Poet
Saba Akbarabadi
1908–1991
Poems
- آئینہ بن جائیے جلوہ اثر ہو جائیےسامنے وہ ہوں تو سر تا پا نظر ہو جائیےā.īna ban jā.iye jalva asar ho jā.iyesāmne vo hūñ to sar tā pā nazar ho jā.iye
- اجالا کر کے ظلمت میں گھرا ہوںچراغ رہ گزر تھا بجھ گیا ہوںujālā kar ke zulmat meñ ghirā hūñcharāġh-e-rah guzar thā bujh gayā hūñ
- اجل ہوتی رہے گی عشق کر کے ملتوی کب تکمقدر میں ہے یا رب آرزوئے خود کشی کب تکajal hotī rahegī ishq kar ke multavī kab takmuqaddar meñ hai yā rab ārzū-e-ḳhud kashī kab tak
- اس رنگ میں اپنے دل ناداں سے گلہ ہےجیسے ہمیں کل عالم امکاں سے گلہ ہےis rang maiñ apne dil-e-nādāñ se gila haijaise hameñ kal ālam-e-imkāñ se gila hai
- اس کا وعدہ تا قیامت کم سے کماور یہاں مرنے کی فرصت کم سے کمus kā va.ada tā qayāmat kam se kamaur yahāñ marne kī fursat kam se kam
- اس کو بھی ہم سے محبت ہو ضروری تو نہیںعشق ہی عشق کی قیمت ہو ضروری تو نہیںus ko bhī ham se mohabbat ho zarūrī to nahīñishq hī ishq kī qīmat ho zarūrī to nahīñ
- اشک باری نہیں فرقت میں شررباری ہےآنکھ میں خون کا قطرہ ہے کہ چنگاری ہےashk bārī nahīñ furqat meñ shararbārī haiānkh meñ ḳhūn kā qatra hai ke chingārī hai
- تجھ سے دامن کشاں نہیں ہوں میںاے زمیں آسماں نہیں ہوں میںtujh se dāman kashāñ nahīñ hūñ maiñai zamīñ āsmāñ nahīñ hūñ maiñ
- تم نے رسم جفا اٹھا دی ہےہمیں کس جرم کی سزا دی ہےtum ne rasm-e-jafā uṭhā dī haihameñ kis jurm kī sazā dī hai
- جنوں میں گم ہوئے ہشیار ہو کرہمیں نیند آ گئی بیدار ہو کرjunūñ meñ gum hue hushyār ho karhameñ nīnd ā ga.ī bedār ho kar
- جوانی زندگانی ہے نہ تم سمجھے نہ ہم سمجھےیہ اک ایسی کہانی ہے نہ تم سمجھے نہ ہم سمجھےjavānī zindagānī hai na tum samjhe na ham samjheye ik aisī kahānī hai na tum samjhe na ham samjhe
- جو دیکھیے تو کرم عشق پر ذرا بھی نہیںجو سوچیے کہ خفا ہیں تو وہ خفا بھی نہیںjo dekhiye to karam ishq par zarā bhī nahīñjo sochiye ke ḳhafā haiñ to vo ḳhafā bhī nahīñ
- جو ہمارے سفر کا قصہ ہےوہ تری رہ گزر کا قصہ ہےjo hamāre safar kā qissa haivo tirī rah guzar kā qissa hai
- چلا چل مہلت آرام کیا ہےمسافر اور تیرا کام کیا ہےchalā chal mohlat-e-ārām kyā haimusāfir aur terā kām kyā hai
- حسن جو رنگ خزاں میں ہے وہ پہچان گیافصل گل جا مرے دل سے ترا ارمان گیاhusn jo rang-e-ḳhizāñ meñ hai vo pahchān gayāfasl-e-gul jā mire dil se tirā armān gayā
- سادگی تو ہماری ذرا دیکھیے اعتبار آپ کے وعدے پر کر لیابات تو صرف اک رات کی تھی مگر انتظار آپ کا عمر بھر کر لیاsādgī to hamārī zarā dekhiye etibār āp ke va.ade par kar liyābāt to sirf ik rāt kī thī magar intizār āp kā umr bhar kar liyā
- سونا تھا جتنا عہد جوانی میں سو لیےاب دھوپ سر پہ آ گئی ہے آنکھ کھولیےsonā thā jitnā ahd-e-javānī meñ so liyeab dhūp sar pe ā ga.ī hai ānkh kholiye
