Poet
Madan Mohan Danish
b. 1961
Poems
- آدھی آگ اور آدھا پانی ہم دونوںجلتی بجھتی ایک کہانی ہم دونوںādhī āg aur ādhā pānī ham donoñjaltī bujhtī ek kahānī ham donoñ
- اور کیا آخر تجھے اے زندگانی چاہیئےآرزو کل آگ کی تھی آج پانی چاہیئےaur kiyā āḳhir tujhe ai zindagānī chāhiyeārzū kal āg kī thī āj pānī chāhiye
- تم اپنے آپ پر احسان کیوں نہیں کرتےکیا ہے عشق تو اعلان کیوں نہیں کرتےtum apne āp par ehsān kyūñ nahīñ kartekyā hai ishq to elān kyūñ nahīñ karte
- تمہارے ساتھ جو برتا ہوا ہےوہ لمحہ جس کا تس رکھا ہوا ہےtumhāre sāth jo bartā huā haivo lamha jis kā tis rakhā huā hai
- چلتے رہنے کے لیے دل میں گماں کوئی تو ہوبے نتیجہ ہی سہی پر امتحاں کوئی تو ہوchalte rahne ke liye dil meñ gumāñ koī to hobe natīja hī sahī par imtihāñ koī to ho
- دے سکو تو زندگانی دو مجھےلفظ تو میں ہوں معانی دو مجھےde sako to zindagānī do mujhelafz to maiñ hūñ ma.ānī do mujhe
- رنگ دنیا کتنا گہرا ہو گیاآدمی کا رنگ پھیکا ہو گیاrang duniyā kitnā gahrā ho gayāādmī kā rang phīkā ho gayā
- ستارے جن کی بہت دیکھ بھال کرتے رہےہم ایسی ساری شبوں کو نہال کرتے رہےsitāre jin kī bahut dekh bhāl karte raheham aisī sārī shaboñ ko nihāl karte rahe
- ضدوں کو اپنی تراشو اور ان کو خواب کروپھر اس کے بعد ہی منزل کا انتخاب کروzidoñ ko apnī tarāsho aur un ko ḳhvāb karophir is ke ba.ad hī manzil kā intiḳhāb karo
- کچھ اس مقام سے اب دل کا کارواں گزرےیقیں کی حد سے جو گزرے تو بے زباں گزرےkuchh us maqām se ab dil kā kārvāñ guzreyaqīñ kī had se jo guzre to be zabāñ guzre
- کوئی یہ لاکھ کہے میرے بنانے سے ملاہر نیا رنگ زمانہ کو پرانے سے ملاkoī ye lākh kahe mere banāne se milāhar nayā rang-e-zamāna ko purāne se milā
- ہر ایک لمحہ مری آگ میں گزارے کوئیپھر اس کے بعد مجھے عشق میں اتارے کوئیhar ek lamha mirī āg meñ guzāre koīphir is ke ba.ad mujhe ishq meñ utāre koī
- ہم اپنے دکھ کو گانے لگ گئے ہیںمگر اس میں زمانے لگ گئے ہیںham apne dukh ko gāne lag ga.e haiñmagar is meñ zamāne lag ga.e haiñ
- ہے انتظار مقدر تو انتظار کروپر اپنے دل کی فضا کو بھی خوش گوار کروhai intizār muqaddar to intizār karopar apne dil kī fazā ko bhī ḳhush gavār karo
- یہ مانا اس طرف رستہ نہ جائےمگر پھر بھی مجھے روکا نہ جائےye mānā is taraf rasta na jā.emagar phir bhī mujhe rokā na jā.e