Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Chand Kakralvi

b. 1979

Poems

Meter
  1. aisā mahsūs huā hai tire inām ke ba.adjaise mazdūr ko mazdūrī mile kām ke ba.ad
  2. pahle to apne āp ko tujh sā kare koīphir mujh se dostī kā irāda kare koī
  3. tapish kyūñ baṛh rahī hai rāstoñ kīqazā āne ko hai kyā ābloñ kī
  4. safar kaisā ye karnā paṛ rahā haisharāroñ se guzarnā paṛ rahā hai
  5. samajh rahe the ke bādal haiñ sar pe chhā.e huemagar ġhubār pe nazreñ the ham jamā.e hue
  6. shiddat balā kī hotī hai jis vaqt pyās meñdariyā dikhā.ī detā hai ḳhālī gilās meñ
  7. fazā behtar banānā chāhtī haikalī ab muskurānā chāhtī hai
  8. lagā hai rog koī to jaṛoñ meñudāsī kyūñ hai varna ṭahniyoñ meñ
  9. vahī bulandī se nīche hameñ girāte haiñvo jin ke vāste ham sīṛhiyāñ banāte haiñ
  10. hāth pahuñche bhī na the mahtāb takho ga.e miṭṭī sunahre ḳhvāb tak
  11. ham ne to us se bhī nibhā lī haidil mohabbat se jis kā ḳhālī hai
  12. hotā hai mire hāl kā charchā mire āgebantā hai mirā roz-e-tamāshā mire āge