Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Ghani Ejaz

1929–2010

Poems

Meter
  1. āp apne ko motabar kar leñmilne vāloñ ke dil meñ ghar kar leñ
  2. ādmī kī hayāt muṭṭhī bharya.anī kal kā.ināt muṭṭhī bhar
  3. adhūrī nāshanīda dāstāñ hūñke shāyad maiñ samā.at par girāñ hūñ
  4. andāz-e-fikr-e-ahl-e-jahāñ kā judā rahāvo mujh se ḳhush rahe to zamāna ḳhafā rahā
  5. bijlī kī zad meñ ek mirā āshiyāñ nahīñvo kaun sī zamīñ hai jahāñ āsmāñ nahīñ
  6. bijlī girī to soch ke sab tār kaṭ ga.eyak laḳht-e-raushnī se andhere lipaṭ ga.e
  7. bazm-e-ālam meñ sadā ham bhī nahīñ tum bhī nahīñmunkir-e-roz-e-jazā tum bhī nahīñ ham bhī nahīñ
  8. be vafā ke va.ada par etibār karte haiñvo na ā.egā phir bhī intizār karte haiñ
  9. parinda had-e-nazar tak jo āsmān meñ haiparoñ meñ zor kahāñ hausla uṛān meñ hai
  10. tishna lab hūñ udās baiṭhā hūñmaiñ samundar ke pās baiṭhā hūñ
  11. tumheñ ḳhabar bhī hai ye tum ne kis se kyā māñgābhanvar meñ ḍūbne vāloñ se āsrā māñgā
  12. thakan ġhālib hai dam ṭūṭe hue haiñsafar jārī qadam ṭūṭe hue haiñ
  13. tīr jaise kamān se niklāharf-e-haq thā zabān se niklā
  14. jaur-e-be jā ko jo kahte ho bajā hai vo bhīdast-e-qātil pe lahū hai ke hinā hai vo bhī
  15. ḳhvāhisheñ apnī sarāboñ meñ na rakhe koīun havā.oñ ko habāboñ meñ na rakhe koī
  16. koī ham rāh nahīñ rāh kī mushkil ke sivāhāsil-e-umr bhī kyā hai ġham hāsil ke sivā
  17. masarrat kī farāvānī ke din haiñmohabbat kī jahāñ bānī ke din haiñ