Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Badr Mohammadi

b. 1963

Poems

Meter
  1. ānkhoñ maiñ apnī ashk-e-nadāmat liye hueham haiñ ajīb rang ibādat liye hue
  2. us se alag ho aisī mirī zāt hī nahīñmerā nahīñ hai vo to koī bāt hī nahīñ
  3. ik tahī dast se kyā kyā tan-e-fānī māñgesāya-e-zīst meñ hai naql-e-makānī māñge
  4. bahte pānī kī nishānī aur haiṭhahre dariyā kī ravānī aur hai
  5. tum ne jo kiyā pesh vo guldān bahut haiye rasm-o-rah ḳhās mirī jān bahut hai
  6. tumhārī zulf kā ho kar asīr-e-zinda haikisī tarah se sahī ye faqīr zinda hai
  7. tumhārī yād yūñ ehsās-e-tanhā.ī baṛhātī haike jaise qīmateñ chīzoñ kī mahngā.ī baṛhātī hai
  8. dūr ghar se kahīñ is tarah bhī jāyā jā.eder tak dhūp kī bārish meñ nahāyā jā.e
  9. raushnī aur andheroñ ke safar kā jādūdekhtā rahtā hūñ maiñ shām-o-sahar kā jādū
  10. āriz kī tāb sāya-e-gesū ġhazal meñ haiya.anī ke dhūp chhā.oñ kā jādū ġhazal meñ hai
  11. mirī zamīn tire āsmāñ se behtar haiyaqīñ yaqīñ hai kisī bhī gumāñ se behtar hai
  12. maiñ parbat hūñ vo rā.ī kī tarah haihamāre bīch khā.ī kī tarah hai
  13. nazar hamārī sar-e-koh-e-tūr ā jā.edayār-e-dil meñ zarā us kā nūr ā jā.e
  14. nahīñ vo khol kar lab boltā haiye us kā kaun sā ḍhab boltā hai
  15. hamārā azm ziyāda ke rah guzar kam haihar ek gām pe lagtā hai ye safar kam hai
  16. hamāre honṭoñ pe kyūñ shikva-e-bahār ā.eke umr apnī bayābāñ meñ ham guzār ā.e