اطاق شب میں سحر کے چراغ روشن کر
Bakhsh Layalpuri (1934–2002)اطاق شب میں سحر کے چراغ روشن کر
قبائے دل ہی نہیں دل کے داغ روشن کر
کسی طریق سے تازہ ہوا گرفت میں لا
کسی سبیل سے اپنا دماغ روشن کر
مشام جاں میں بسا خیر و امن کی خوشبو
پھر اس مہک سے محبت کے باغ روشن کر
چھڑک کے خون رگ دل حقیر ذروں پر
سواد منزل جاں کے سراغ روشن کر
صلیب اٹھا کے کبھی کوچۂ ستم میں بھی چل
جنوں کی لو سے بھی دشت چراغ روشن کر
رہ حیات میں وہم و گماں کے سائے ہیں
نظر میں عزم و یقیں کے ایاغ روشن کر
کبھی تقدس انسان کے تو گیت بھی گا
کبھی تو دل میں محبت کی آگ روشن کر
utaq shab mein sahar ke charagh-e-raushan kar
qaba-e-dil hi nahin dil ke dagh raushan kar
kisi tariq se taza hua giraft mein la
kisi sabil se apna dimagh-e-raushan kar
masham-e-jan mein basa khair-o-amn ki khushbu
phir is mahak se mohabbat ke bagh raushan kar
chhirak ke khun-e-rag-e-dil haqir zarron par
sawad-e-manzil-e-jan ke suragh-e-raushan kar
salib utha ke kabhi kucha-e-sitam mein bhi chal
junun ki lau se bhi dasht-e-charagh-e-raushan kar
rah-e-hayat mein wahm-o-guman ke sae hain
nazar mein azm-o-yaqin ke ayagh raushan kar
kabhi taqaddus insan ke to git bhi ga
kabhi to dil mein mohabbat ki ag raushan kar