Poet
Chandra Parkash Jauhar Bijnauri
1923–1995
Poems
- آدمیت کی کمی آج جس انسان میں ہےوہ نہ ہندو میں ہے شامل نہ مسلمان میں ہےādmiyyat kī kamī āj jis insān meñ haivo na hindū meñ hai shāmil na musalmān meñ hai
- ایسا نہیں کہ ایک مرا گھر اداس ہےتیرے بغیر جو بھی ہے منظر اداس ہےaisā nahīñ ke ek mirā ghar udās haitere baġhair jo bhī hai manzar udās hai
- با وقار لہجے میں پر اثر کہا جائےدل کا حال کچھ بھی ہو مختصر کہا جائےbā vaqār lahje meñ pur asar kahā jā.edil kā hāl kuchh bhī ho muḳhtasar kahā jā.e
- پہلے تو اس کی ذات غزل میں سمیٹ لوںپھر ساری کائنات غزل میں سمیٹ لوںpahle to us kī zāt ġhazal meñ sameṭ lūñphir sārī kā.ināt ġhazal meñ sameṭ lūñ
- چہرے سے نمایاں ہے ایک ایک ادا غم کیانساں جسے کہتے ہیں تصویر ہے ماتم کیchehre se numāyāñ hai ek ek adā ġham kīinsāñ jise kahte haiñ tasvīr hai mātam kī
- حجاب بن کے وہ میری نظر میں رہتا ہےمجھی سے پردہ ہے میرے ہی گھر میں رہتا ہےhijāb ban ke vo merī nazar meñ rahtā haimujhī se parda hai mere hī ghar meñ rahtā hai
- رسن و دار سے یا کوئے بتاں سے اٹھےفتنہ ہر حال میں فتنہ ہے جہاں سے اٹھےrasan-o-dār se yā kū-e-butāñ se uṭhefitna har hāl meñ fitna hai jahāñ se uṭhe
- سکوت غم کو بھی طرز بیاں کہنا ہی پڑتا ہےمحبت میں خموشی کو زباں کہنا ہی پڑتا ہےsukūt-e-ġham ko bhī tarz-e-bayāñ kahnā hī paṛtā haimohabbat meñ ḳhamoshī ko zabāñ kahnā hī paṛtā hai
- سونی سونی سی ہے ہر بزم سخن تیرے بعدختم ہے سلسلۂ عظمت فن تیرے بعدsūnī sūnī sī hai har bazm-e-suḳhan tere ba.adḳhatm hai silsila-e-azmat fan tere ba.ad
- غم کی آغوش میں جو پلتے ہیںوہی دنیا کا رخ بدلتے ہیںġham kī āġhosh meñ jo palte haiñvahī duniyā kā ruḳh badalte haiñ
- کون جانے کہ تخیل میں ہیں پیکر کتنےبت تراشے گا ابھی اور یہ آذر کتنےkaun jāne ke taḳhayyul meñ haiñ paikar kitnebut tarāshegā abhī aur ye āzar kitne
- میں تیرگی سے گزرتا ہوں روشنی کی طرحمجھے شعور ہے جینے کا آدمی کی طرحmaiñ tīrgī se guzartā hūñ raushnī kī tarahmujhe shuūr hai jīne kā ādmī kī tarah
- وہ دل کشی وہ روشنئ بام و در گئیتم کیا گئے کہ رونق شام و سحر گئیvo dil kashī vo raushnī-e-bām-o-dar ga.ītum kyā ga.e ke raunaq-e-shām-o-sahar ga.ī
- وہ کیا جواب دے عرض سوال سے پہلےنہ سمجھے بات جو اظہار حال سے پہلےvo kyā javāb de arz-e-savāl se pahlena samjhe bāt jo iz.hār-e-hāl se pahle
- ہوئی جب شمع روشن بزم میں پروانے جاگ اٹھےجنوں نے اس طرح انگڑائی لی دیوانے جاگ اٹھےhuī jab sham-e-raushan bazm meñ parvāne jāg uṭhejunūñ ne is tarah angṛā.ī lī dīvāne jāg uṭhe