غالباً میرے علاوہ کوئی گزرا بھی نہیں
Saba Akbarabadi (1908–1991)غالباً میرے علاوہ کوئی گزرا بھی نہیں
تیری منزل میں کہیں نقش کف پا بھی نہیں
آپ کی راہ میں دنیا نظر آتی ہے مجھے
اک قدم اور جو بڑھ جاؤں تو دنیا بھی نہیں
آپ کیا سوچ کے غم اپنا عطا کرتے ہیں
ہمت دل تو بہ قدر غم دنیا بھی نہیں
تم تو بے مثل ہو توحید محبت کی قسم
تم سا کیا ہوگا جہاں میں کوئی مجھ سا بھی نہیں
حشر کی بھیڑ میں ایک ایک کا منہ تکتا ہوں
اس بھری بزم میں اک جاننے والا بھی نہیں
حسن نے دعوت نظارہ ہر اک رنگ سے دی
عشق نے آنکھ اٹھا کر کبھی دیکھا بھی نہیں
ایک تم ہو کہ تمناؤں کے دشمن ہی رہے
ایک میں ہوں مجھے احساس تمنا بھی نہیں
جزو دل بن کے سماتی ہے محبت دل میں
یہ وہ کانٹا ہے کہ ہے اور کھٹکتا بھی نہیں
یاد آتی ہے صباؔ بے وطنوں کی کس کو
مجھ کو یاران وطن سے کوئی شکوہ بھی نہیں
ghaliban mere alawa koi guzra bhi nahin
teri manzil mein kahin naqsh-e-kaf-e-pa bhi nahin
ap ki rah mein duniya nazar ati hai mujhe
ik qadam aur jo barh jaun to duniya bhi nahin
ap kya soch ke gham apna ata karte hain
himmat-e-dil to ba qadar gham-e-duniya bhi nahin
tum to be misl ho tauhid mohabbat ki qasam
tum sa kya hoga jahan mein koi mujh sa bhi nahin
hashr ki bhir mein ek ek ka munh takta hun
is bhari bazm mein ik janne wala bhi nahin
husn ne daawat-e-nazzara har ik rang se di
ishq ne ankh utha kar kabhi dekha bhi nahin
ek tum ho ke tamannaon ke dushman hi rahe
ek main hun mujhe ehsas-e-tamanna bhi nahin
juzw-e-dil ban ke samiti hai mohabbat dil mein
ye wo kanta hai ke hai aur khatakta bhi nahin
yad ati hai saba be watnon ki kis ko
mujh ko yaran-e-watan se koi shikwa bhi nahin