Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

سید یوسف علی خاں ناظم

Poems

  1. apnā apnā rang dikhlātī haiñ jānī chauṛiyāñāsmānī arġhavānī zāfrānī chauṛiyāñ
  2. is tavaqqo pe ke dekhūñ kabhī āte jāteghis ga.e pā.oñ rah-e-dost meñ jāte jāte
  3. bar sar-e-lutf āj chashm-e-dil rubā thī maiñ na thāḍhūñḍhtī mujh ko nigāh-e-āshnā thī maiñ na thā
  4. be diye le uṛā kabūtar ḳhatyūñ pahuñchtā hai aupr ūpar ḳhat
  5. thī āsmāñ pe merī chaṛhā.ī tamām rātpheñkā kiyā hūñ tīr-e-havā.ī tamām rāt
  6. tere dar se maiñ uṭhā lekin na merā dil uṭhāchhoṛ kar ho jis tarah kāsa koī sā.il uṭhā
  7. jāñ fishānī kā vāñ hisāb abasjo kaho us kā hai javāb abas
  8. jab kaho kyūñ ho ḳhafā kyā bā.iskahte haiñ pūchhne kā kyā bā.is
  9. dil meñ utrī hai nigah rah ga.īñ bāhar palkeñkyā ḳhadang-e-nigah-e-yār kī haiñ par palkeñ
  10. āshiq-e-haq haiñ hameñ shikva-e-taqdīr nahīñpech qismat kā kam az zulf-e-girah gīr nahīñ
  11. qāzī ke muñh pe mārī hai botal sharāb kīye umr bhar meñ ek huī hai savāb kī
  12. kabhī ḳhūñ hotī hue aur kabhī jalte dekhādil ko har bār nayā rang badalte dekhā
  13. kalām-e-saḳht kah kah kar vo kyā ham par baraste haiñlab un ke la.al haiñ par la.al se patthar baraste haiñ
  14. kahāñ hai to kahāñ hai aur maiñ hūñanā alhaq kā bayāñ hai aur maiñ hūñ
  15. le ke apnī zulf ko vo pyāre pyāre hāth meñkahte haiñ fitnoñ kī choṭī hai hamāre hāth meñ
  16. mohtāj nahīñ qāfila āvāz-e-darā kāsīdhī hai rah but kada ehsān ḳhudā kā
  17. mil jā.eñ izdihām meñ ham hī ye ham se dūrik ghar judā banā.eñge dair-o-haram se dūr
  18. maiñ ne kahā ke da.avā-e-ulfat magar ġhalatkahne lage ke hāñ ġhalat aur kis qadar ġhalat
  19. vo jab āp se apnā pardā kareñtū band-e-qabā kis tarah vā kareñ
  20. vahī gul hai gulistāñ meñ vahī hai sham-e-mahfil meñvahī yūsuf hai zindāñ meñ vahī lailā hai mahmil meñ
  21. ham un kī nazar meñ samāne lagemagar jab nazar bhī na āne lage
  22. ham ko havas jalva gāh-e-tūr nahīñ haius husn kī kyā qadr jo mastūr nahīñ hai
  23. ham ne sau sau tarah banā.ī bātsāmne us ke ban na ā.ī bāt
  24. hai ā.īna ḳhāne meñ tirā zauq-e-fazā raqskarte haiñ bahut se tire ham shakl judā raqs