Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Qaisar Siddiqi

1937–2018

Poems

Meter
  1. ārzū nākām ho kar rah ga.ī haizindagī ilzām ho kar rah ga.ī hai
  2. ā.o ham tum ishq ke iz.hār kī bāteñ kareñḍāl kar bānhoñ meñ bāheñ pyār kī bāteñ kareñ
  3. ik bhīṛ hai jalvoñ kī aur merī nazar tanhāhai ā.īna ḳhāne meñ ḳhud ā.īna gar tanhā
  4. anā ko apne hī hāthoñ se qatl kar jātāagar maiñ ṭūṭ na jātā bikhar bikhar jātā
  5. tum ḳhvāb meñ ā.oge ye ma.alūm nahīñ thāphir ḳhvāb-e-dikhā.oge ye ma.alūm nahīñ thā
  6. tere lahje kā tirī bāt kā ā.īna haimerā har sher tirī zāt kā ā.īna hai
  7. jab bhī mujh ko apnā bachpan yād ātā haibachpan ke ik pyār kā bachpan yād ātā hai
  8. jab tirī yādoñ kī purvā.ī ġhazal gātī haiphūl khul uṭhte haiñ tanhā.ī ġhazal gātī hai
  9. ḳhvāb jo dekhe haiñ maiñ ne unheñ paikar degāmerā sahrā mujhe ik roz samundar degā
  10. rishta kaise ṭūṭṭā hai ḳhvāb se ta.abīr kāā.o dikhlā.ūñ tumheñ ye khel bhī taqdīr kā
  11. raushnī sub.h kī yā shab kī siyāhī deñgejo bhī denā hai tumheñ zill-e-ilāhī deñge
  12. rah-e-hayāt ko āsāñ banā sako to chalohamārā sāth agar tum nibhā sako to chalo
  13. zulfoñ ke sā.e meñ ā kar chain milā hai pahlī bārmerī pyāsī ānkhoñ ne dariyā dekhā hai pahlī bār
  14. ālam-e-be chehragī meñ kaun kis kā āshnāāj kā har lafz hai mafhūm se nā āshnā
  15. fazā.oñ se guzartā jā rahā hūñḳhalā.oñ meñ bikhartā jā rahā hūñ
  16. kyā chīz hai uzr-e-lab iz.hār kā sāyaiqrār kā sāya kabhī inkār kā sāya
  17. kyūñ na afsāna-e-ġham kaif kā unvāñ ṭhahreshiddat-e-dard hī jab dard kā darmāñ ṭhahre
  18. man bhī shāyar kī tarah tan bhī ġhazal jaisā haiye tire rūp kā darpan bhī ġhazal jaisā hai
  19. muñh pher kar vo sab se gayā bhī to kyā gayākam baḳht sāre shahr ko pāgal banā gayā
  20. mere ba.ad aur koī mujh sā na āyā hogāus ke darvāze pe ab tak mirā sāya hogā
  21. vo ruḳhsat kī ghaṛī vo dīda-e-nam yād āte haiñna jāne āj kyūñ bhūle hue ġham yād āte haiñ
  22. yūñ dil-e-dīvāna ko aksar sazā detā hūñ maiñapnī barbādī pe ḳhud hī muskurā detā hūñ maiñ
  23. ye kaise jāntā gar shahr meñ āyā nahīñ hotāyahāñ dīvār hotī hai magar sāya nahīñ hotā