حجاب بن کے وہ میری نظر میں رہتا ہے
Chandra Parkash Jauhar Bijnauri (1923–1995)حجاب بن کے وہ میری نظر میں رہتا ہے
مجھی سے پردہ ہے میرے ہی گھر میں رہتا ہے
کبھی کسی کا تجسس کبھی خود اپنی تلاش
عجیب دل ہے ہمیشہ سفر میں رہتا ہے
جسے خیال سے چھوتے ہوئے بھی ڈرتا ہوں
اک ایسا حسن بھی میری نظر میں رہتا ہے
جسے کسی سے کوئی واسطہ نہیں ہوتا
سکوں کے ساتھ وہی اپنے گھر میں رہتا ہے
جس ایک لمحے سے صدیاں بدلتی جاتی ہیں
وہ ایک لمحہ مسلسل سفر میں رہتا ہے
تمام شہر کو ہے جس پہ ناز اے جوہرؔ
اک ایسا شخص ہمارے نگر میں رہتا ہے
hijab ban ke wo meri nazar mein rahta hai
mujhi se parda hai mere hi ghar mein rahta hai
kabhi kisi ka tajassus kabhi khud apni talash
ajib dil hai hamesha safar mein rahta hai
jise khayal se chhute hue bhi darta hun
ik aisa husn bhi meri nazar mein rahta hai
jise kisi se koi wasta nahin hota
sukun ke sath wahi apne ghar mein rahta hai
jis ek lamhe se sadiyan badalti jati hain
wo ek lamha musalsal safar mein rahta hai
tamam shahr ko hai jis pe naz ai jauhar
ik aisa shakhs hamare nagar mein rahta hai