بے وفا کے وعدہ پر اعتبار کرتے ہیں
Ghani Ejaz (1929–2010)بے وفا کے وعدہ پر اعتبار کرتے ہیں
وہ نہ آئے گا پھر بھی انتظار کرتے ہیں
لوگ اب محبت میں کاروبار کرتے ہیں
دل بچا کے رکھتے ہیں جاں شکار کرتے ہیں
عشرتیں جہاں بھر کی بس انہیں کا حصہ ہے
جو روش زمانے کی اختیار کرتے ہیں
شخصیت میں جھانکیں تو اور ہی تماشہ ہے
باتیں جو نصیحت کی بے شمار کرتے ہیں
اپنے دم قدم سے تو دشت بھی گلستاں ہے
ہم جو خارزاروں کو لالہ زار کرتے ہیں
جان سے گزرتے ہیں بے خودی میں اہل دل
وہ جو چشم پر فن کو ذوالفقار کرتے ہیں
ہوں شگوفے شاخوں کے یا لویں چراغوں کی
سب ہوا کے دامن پر انحصار کرتے ہیں
ہم کہاں کے دانا ہیں کس ہنر میں یکتا ہیں
لوگ پھر بھی جانے کیوں ہم سے پیار کرتے ہیں
جس جگہ پہ خدشہ ہو پیر کے پھسلنے کا
ہم قدم وہیں اعجازؔ استوار کرتے ہیں
be wafa ke waada par etibar karte hain
wo na aega phir bhi intizar karte hain
log ab mohabbat mein karobar karte hain
dil bacha ke rakhte hain jan shikar karte hain
ishraten jahan bhar ki bas unhen ka hissa hai
jo rawish zamane ki ikhtiyar karte hain
shakhsiyat mein jhanken to aur hi tamasha hai
baten jo nasihat ki be shumar karte hain
apne dam qadam se to dasht bhi gulistan hai
ham jo kharzaron ko lala zar karte hain
jan se guzarte hain be khudi mein ahl-e-dil
wo jo chashm pur fan ko zualfaqar karte hain
hun shagufe shakhon ke ya lawen charaghon ki
sab hawa ke daman par inhisar karte hain
ham kahan ke dana hain kis hunar mein yakta hain
log phir bhi jane kyun ham se pyar karte hain
jis jagah pe khadsha ho pir ke phisalne ka
ham qadam wahin ejaz ustuwar karte hain