Poet
Saba Akbarabadi
1908–1991
Poems
- آپ آئے ہیں سو اب گھر میں اجالا ہے بہتکہیے جلتی رہے یا شمع بجھا دی جائےāp ā.e haiñ so ab ghar meñ ujālā hai bahutkahiye jaltī rahe yā sham.a bujhā dī jā.e
- آپ کے لب پہ اور وفا کی قسمکیا قسم کھائی ہے خدا کی قسمāp ke lab pe aur vafā kī qasamkyā qasam khā.ī hai ḳhudā kī qasam
- آئینہ کیسا تھا وہ شام شکیبائی کاسامنا کر نہ سکا اپنی ہی بینائی کاā.īna kaisā thā vo shām shakebā.ī kāsāmnā kar na sakā apnī hī bīnā.ī kā
- ابھی تو ایک وطن چھوڑ کر ہی نکلے ہیںہنوز دیکھنی باقی ہیں ہجرتیں کیا کیاabhī to ek vatan chhoṛ kar hī nikle haiñhanoz dekhnī bāqī haiñ hijrateñ kyā kyā
- اپنے جلنے میں کسی کو نہیں کرتے ہیں شریکرات ہو جائے تو ہم شمع بجھا دیتے ہیںapne jalne meñ kisī ko nahīñ karte haiñ sharīkrāt ho jā.e to ham sham.a bujhā dete haiñ
- اچھا ہوا کہ سب در و دیوار گر پڑےاب روشنی تو ہے مرے گھر میں ہوا تو ہےachchhā huā ke sab dar-o-dīvār gir paṛeab raushnī to hai mire ghar meñ huā to hai
- ازل سے آج تک سجدے کئے اور یہ نہیں سوچاکسی کا آستاں کیوں ہے کسی کا سنگ در کیا ہےazal se āj tak sajde kiye aur ye nahīñ sochākisī kā āstāñ kyūñ hai kisī kā sang dar kyā hai
- اس شان کا آشفتہ و حیراں نہ ملے گاآئینہ سے فرصت ہو تو تصویر صباؔ دیکھis shān kā āshufta-o-hairāñ na milegāā.īna se fursat ho to tasvīr sabā dekh
- اک روز چھین لے گی ہمیں سے زمیں ہمیںچھینیں گے کیا زمیں کے خزانے زمیں سے ہمik roz chhīn legī hameñ se zamīñ hameñchhīneñge kyā zamīñ ke ḳhazāne zamīñ se ham
- ایسا بھی کوئی غم ہے جو تم سے نہیں پایاایسا بھی کوئی درد ہے جو دل میں نہیں ہےaisā bhī koī ġham hai jo tum se nahīñ pāyāaisā bhī koī dard hai jo dil meñ nahīñ hai
- بال و پر کی جنبشوں کو کام میں لاتے رہواے قفس والو قفس سے چھوٹنا مشکل سہیbāl-o-par kī jumbishoñ ko kām meñ lāte rahoai qafas vālo qafas se chhūṭnā mushkil sahī
- بھیڑ تنہائیوں کا میلا ہےآدمی آدمی اکیلا ہےbhīṛ tanhā.iyoñ kā mailā haiādmī ādmī akelā hai
- پستی نے بلندی کو بنایا ہے حقیقتیہ رفعت افلاک بھی محتاج زمیں ہےpastī ne bulandī ko banāyā hai haqīqatye rifat-e-aflāk bhī mohtāj zamīñ hai
- ٹکڑے ہوئے تھے دامن ہستی کے جس قدردلق گدائے عشق کے پیوند ہو گئےṭukṛe hue the dāman hastī ke jis qadardalq gadā.e ishq ke paivand ho ga.e
- جب عشق تھا تو دل کا اجالا تھا دہر میںکوئی چراغ نور بداماں نہیں ہے ابjab ishq thā to dil kā ujālā thā dahr meñkoī charāġh nūr badāmāñ nahīñ hai ab
- خواہشوں نے دل کو تصویر تمنا کر دیااک نظر نے آئنے میں عکس گہرا کر دیاḳhvāhishoñ ne dil ko tasvīr tamannā kar diyāik nazar ne ā.īne meñ aks gahrā kar diyā
- دوستوں سے یہ کہوں کیا کہ مری قدر کروابھی ارزاں ہوں کبھی پاؤ گے نایاب مجھےdostoñ se ye kahūñ kyā ke mirī qadr karoabhī arzāñ hūñ kabhī pā.oge nāyāb mujhe
