāb meñ farq
- یاد کر وہ حسن سبز اور انکھڑیاں متوالیاںکاٹتے ہیں رو ہی رو ساون کی راتیں کالیاںyād kar vo husn-e-sabz aur ankhṛiyāñ mutavāliyāñkāṭṭe haiñ ro hī ro sāvan kī rāteñ kāliyāñ
- یاں اس گلی سا کب کوئی بستاں ہے دوسراہاں کچھ جو ہے تو روضۂ رضواں ہے دوسراyāñ us galī sā kab koī bistāñ hai dūsrāhāñ kuchh jo hai to rauza-e-rizvāñ hai dūsrā
- یاں ہم کو جس نے مارا معلوم ہو رہے گامحشر میں خوں ہمارا معلوم ہو رہے گاyāñ ham ko jis ne mārā ma.alūm ho rahegāmahshar meñ ḳhūñ hamārā ma.alūm ho rahegā
- یہ قصوں میں جو دکھ اٹھانے بندھے ہیںسو الفت ہی کے سب فسانے بندھے ہیںye qissoñ meñ jo dukh uṭhāne bandhe haiñso ulfat hī ke sab fasāne bandhe haiñ
- بقول سوز جرأتؔ کیا کہیں ہم فکر کو اپنیہمارا شعر ہے گا بادۂ وحدت کا پیمانہbaqaul-e-soz jur.at kyā kaheñ ham fikr ko apnīhamārā sher hai gā bāda-e-vahdat kā paimāna
- الفت سے ہو خاک ہم کو لہناقسمت میں تو ہے عذاب سہناulfat se ho ḳhāk ham ko lahnāqismat meñ to hai azāb sahnā
- جب میں نے کہا اے بت خودکام ورے آتب کہنے لگا چل بے او بد نام پرے جاjab maiñ ne kahā ai but ḳhudkām vare ātab kahne lagā chal be o bad nām pare jā
- جو روئیں درد دل سے تلملا کرتو وہ ہنستا ہے کیا کیا کھلکھلا کرjo roeñ dard-e-dil se tilmilā karto vo hañstā hai kyā kyā khulkhulā kar
- سنو بات اس کی الفت کا بڑھانا اس کو کہتے ہیںکہا شب خواب میں آ کر کہ آنا اس کو کہتے ہیںsuno bāt us kī ulfat kā baṛhānā us ko kahte haiñkahā shab ḳhvāb meñ ā kar ke ānā us ko kahte haiñ
- شب وصل دیکھی جو خواب میں تو سحر کو سینہ فگار تھایہی بس خیال تھا دم بہ دم کہ ابھی تو پاس وہ یار تھاshab-e-vasl dekhī jo ḳhvāb meñ to sahar ko sīna figār thāyahī bas ḳhayāl thā dam ba dam ke abhī to pās vo yār thā
- کب بیٹھتے ہیں چین سے ایذا اٹھائے بنلگتا نہیں ہے جی کہیں لگا لگائے بنkab baiṭhte haiñ chain se īzā uṭhā.e banlagtā nahīñ hai jī kahīñ lagā lagā.e ban
- ہم تو کہتے تھے دم آخر ذرا سستا نہ جالے، چلے ہم جان سے، مختار ہے اب جا نہ جاham to kahte the dam-e-āḳhir zarā sastā na jāle, chale ham jān se, muḳhtār hai ab jā na jā
- یاد آتا ہے تو کیا پھرتا ہوں گھبرایا ہواچمپئی رنگ اس کا اور جوبن وہ گدرایا ہواyād ātā hai to kyā phirtā hūñ ghabrāyā huāchampa.ī rang us kā aur joban vo gidrāyā huā
- یہ غضب بیٹھے بٹھائے تجھ پہ کیا نازل ہوااٹھ چلا دنیا سے کیوں تو تجھ کو اے دل کیا ہواye ġhazab baiṭhe biṭhā.e tujh pe kyā nāzil huāuṭh chalā duniyā se kyūñ to tujh ko ai dil kyā huā