Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

منیر بھوپالی

Poems

Meter
  1. ab zindagī meñ hosh kā imkān to gayālekin tirī nigāh ko pahchān to gayā
  2. adab se shikva-e-ġham ho rahā haizabāñ ḳhāmosh hai dil ro rahā hai
  3. baḳht ko royā kiye aur āshiyāñ dekhā kiyebijliyāñ girtī raheñ ham be zabāñ dekhā kiye
  4. bayān sun na sakā jab koī bayāñ kī tarahsunāyā hāl-e-dil zār dāstāñ kī tarah
  5. jab barq pāsh jalva-e-jānāna ban gayāfarzāna thā vahī ke jo dīvāna ban gayā
  6. ḳhushī kī had ġhamoñ kī intihā ma.alūm hotī haiḳhudā jāne mohabbat kyā hai kyā ma.alūm hotī hai
  7. dil meñ hujūm-e-shauq-o-tamannā liye huejātā hūñ terī bazm se kyā kyā liye hue
  8. ḍhūñḍ leñ ham ko hamārī jo ḳhabar rakhte haiñham ko dekheñ vo agar husn-e-nazar rakhte haiñ
  9. zamāna meñ fasāna ban ga.ī dīvāngī merītire parda ne kī parda nashīñ parda darī merī
  10. sāz-e-dil tishna-e-mizrāb-e-tamannā na rahādīda-e-shauq-e-tamāshā hai tamāshā na rahā
  11. kin uljhanoñ meñ chhoṛ ga.ī justujū mujhemaiñ ārzū ko ḍhūñḍhtā hūñ ārzū mujhe
  12. maāl-e-jaur samjhe aur na anjām-e-vafā samjhena un kā mudda.ā jānā na apnā mudda.ā samjhe
  13. mohabbat ibtidā hai har ḳhabar kīmohabbat intihā hai har nazar kī
  14. mohabbat meñ ik aisā bhī maqām ātā hai mushkil kājahāñ ḳhud dil hī ban jātā hai dushman hastī-e-dil kā
  15. vo mohabbat vo dil vo ḳhū hī nahīñvāqi.a hai ke tū vo tū hī nahīñ
  16. har musībat bhī shādmānī thīik balā thī ke naujavānī thī
  17. hamārā jazb-e-sādiq shauq kāmil dekhte jā.oyahīñ khiñch kar chalī ā.egī manzil dekhte jā.o
  18. hotī hai tabī.at hī ḳhudā dād kisī kīulfat meñ vafā.eñ nahīñ ījād kisī kī
  19. yahī haiñ barq kī jaulāniyāñ to āshiyāñ kab takuṭhegā ḳhāk parvāna se mahfil meñ dhuāñ kab tak
  20. be niyāz har tamannā ho gayāishq meñ ab husn paidā ho gayā
  21. tāb-e-dīdār lā nahīñ sakteun se nazreñ milā nahīñ sakte
  22. tūr ban kar jal gayā yā shauq mūsā ho gayāhā.e vo dil jo tire jalva kā shaidā ho gayā
  23. mohabbat hai to phir andāza-e-shauq-e-vafā kyūñ hoshikāyat dard kī kyūñ ho jafā.oñ kā gila kyūñ ho
  24. na ibtidā hūñ kisī kī na intihā hūñ maiñta.ayyunāt kī had se guzar gayā hūñ maiñ