- رواں ہے قافلۂ روح التفات ابھیہماری راہ سے ہٹ جائے کائنات ابھیravāñ hai qāfila-e-rūh-e-iltifāt abhīhamārī rāh se haṭ jā.e kā.ināt abhī
- روشنی خود بھی چراغوں سے الگ رہتی ہےدل میں جو رہتے ہیں وہ دل نہیں ہونے پاتےraushnī ḳhud bhī charāġhoñ se alag rahtī haidil meñ jo rahte haiñ vo dil nahīñ hone pāte
- سمجھے گا آدمی کو وہاں کون آدمیبندہ جہاں خدا کو خدا مانتا نہیںsamjhegā ādmī ko vahāñ kaun ādmībanda jahāñ ḳhudā ko ḳhudā māntā nahīñ
- سو بار جس کو دیکھ کے حیران ہو چکےجی چاہتا ہے پھر اسے اک بار دیکھناsau bār jis ko dekh ke hairān ho chukejī chāhtā hai phir use ik bār dekhnā
- عشق آتا نہ اگر راہ نمائی کے لئےآپ بھی واقف منزل نہیں ہونے پاتےishq ātā na agar rāh numā.ī ke liyeāp bhī vāqif-e-manzil nahīñ hone pāte
- غلط فہمیوں میں جوانی گزاریکبھی وہ نہ سمجھے کبھی ہم نہ سمجھےġhalat fahmiyoñ meñ javānī guzārīkabhī vo na samjhe kabhī ham na samjhe
- غم دوراں کو بڑی چیز سمجھ رکھا تھاکام جب تک نہ پڑا تھا غم جاناں سے ہمیںġham-e-daurāñ ko baṛī chīz samajh rakhā thākām jab tak na paṛā thā ġham jānāñ se hameñ
- کام آئے گی مزاج عشق کی آشفتگیاور کچھ ہو یا نہ ہو ہنگامۂ محفل سہیkām ā.egī mizāj-e-ishq kī āshuftagīaur kuchh ho yā na ho hangāma-e-mahfil sahī
- کب تک نجات پائیں گے وہم و یقیں سے ہمالجھے ہوئے ہیں آج بھی دنیا و دیں سے ہمkab tak najāt pā.eñge vahm-o-yaqīñ se hamuljhe hue haiñ āj bhī duniyā-o-dīñ se ham
- کب تک یقین عشق ہمیں خود نہ آئے گاکب تک مکاں کا حال کہیں گے مکیں سے ہمkab tak yaqīn-e-ishq hameñ ḳhud na ā.egākab tak makāñ kā hāl kaheñge makīñ se ham
- کفر و اسلام کے جھگڑے کو چکا دو صاحبجنگ آپس میں کریں شیخ و برہمن کب تکkufr-o-islām ke jhagṛe ko chukā do sāhabjang āpas meñ kareñ shaiḳh-o-barahman kab tak
- کمال ضبط میں یوں اشک مضطر ٹوٹ کر نکلااسیر غم کوئی زنداں سے جیسے چھوٹ کر نکلاkamāl-e-zabt meñ yūñ ashk-e-muztar ṭūṭ kar niklāasīr-e-ġham koī zindāñ se jaise chhūṭ kar niklā
- کون اٹھائے عشق کے انجام کی جانب نظرکچھ اثر باقی ہیں اب تک حیرت آغاز کےkaun uṭhā.e ishq ke anjām kī jānib nazarkuchh asar bāqī haiñ ab tak hairat-e-āġhāz ke
- کیا مآل دہر ہے میری محبت کا مآلہیں ابھی لاکھوں فسانے منتظر آغاز کےkyā maāl-e-dahr hai merī mohabbat kā maālhaiñ abhī lākhoñ fasāne muntazir āġhāz ke
- گئے تھے نقد گرانمایۂ خلوص کے ساتھخرید لائے ہیں سستی عداوتیں کیا کیاga.e the naqd garānmāya-e-ḳhulūs ke sāthḳharīd lā.e haiñ sastī adāvateñ kyā kiyā
- مسافران رہ شوق سست گام ہو کیوںقدم بڑھائے ہوئے ہاں قدم بڑھائے ہوئےmusāfirān-e-rah shauq sust gām ho kyūñqadam baṛhā.e hue hāñ qadam baṛhā.e hue
- ہوس پرست ادیبوں پہ حد لگے کوئیتباہ کرتے ہیں لفظوں کی عصمتیں کیا کیاhavas parast adīboñ pe had lage koītabāh karte haiñ lafzoñ kī ismateñ kyā kiyā