کچھ اس مقام سے اب دل کا کارواں گزرے
Madan Mohan Danish (b. 1961)کچھ اس مقام سے اب دل کا کارواں گزرے
یقیں کی حد سے جو گزرے تو بے زباں گزرے
یہ اتفاق کہاں ہے کہ آنکھ بھر آئی
محبتوں میں کوئی کیسے بے نشاں گزرے
مجھی سے ہو کے گزرتی ہے راہ دنیا کی
سو مجھ سے ہو کے زمیں اور آسماں گزرے
تعلقات میں وہ مرحلے بھی کیسے تھے
یقین اور گماں کے جو درمیاں گزرے
طلسم رنگ میں الجھے ہوئے ہیں سب دانشؔ
جو دیکھنے ہیں وہ منظر ابھی کہاں گزرے
kuchh us maqam se ab dil ka karwan guzre
yaqin ki had se jo guzre to be zaban guzre
ye ittifaq kahan hai ke ankh bhar ai
mohabbaton mein koi kaise be nishan guzre
mujhi se ho ke guzarti hai rah duniya ki
so mujh se ho ke zamin aur asman guzre
taalluqat mein wo marhale bhi kaise the
yaqin aur guman ke jo darmiyan guzre
tilism-e-rang mein uljhe hue hain sab danish
jo dekhne hain wo manzar abhi kahan guzre