من بھی شاعر کی طرح تن بھی غزل جیسا ہے
Qaisar Siddiqi (1937–2018)من بھی شاعر کی طرح تن بھی غزل جیسا ہے
یہ ترے روپ کا درپن بھی غزل جیسا ہے
ریشمی چوڑیاں ایسی کہ غزل کے مصرعے
یہ کھنکتا ہوا کنگن بھی غزل جیسا ہے
ان لچکتی ہوئی زلفوں میں ہے گوکل کا سماں
یہ مہکتا ہوا ساون بھی غزل جیسا ہے
لوگ گیتوں کی طرح تو بھی رسیلی ہے مگر
میری سجنی ترا ساجن بھی غزل جیسا ہے
میرے جذبات کی شوخی بھی غزل جیسی ہے
میرے احساس کا بچپن بھی غزل جیسا ہے
دیکھ کر تجھ کو غزل کیسے نہ لکھے قیصرؔ
تو غزل جیسی ہے یوون بھی غزل جیسا ہے
man bhi shayar ki tarah tan bhi ghazal jaisa hai
ye tire rup ka darpan bhi ghazal jaisa hai
reshmi chauriyan aisi ke ghazal ke misre
ye khanakta hua kangan bhi ghazal jaisa hai
un lachakti hui zulfon mein hai gokal ka saman
ye mahakta hua sawan bhi ghazal jaisa hai
log giton ki tarah tu bhi rasili hai magar
meri sajni tira sajan bhi ghazal jaisa hai
mere jazbat ki shokhi bhi ghazal jaisi hai
mere ehsas ka bachpan bhi ghazal jaisa hai
dekh kar tujh ko ghazal kaise na likhe qaisar
tu ghazal jaisi hai yuwan bhi ghazal jaisa hai