Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Bakhsh Layalpuri

1934–2002

Poems

Meter
  1. asīrān-e-havādis kī girāñ jānī nahīñ jātījahāñ se ḳhūn-e-insānī kī arzānī nahīñ jātī
  2. utāq shab meñ sahar ke charāġh-e-raushan karqabā-e-dil hī nahīñ dil ke dāġh raushan kar
  3. bantī nahīñ bāt to phir bāt kyā kareñbigṛe hue haiñ shahr ke hālāt kyā kareñ
  4. paṛe haiñ rāh meñ jo log be sabab kab sepukārtī hai unheñ manzil-e-talab kab se
  5. tishnagī-e-lab pe ham aks āb likheñgejin kā ghar nahīñ koī ghar ke ḳhvāb likheñge
  6. jo pī rahā hai sadā ḳhūn-e-be gunāhoñ kāvo shaḳhs to hai numā.inda kaj kulāhoñ kā
  7. husūl-e-manzil jāñ kā hunar nahīñ āyāvo raushnī thī ke kuchh bhī nazar nahīñ āyā
  8. dīda-e-be rang meñ ḳhūñ rang manzar rakh diyeham ne is dasht-e-tapāñ meñ bhī samundar rakh diye
  9. rut na badle tū bhī afsurda shajar lagtā haiaur mausam ke taġhayyur se bhī ḍar lagtā hai
  10. ruḳh-e-hayāt hai sharminda-e-jamāl bahutjamī huī hai abhī gard-e-māh-o-sāl bahut
  11. samundar kā tamāsha kar rahā hūñmaiñ sāhil ban ke pyāsā mar rahā hūñ
  12. safha-e-qirtās par ḳhush rang tahrīreñ nahīñapne qabze meñ abhī lafzoñ kī jāgīreñ nahīñ
  13. qātil huā ḳhamosh to talvār bol uṭhīmaqtal meñ ḳhūn-e-garm kī har dhār bol uṭhī
  14. kabhī ānkhoñ pe kabhī sar pe biṭhā.e rakhnāzindagī talḳh sahī dil se lagā.e rakhnā
  15. koī shai dil ko bahlātī nahīñ haipareshānī kī rut jātī nahīñ hai
  16. mire har lafz kī tauqīr rahne ke liye haimaiñ vo zinda hūñ merī tahrīr rahne ke liye hai
  17. mashaqqat kā ḳhazāna māñgtā haimirī mehnat zamāna māñgtā hai