- غالباً میرے علاوہ کوئی گزرا بھی نہیںتیری منزل میں کہیں نقش کف پا بھی نہیںġhāliban mere alāva koī guzrā bhī nahīñterī manzil meñ kahīñ naqsh-e-kaf-e-pā bhī nahīñ
- کثرت جلوہ کو آئینۂ وحدت سمجھوجس کی صورت نظر آئے وہی صورت سمجھوkasrat-e-jalva ko ā.īna-e-vahdat samjhojis kī sūrat nazar ā.e vahī sūrat samjho
- منزل پہ پہنچنے کا مجھے شوق ہوا تیزرستہ ملا دشوار تو میں اور چلا تیزmanzil pe pahuñchne kā mujhe shauq huā tezrasta milā dushvār to maiñ aur chalā tez
- ہجوم غم ہے قلب غمزدہ ہےمری محفل مرا خلوت کدہ ہےhujūm-e-ġham hai qalb-e-ġhamzada haimirī mahfil mirā ḳhalvat kada hai
- ہے جو درویش وہ سلطاں ہے یہ معلوم ہوابوریا تخت سلیماں ہے یہ معلوم ہواhai jo darvesh vo sultāñ hai ye ma.alūm huāboriyā taḳht-e-sulaimāñ hai ye ma.alūm huā
- یگانہ بن کے ہو جائے وہ بیگانہ تو کیا ہوگاجو پہچانا تو کیا ہوگا نہ پہچانا تو کیا ہوگاyagāna ban ke ho jā.e vo begāna to kyā hogājo pahchānā to kyā hogā na pahchānā to kyā hogā
- آپ آئے ہیں سو اب گھر میں اجالا ہے بہتکہیے جلتی رہے یا شمع بجھا دی جائےāp ā.e haiñ so ab ghar meñ ujālā hai bahutkahiye jaltī rahe yā sham.a bujhā dī jā.e
- آپ کے لب پہ اور وفا کی قسمکیا قسم کھائی ہے خدا کی قسمāp ke lab pe aur vafā kī qasamkyā qasam khā.ī hai ḳhudā kī qasam
- آئینہ کیسا تھا وہ شام شکیبائی کاسامنا کر نہ سکا اپنی ہی بینائی کاā.īna kaisā thā vo shām shakebā.ī kāsāmnā kar na sakā apnī hī bīnā.ī kā
- ابھی تو ایک وطن چھوڑ کر ہی نکلے ہیںہنوز دیکھنی باقی ہیں ہجرتیں کیا کیاabhī to ek vatan chhoṛ kar hī nikle haiñhanoz dekhnī bāqī haiñ hijrateñ kyā kyā
- اپنے جلنے میں کسی کو نہیں کرتے ہیں شریکرات ہو جائے تو ہم شمع بجھا دیتے ہیںapne jalne meñ kisī ko nahīñ karte haiñ sharīkrāt ho jā.e to ham sham.a bujhā dete haiñ
- اچھا ہوا کہ سب در و دیوار گر پڑےاب روشنی تو ہے مرے گھر میں ہوا تو ہےachchhā huā ke sab dar-o-dīvār gir paṛeab raushnī to hai mire ghar meñ huā to hai
- ازل سے آج تک سجدے کئے اور یہ نہیں سوچاکسی کا آستاں کیوں ہے کسی کا سنگ در کیا ہےazal se āj tak sajde kiye aur ye nahīñ sochākisī kā āstāñ kyūñ hai kisī kā sang dar kyā hai
- اس شان کا آشفتہ و حیراں نہ ملے گاآئینہ سے فرصت ہو تو تصویر صباؔ دیکھis shān kā āshufta-o-hairāñ na milegāā.īna se fursat ho to tasvīr sabā dekh
- اک روز چھین لے گی ہمیں سے زمیں ہمیںچھینیں گے کیا زمیں کے خزانے زمیں سے ہمik roz chhīn legī hameñ se zamīñ hameñchhīneñge kyā zamīñ ke ḳhazāne zamīñ se ham
- ایسا بھی کوئی غم ہے جو تم سے نہیں پایاایسا بھی کوئی درد ہے جو دل میں نہیں ہےaisā bhī koī ġham hai jo tum se nahīñ pāyāaisā bhī koī dard hai jo dil meñ nahīñ hai
