Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Charan Singh Bashar

b. 1957

Poems

Meter
  1. ā.īna kaun hai kuchh patā to chalebe ḳhatā kaun hai kuchh patā to chale
  2. apne ma.asūm gunāhoñ kī sazā kyā māñgeñdosto tum se vafā.oñ kā sila kyā māñgeñ
  3. agar kuchh sīkhnā hai zindagī sechalo āġhāz kar leñ āj hī se
  4. ek markaz pe simaṭ ā.ī hai sārī duniyāham tamāshā haiñ tamāshā.ī hai sārī duniyā
  5. ai sar phirī huā tujhe us kī ḳhabar bhī haitū jis taraf chalī hai idhar merā ghar bhī hai
  6. sar uṭhā ke mat chaliye āj ke zamāne meñjān jātī rahtī hai hausla dikhāne meñ
  7. sīne pe kare vār jo ḳhanjar vahī achchhājo khul ke sitam ḍhā.e sitam gar vahī achchhā
  8. fazā-e-ādmiyyat ko sañvarne hī nahīñ detesiyāsat dāñ diloñ ke zaḳhm bharne hī nahīñ dete
  9. kab tak rahegā shab kā safar dekhnā ye haihai kitnī dūr aur sahar dekhnā ye hai
  10. kisī gum karda-e-manzil ne hī pahre pe rakhī haivo ik zinda lahū kī būnd jo kānṭe pe rakhī hai
  11. kaun dil kā dard pahchāne kise āvāz deñsochte rahte haiñ dīvāne kise āvāz deñ
  12. lākh kuchh na ham kahte be zabāñ rahe hoteāp to ba har sūrat bad gumāñ rahe hote
  13. maiñ andherā ek shab kā tirā sham.a sā zamānabhalā kaise hogā mumkin koī mil ke ghar basānā
  14. hameñ jaise banā patvār dariyā pār karte haiñvo kyā maujoñ se ṭakrā.eñge jo pānī se ḍarte haiñ