- بال و پر کی جنبشوں کو کام میں لاتے رہواے قفس والو قفس سے چھوٹنا مشکل سہیbāl-o-par kī jumbishoñ ko kām meñ lāte rahoai qafas vālo qafas se chhūṭnā mushkil sahī
- بھیڑ تنہائیوں کا میلا ہےآدمی آدمی اکیلا ہےbhīṛ tanhā.iyoñ kā mailā haiādmī ādmī akelā hai
- پستی نے بلندی کو بنایا ہے حقیقتیہ رفعت افلاک بھی محتاج زمیں ہےpastī ne bulandī ko banāyā hai haqīqatye rifat-e-aflāk bhī mohtāj zamīñ hai
- ٹکڑے ہوئے تھے دامن ہستی کے جس قدردلق گدائے عشق کے پیوند ہو گئےṭukṛe hue the dāman hastī ke jis qadardalq gadā.e ishq ke paivand ho ga.e
- جب عشق تھا تو دل کا اجالا تھا دہر میںکوئی چراغ نور بداماں نہیں ہے ابjab ishq thā to dil kā ujālā thā dahr meñkoī charāġh nūr badāmāñ nahīñ hai ab
- خواہشوں نے دل کو تصویر تمنا کر دیااک نظر نے آئنے میں عکس گہرا کر دیاḳhvāhishoñ ne dil ko tasvīr tamannā kar diyāik nazar ne ā.īne meñ aks gahrā kar diyā
- دوستوں سے یہ کہوں کیا کہ مری قدر کروابھی ارزاں ہوں کبھی پاؤ گے نایاب مجھےdostoñ se ye kahūñ kyā ke mirī qadr karoabhī arzāñ hūñ kabhī pā.oge nāyāb mujhe
- رواں ہے قافلۂ روح التفات ابھیہماری راہ سے ہٹ جائے کائنات ابھیravāñ hai qāfila-e-rūh-e-iltifāt abhīhamārī rāh se haṭ jā.e kā.ināt abhī
- روشنی خود بھی چراغوں سے الگ رہتی ہےدل میں جو رہتے ہیں وہ دل نہیں ہونے پاتےraushnī ḳhud bhī charāġhoñ se alag rahtī haidil meñ jo rahte haiñ vo dil nahīñ hone pāte
- سمجھے گا آدمی کو وہاں کون آدمیبندہ جہاں خدا کو خدا مانتا نہیںsamjhegā ādmī ko vahāñ kaun ādmībanda jahāñ ḳhudā ko ḳhudā māntā nahīñ
- سو بار جس کو دیکھ کے حیران ہو چکےجی چاہتا ہے پھر اسے اک بار دیکھناsau bār jis ko dekh ke hairān ho chukejī chāhtā hai phir use ik bār dekhnā
- عشق آتا نہ اگر راہ نمائی کے لئےآپ بھی واقف منزل نہیں ہونے پاتےishq ātā na agar rāh numā.ī ke liyeāp bhī vāqif-e-manzil nahīñ hone pāte
- غلط فہمیوں میں جوانی گزاریکبھی وہ نہ سمجھے کبھی ہم نہ سمجھےġhalat fahmiyoñ meñ javānī guzārīkabhī vo na samjhe kabhī ham na samjhe
- غم دوراں کو بڑی چیز سمجھ رکھا تھاکام جب تک نہ پڑا تھا غم جاناں سے ہمیںġham-e-daurāñ ko baṛī chīz samajh rakhā thākām jab tak na paṛā thā ġham jānāñ se hameñ
- کام آئے گی مزاج عشق کی آشفتگیاور کچھ ہو یا نہ ہو ہنگامۂ محفل سہیkām ā.egī mizāj-e-ishq kī āshuftagīaur kuchh ho yā na ho hangāma-e-mahfil sahī
- کب تک نجات پائیں گے وہم و یقیں سے ہمالجھے ہوئے ہیں آج بھی دنیا و دیں سے ہمkab tak najāt pā.eñge vahm-o-yaqīñ se hamuljhe hue haiñ āj bhī duniyā-o-dīñ se ham
- کب تک یقین عشق ہمیں خود نہ آئے گاکب تک مکاں کا حال کہیں گے مکیں سے ہمkab tak yaqīn-e-ishq hameñ ḳhud na ā.egākab tak makāñ kā hāl kaheñge makīñ se ham